بِسْمِ اللَّه الرَّحْمَنِ الرَّحِيم
H Rukeya Sultan ka Sohbah
July 6, 2022, Arabi Dunya
Arafa’t ke din, Zohar aur Asr ke darmiyaan 2 raka’at namaaz padhni hoti hain. Iss mein aap padhtey hai:
- Fatiha 3 martaba,
- Ya ayuha alkafirun 3 martaba,
- Ikhlas shareef 100 martaba. Agar aap 100 martaba Ikhlas shareef nahi padh saktey, toh aap ko 11 martaba ikhlas shareef padhna hai aur jab aap ki namaaz mukammal hojaye, aap ka’bah ke taraf muh karke 100 martaba ikhlas shareef padh saktey hain. Aap phir uss waqt joh bhi kuch aapke dil mein ho uskey liye dua mangtey hain.
Rasool’Allah صلى الله عليه وسلم se hadees hai, Allah Azza wa Jall farmata hai ke aisa karney walo ke gunaaho ko Woh bakhsh dega, Insha’Allah.
Arafa’t se lekar Eid ke 4 dino tak, har namaaz ke baad 3 takbir’ein padhni hoti hai. Agar aap yeh padhna bhul jatey hai, toh iss soorat mein yaad aaney par isay padhna hain. Takbir aisay deni hai:
“Allahu Akbar, Allahu Akbar, Allahu Akbar, La Ilaha illa Allah, Allahu Akbar, Allahu Akbar wa lilahi al hamd.” Yeh Rasool’Allah صلى الله عليه وسلمka hukm hain ke hum apnay eid ke dino (daawato ke dino) ki zeenat badhayein aur unhein takbir ke zariyeh mazeed khoobsorat banayein.
Arafa’t ke din, agar aap Arafa’t mein hain: - Dua karein,
- Istighfar karein,
- Zyada se zyada padhein “La ilaha illa Allah wahdahu la shareeka lah, lahul mulku wa lahul hamd, yuhyi wa yumeet wa Huwa
ala kuli shay’in qadeer,” - Hizb al aazam padhein.
Arafa’t ke din, agar aap Arafa’t mein nahi hain: - 100 to 400 tak “La ilaha illa Allah wahdahu la shareeka lah, lahul mulku wa lahul hamd, yuhyi wa yumeet wa Huwa ala kuli
shay’in qadeer,” - 1000 martaba istighfar,
- 1000 Ikhlas shareef,
- 100 to 1000 martaba salawat shareef (allahuma salli wa sallim ala Muhammad wa ala aali Muhammad)
- Arabi zubaan bolney walo ke liye aur woh joh isay padh saktey hain: 100 martaba “Ya Rabb ighfir lil haaj wa liman istaghfara
lahul haaj” (Allah Hajji’oh ki maghfirat farma aur unn logo ki bhi jinke liye hajj maghfirat maang raha hain). Ya phir, aap
padhtey hain, “astaghfirullah alazeem wa atoobu ilayh” 100 martaba iss niyyat se ke aap Arafa’t mein hain Haaji’oh ke
darmiyaan aur unn ke sath maghfirat maang rahey hain. - 100 martaba “Rabanna aatina fil dunya hasanatu wa fil akhirati hasanatu wa qina athaab al naar.”
- Aap hizb al aazam bhi padh saktey hain.
Aur Zul-Hijjah ke mahiney mein pehle 9 dino ka roza rakhna bhi bahot mubarak hota hain. Joh mukammal 9 dino ke roza’y nahi rakh saktay, unhein koshish karni hai ke woh tarwiyyah, 8’vi Zul-Hijjah, aur Arafa’t ka din, 9’vi Zul-Hijjah, ko roza rakhein.
Eid ke din: 300 martaba “subhanallah wa bihamdihi” Eid ke hadiye ke taur par unn tamaam Musalman ke liye joh hum se pehlay inteqal kar gayein hain. Yeh har qabr mein 1000 noor (roshniyaan) bhejta hai aur sath hi 1000 noor (roshniyaan) aap ki khud ki qabr mein bhi. - Wa min Allah at-taufiq
Al Fatiha