بسم الله الرحمن الرحي م
Adab Aur Fiqh Ders
2021/12/29, Ders 22
Fehrist:
★ Sakarat- سكرات المو ت
★ Aapko kya karna chahiye kisi aise shaqs ke sath jo marr raha ho
★ Janaza – Mayyat ko dafnaane ke barey me hadees
★ Mayyat ki tayyari
★ Kya ek biwi apne shohar ko gusul de sakti hai?
★ Kya ek shohar apni biwi ko gusul de sakta hai?
★ Mayyat ko kaise gusul de
★ Kafan:
- Qamees- قمي ص
- Izaar- إزا ر
- Lafafah- لفاف ة
★ Kafan Aadmi ka Aur Kafan Aurat ka.
Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim. Tariqatuna as-sohba wal khayru fil jam’iyya.
Allah aap sab ko hayat aur sehat aur khusiyon se nawazein. Aur jab hum marey, Hamara Khatima Imaan aur Islam pe Ho. Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim.
Aaj In Shaa Allah hum Janaze ki namaz pe baat karege. Ye koi bahot accha mauzua nahi hai lekin ye zindagi ki haqikat hai. Islam me, Jab insan zinda rehta to bhi izzat detey hai aur jab wo martey hai tab bhi izzat di jaati hai.
Jab koi apni aakhri saans me hota hai, marta hai aur aapko pata ho wo mar raha hai- isey Sakarat-
سكرات المو ت kehte hai. Shariat hai ki us shaqs ko uska ya uski seedhi jaanib, Qible ki taraf karey. Agar wo banda ya bandi seedhi taraf mud ya reh na sakey, wo apni peet ke bal reh sakte hai lekin aap inka chehra thoda Qible ki janib utha le. Qibla wo taraf hota hai jaha hum namaz ada karte hai.
Aur ye bhi sifarish ki jati hai ki is shaqs se jaakar miley, maafi talab karey, aur maafi ata karey. Iski wajah ye hai ki logon ke ek dusre par huquq hai aur baaz auqat wo ek dusre se naraz hotey hai. Lihaza aap jaa kar inse muafi maangein aur inhe ye bhi bataye ki aap ne inhe muaaf kiya Aur inke liye Shafa’at , Shafa’at ka sabab bane.
Aur Inhe Shahadah ka kehna bhi sunnat hai. RasoolAllah صلى الله علي ه وسلم ne farmaya: ‘Laqqinu mawtakum shahadata an la ilaha illa Allah -الق نو ا موتاكم شهادة أن لاإل ه إلاالله ‘، Aw kama qa’la alayhu salatu wasalam- أو كما قال صلى الله عليه وسلم ; Ye ki jab koi marne ki halat me ho toh aap usse jakar kahey: ‘La
ilaha illa Allah, Muhammad Rasul Allah’. Aap khamosh awaz me unhe bataye, na huqm de aur na majbur karey us shaqs ko. Lekin aap unse baat karey aur unse kahey, taaki wo aapke sath usey dohra lein.
Aur agar wo shaqs hosh me na ho, toh log aakar unke pas zor ki awaz mein Yaseen sharif padhe, par zyada zor se bhi nahi, bas madad karey unki rooh ko sukun se dene. Aur agar mehman, rishtedar, padosi aana chahe is shaqs ko alvida kehne toh wo aa sakte hai. Wo log khamoshi se aana chahiye, na ki rotey hue, na cheekhte hue, na bada tamasha karte hue. Bas sanjidgi se alvida kahey aur kuch Quran padhe marte hue shaqs ke pas baith kar aur unse kahein kehne ‘La ilaha illa Allah, Muhammad un RasoolAllah’.
Aur kabhi kehte hai ki agar aap hais ya nifas ya janaba ki halat me ho aur aapko gusul karne ki zarurat ho toh aap nahi aa sakte. Par ho sakta hai, aap aa sakte ho is shaqs se milne jo mar raha hai(marne ki halat me hai) par bahar rehna behtar hai.
Jab ye shaqs mar jata hai, phir aap unki thuddi ke neeche se sar tak baandh de(munh ke aitraf) unke munh ko bandh karne taaki unke jabde latke na kyunki tamam patthey dheele ban jatey hai maut ke bad. Aur agar inki aankhein khuli ho, aap bandh kar de. Phir aap inke dono bade angothe ko baandh do gusul se pehle taaki inke paer irt-girt na girey, aur ye bhi ke aap inki baazuon ko ek taraf karey, seene ke upar nahi. Marey hue shaqs ke hath baazu mein hone chahiye.
Aur aap ek dua padhe, agar aapko yaad ho- laazim hai dukh(gham) me aap shayad bhool jao. Ya aap sirf kahein ‘‘Bismillah wa ‘ala millati Rasulillah – بسم الله وعلى مِلة رسول الله . Jab aap aankhein band karte hai tab ye dua padhe: ‘Bismillah wa ‘ala millati Rasulillah salla Allahu alayhi wa sallam. Allahumma yassir alayhi amruhu wa sahhil alayhi ma ba’dahu. Wa as’idhu bi liqa’iqa wa aj’al ma kharaja ilayhi khayran mimma kharaja anhu - – بسم الله وعلى مِلة ر سول الله صلى الله عليه وسلم، الهم ي س ر عليه أمره وس ه ل عليه ما بعده،
وأساعده بلقائك وجعل ما خرج إ ليه خير ميما خراجة عن ه. Ye dua hai: Bismillah (Allah ke naam se shuru) aur millati RasoolAllah (Hazrat Muhammad صلى الله عليه وسل ki qaum ke raastey par), unke haalaat aasan karey aur unpe aasaani karey aur unke khush khush karey aap se mila kar. Aur jaha wo jaa rahe hain us jagah ko behtar karey us jagah se jaha wo the. Ye is dua ka tarjuma hai.
Janaza matlab mayyat, aur mayyat ko jhaldi dafnane ki sifarish ki jati hai, kyunki, ‘ikram al-mayyit ta’jeel al-dafneh’- إ كرام الميت تعجيل دفنه. Dafnane me jhaldi karna mayyat ki izzat karna hai.
Unki tayyari kaise karey? Agar ye koi sona pehne hai, ya gehna, isey nikal de aur inke kapde nikal de aur unke upar kuch halka gilaf dhaak de. Unhe zameen par daale ya us jagah jaha gusul diya jaega, inhe dhaak dein par kisi motey gilaf se nahi, aur aap kuch lohey ka tukda inke pet pe rakhey. Jaise hamare yaha riwayat hai, turkey ke log kaichi ya churi, badi churi pet par rakhte hai, taaki pet phugey na, Agar aap raat bhar ya ek din ya kuch(dafnane se pehle) rukenge. Ye shuruwat hai is shaqs ko dafnane ki, janaze ki.
Aur Quran e pak aise shaqs ke pas padhna jiska gusul na hua ho pasand nahi kiya jata, jab tak gusul na ho.
Toh ab mayyat ko nehla sakte hai(gusul de sakte hai). Aksar mayyat ko nehlane ki jagah hoti hai masjid mein, aur agar ye(jagah) maujud nahi toh ghar par bhi nehla sakte hai. Mayyat ko nehlane wale table pe khusbu lagana sunnat hai. Toh aap mayyat ko nehlane wale table pe daale aur awra-
عورة ki jagah, sharmgah ko dhaankein. Ye bimbi se ghutno ke neeche tak hai, ye jagah dhaanktein hai: aurtein aur aadmiyon ko bhi.
Aadmi ko aadmi se nehlaye aur aurtein aurat ko nehlaye. Ek aurat apne shohar ko nehla sakti hai, agar koi admi maujud na ho usey nehlane, par ek shohar apni biwi ko nahi nehla sakta. Kyu? Kyunki
ek aurat ka shohar jab marta hai toh wo shadi nahi kar sakti, usey 4 mahine 10 din intezar karna hota hai jab tak uska nikah na ho. Ye uske shohar ki izzat afzahi ke liye aur ye bhi jaanne ke liye k kahi wo haamila hai ya nahi. Lekin jab ek admi ki biwi marti hai uska Nikah uske sath qatm(rad) ho jata hai. Wo ek gaer mehram ho jata hai isliye wo usey nehla nahi sakta (gusul nahi de sakta), tab tak jab tak ke koi aur aurat usey nehlane maujudna ho, phir wo hathon pe kapda dalkar usey tayammum de sakta hai usey poora dhak kar rakhte hue;sirf tayammum aur kuch nahi.
Mayyat ko Nehlana: Aap mayyat ko nehlane ke table par rakhey aur awra ki jagah(sharmgah) dhaank de, jaise humne pehle kaha. Phir, aap inka wudhu karaye. Wudhu, lekin bina kulli ya naak me pani chadaye. Chehra dhulaye, Hath(baazuein) dhulaye, paer dhulaye, aur masah karaye sar ka.
Toh is shaqs ko wudhu karane ke bad, aap gusul(ghusl) shuru karey. Paani gunguna ho, na thanda, na zyada garam. Gunguna pani, aur agar ho sakey, isme kafur daaley ya koi aur acchi khushbu, jaise lavender ya koi bhi. Agar na ho toh sirf garam(gunguna) pani kyunki murda log ko mehsoos hota hai. Allah jaaney, par wo log poori tarah se bina ehsas ke nahi hotey, unko ehsas hota hai. Isliye kehte hai jab aap us shaqs ko nehlaye toh narmi sepesh aaye aur pani bhi gunguna ho, na zyada garam aur na zyada thanda is shaqs ke liye.
Aap gusul ki shuruwat Sar ko saban se dhone se karey. Aap Saban se dhoye, koi bhi saban. Aur agar inki daadhi ho, aap daadhi dhoye bad me sar dhoye. Aap ye teen bar karey: pehle saban se dhoye phir saade pani se do bar. Agar aapko pata ho ki ye shaqs Janaba ki halat me hai, phir aap ishare se inka munh aur naak dhoye taaki gusul ke sutoon (poorey) ada ho.
Phir aap is murda shaqs ko baai taraf modey aur aap daai taraf nehlaye(dhoye). Aap daai taraf kaandhe se paer ke angothe tak dhoye, aur sharmgah ki jagah bina gilaf hataye, (dhaanka hua kapda bina hataye), sirf us shaqs ko tuval ke andar se hi dhulaye. Aur jab aap wo shaqs ko baai taraf modey, dhyan rakhey ki pani unki pichle hisse me poori tarah se pahoche. Aap ye teen bar karey.
Aur phir aap jism ko daai taraf modey, aur baai taraf ko kaandhe se lekar neeche paer ke angothe tak dhoye. Aur wapas, dhyan rakhe ki us shaqs ka pichla hissa peet ka poori tarah se dhula ho(bhiga ho), aur pani har jagah peeche peet par pahocha ho.
Aur phir wo shaqs jo nehla raha hai is murda shaqs ko thoda uthaye aur unka pet dhulaye aur agar unke sharmgah se koi gandi cheez nikalti hai, wo wahi dhoye aur ek aur wuzu ya ek aur gusul ki zarurat nahi is shaqs ko. Teen bar dhone ke bad, ye shaqs ab Kafan ke liye tayyar hai.
Is shqs ko dhulane ke bad , aapko jism ko sukhana hai. Phir aap inke sar pe koi acchi khushbu ki cheez lagaoge: daadhi par aur baal par. Khawateen ke liye, baal ki choti banani chahiye do taraf (do choti)aur aap inke sar ke upar ( sar ke upri hisse par,) thodi sookhi mehndi aur kafur lagaye.
Kafan, Qabr me murdey ko dhaankne ka khas kapda hai. Ye Khawateen ke liye aur aadmi ke liye bhi hai. Aap inhe sukhaye (nehlane ke bad murdey ko sukhaye) aur sukhane ke bad,aap Kafan daaley. Kafan aadmi ke liye teen tukde aur Khawateen ke liye paanch tukde, safed cotton ke kapde me hota hai. Na silk, no woollen, par agar aapko kuch na miley, toh aapko jo bhi miley aap kafan ki tarah istemal kar sakte ho.
Qamees-, قم يس izaar-إ زار, lafafa-لفافه kafan ke hisso ke naam hai.
Qamees ek shirt ki tarah hai, wo sirf sar ki jagah ke liye khula hota hai aur pehle ye us shaqs par daala jata hai. Ye sila hua nahi hota, nahi. Sirf sar ki jagah ka hissa khula hota hai, aur ye jism ko upar se angothe tak dhaankta hai- Ye bina sila hua lamba kapde ka tukda hai.
Phir Izaar: Izaar sar se angothe(paer ke) tak wo banate hai. Pehle wo baai janib se dusri taraf laatey hai aur phir daai janib se dusri taraf aur tang kaste hai.
Aur teesra tukda hai lafafah, ye bhi sar se, ye bhi baai phir daai taraf upar se aur bandh kar de. Aur agar aapko darr ho ke kafan khulega, toh wo paero ke aitraf aur haato ke aitraf baandh sakte hai. Par jab aap is shaqs ko qabar me daaley toh aap ye khol dein.
Khawateen ke liye, ye teen kapdo ke tukde ke bad, aur do tukde hote hai, ek tukda sar ko dhaankne, aur ek seene(chaati) ko dhaankne. Ye tukde lafafah ke andar hone chahiye. Lafafah, aadmi aur aurat ke liye, aakhri parat honi chahiye jo poora jism aur chehra bhi dhaankein.
Uske bad wo kuch kafur ya koi acchi khushbu jaise musk ya amber maathe pe, haathon pe, paer(talwa, upar- neeche) pe lagaye, kafan ko poori tarah bandh karne se pehle. Ye is shaqs pe lagate hai, sajda ki jagaho ko izzat ddene.Ab mayyat Janazah ki namaz ke liye tayyar hai.
Mayyat ko janaze ki namaz se pehle dekhna Makruh nahi hai. Aap chehra khol sakte ho aur logon ko milne aur alvida karne de sakte hai. Aur aap choom bhi sakte ho, ye mamnu’ (sakhti se mana) nahi hai. Aap is shaqs ko choom sakte ho alvida kehne aur maafi maangne.
Mujhe Mawlana Shaykh Nazim(QSA) se pata hai, Jab wo log kafan bana rahe the mai kabhi kabhi unko dekha, wo kafan ki qamees pe likha karte the: ‘La ilaha illa Allah, Muhammad Rasul Allah’. Aur ye aaj ke liye hai, In Shaa Allah.
Ye koi bahot accha subject nahi hai par hamein ye seekhna chahiye, ye hamare zindagi ki haqikat hain. Jaise ham paida hone me yakeen(aqidat) rakhte hai, humein yakeen hai ki hum marengey. Aur In Shaa Allah, Allah hum sab ko Iman ke sath Marna naseeb karein aur Islam par aur ‘millati RasoolAllah’, In Shaa Allah. Allah aapko lambi umar aur sehat de, aur ‘ba’da umrun taweel’ In Shaa Allah.
Wa min Allahi at-tawfeeq.
Fatiha.
🕋