بِسْمِِ ٱ للَّٰه ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
Adab Aur Fiqh Ders🕋
2021/09/29, Ders 19
Fehrist:
★ Mawlana Sheikh Abdul Khaliq al-Ghujdawani
★ Khatm-ul-Khwajagan
★ Zikr
★ Rabita Sharifa
★ Ashr Sharif
★ Naqshband
★ Rozana ka Awrad /Wazifa
★ Zikr Khafi, Zikr al-Qalb, dil ka zikr
Salamun alaykum wa rahamat Allahi wa barakatuhu. Tariqatuna as-sohba wal khayru fil jam’iyya.
Aaj, Insha Allah, mai Mawlana Sheikh Mehmet ki hidayat ke baarey mein baat karna chahti hu jo unhoney Uzbekistan ke dauray ke darmiyaan zikr ke baarey mein kaha tha. Unhoney Tariqa Naqshbandiyya ke sheikho ki ziyarat ki, humaray Golden Chain (shijra-shareef) ke. Humaray 12 sheikh waha hai, Uzbekistan mein. Unn mein se ek hai Mawlana Sheikh Abdul Khaliq al-Ghujdawani, woh Imam Khatm-ul-Khwajagan hai.
Jisey hum Khatm-ul-Khwajagan kehtey hai woh Zikr ka pehla hissa hota hai jo hum Zikr ki mehfilo mein padhtay hai. Yeh woh hissa hai jismey Quran ki surat’ain hoti hai. Dusra hissa hota hai jismey Allah ke Sabse Behtareen Naam- Asmaa Allah al Husna hai, isi ko zikr kaha jata hai. Zikr ka matlab hai Allah ke naam ko dohrana. Pehlay ka hissa Khatm-ul-Khwajagan hai.
Humarey liye, murid ki haisiyat se, Tariqa Naqshbandiyya ke pairokar ke taur par, hamein haftey mein ek dafa jamaat ke zikr ki mehfil mein shaamil hona chahiye, ya har dusrey haftey mein, ya har 3 hafto mein, ya kam az kam har 40 roz mein ek martaba. Yeh hamarey Tariqa ke satoono mein se hai ke hum jamaat ke sath zikr karein, mehfil ke sath, yeh bhi rozana ke awrad/wazifa ke ilawa karna hai.
Mawlana Sheikh Mehmet farmatey hai, ke yeh hukm unhey Mawlana Sheikh Abdul Khaliq al-Ghujdawani jo Imam e Khatm-ul-Khwajagan hai unki jaanib se mila hai, woh iss zikr ka qaida tay kar rahey they, Khatm-ul Khwajagan ka khamosh rehna. Khamoshi kay maenay yeh nahi ke yeh dil ka zikr hai; iss kay maenay hai, aap issay khamoshi se padhtey hain. Aap khudko yeh padhtay huye sunn saktey hai, aap apni zubaan, apne honto ko harkat detey hai, aur aap usay mukammal taur par padhtey hai lekin sirf aap hi khud ki awaaz sun saktey hai, doosrey nahi.
Jab woh Europe jaaney lagey, toh Mawlana Sheikh Nazim ne buland awaaz mein zikr karney ki shuruwaat ki. Bahot saarey naye musalman thay jo Tariqa mein naye aaye thay aur mazhab tabdeel karne walay bhi thay jo kabhi Quran ke baray mein nahi jantay thay. Iss kay ilawa Europe mein rehne walay bohat se musalman, hatta ke unke mulkon mein rehne waaley bhi, Quran ke ya surat’ain padhne ke baarey mein kuch bhi nahi jantay thay. Aur yehi wajah se Mawlana Sheikh Nazim zikr ki mehafilo mein Khatm-ul-Khwajagan ko buland awaaz se padhtay, taakay log usay sunn sakey aur aahista aahista hifz kar lay.
Lekin ab yeh tabdeel ho gaya hai. Mawlana Sheikh Mehmet farmaatey hai ke unhey Abdul Khaliq al-Ghujdawani ke maqam par yeh hukm mila hai ke yeh dobarah khamoshi se kiya jaaye. Iss kay maenay hai ke jo sarbarah, imam, zikr ka, mehfil ka, jo Khatm-ul-Khwajagan ki qayadat kar rahey hai aapko ginti batayengay aur aap apney-aap yeh khamoshi se padhtey jayengey aur sirf aap hi khud ko sun payengay.
Mawlana Sheikh Mehmet farmaatey hai ke aajkal logo ke paas telephone hai, unkey paas bahut saari cheezey maujood hai, hum jo surat’ain Khatm-ul-Khwajagan mein padhtey hai woh usay download kar saktey hai (phone mein nakal jama karna) aur woh usmey se padh saktey hai, isiliye ab buland awaaz mein zikr karne ki zarurat baaki nahi rahi. Yehi hukm hai dunyabhar mein saarey zikr ki jamaato ke liye, jo Tariqa Naqshbandiyya ki pairwi kartay hai. Yeh naye sir-e se purana nizam hai.
Lehaza jab hum agaaz karte hai, to hum Khatm-ul-Khwajagan ki niyyat karte hai aur buland awaaz mein hum 3 martaba shahadat aur 25 martaba astaghfirullah padhtey hai. Phir zikr ka sarbarah ‘rabita sharifa’ padhta hai, phir aap apni aankhein band karkay dil se kehta hai: ‘Madad Ya Rasul Allah, Madad Ya Mawlana Sheikh Nazim, Madad Ya Mawlana Sheikh Muhammad, Madad Ya Shah Naqshband’. Aur phir zikr ka sarbarah aap ko khamoshi se pairwi karne ka kehta hai:
7 martaba Fatiha
10 martaba Salawat Sharifa (Durood Sharif)
7 martaba Surah Al-Inshirah (alam nashrah laka…) [Quran 94:1-8]
11 martaba Surah Al-Ikhlas [Quran 112:1-4]
7 martaba Surah Fatiha dobarah
10 martaba Salawat Sharifa (Durood Sharif)
Phir hum Ashr Sharif padhtey hai, Quran Al-Kareem mein se kuch aayat’ein.
Phir hum yeh hadiya detey hai (Ihdaa إهداء ) Rasool’Allah صلى الله عليه وسلم ko, Ahl al-Bayt ko, Aṣ-ṣaḥābah ko, Tariqa Naqshbandiyya ke tamaam sheikho ko. Yeh hota hai Khatm-ul-Khwajagan jo aap imam ke sath padhtey hai. Phir hum Zikr padhtey hai. Zikr yeh doosra hissa hota hai jisay hum Khatm-ul-Khwajagan ke baad padhtey hai. Zikr hota hai Allah ke naam ko mukhtalif andaaz mein padhna : La ilaha illah Allah, Allah, Hu, Haqq, Hayy, aur baaki ka zikr. Aur baaki Tariqa ke liye ehtaraam ke taur par hum Tariqa Naqshbandiyya mein usay buland awaaz mein padhtey hai – 40 Tariqa hai – aur tabarruk ke liye, ke hamein barkat’ein haasil hojaye aur hum unke zikr mein shaamil hojayein. Tariqa Naqshbandiyya mein humara zikr dil ke sath hai. Dil ke sath, usay khafi zikr bhi kehtey hai, zikr alqalb, dil ka zikr.
Naqshband kay maeney hai ke yeh aap ke dil par naqsh hai. Dil ka zikr yeh hai ke apni zubaan ko muh ki chhat se lagayein, oopri jabday ko, aankhein band karley aur dil se ‘Allah, Allah…’ padhey. Aap khudko yeh padhtey huye sunn payengey. Jo bhi naye log hai, unhey yeh rozana ka wazifa ‘Allah’ 100 martaba padhney ki shuruwaat karni hai, apney dil ko ‘Allah, Allah…’ ke zikr ke sath karney ka. Phir agar aapkey Sheikh ijaazat detey hai, toh aapko ‘Allah’ 500 martaba padhna hai, phir 1000, phir 2500, phir 5000, phir 10,000, aur Sheikh aapko 10,000 se zyada nahi detey. Yeh tamaam gintiyaan aadhi aapkey zubaan se hoti hai aur aadhi aapkey dil se. Yeh kahawat hai ke jo bhi 10,000 ya uss se jyada tak pahoch gaya, woh martaba kamaal مرتبة الكمال pe pahoch jata hai, kaamil honay ka maqam. 10,000 ke baad, aap ka dil khud ba-khud Allah ka zikr karne lagta hai.
Isskay liye hamara safar bahot taweel hai, lekin hamaray tamaam Sheikh aisay hi hai aur, Insha Allah, hum unki pairwi kar rahay hai toh Allah hamein un ke sath likhay.
Yeh naya hukm hai Mawlana Sheikh Mehmet ki jaanib se, ek naye sir-e se purana hukm, ke jab hum koi bhi zikr ki mehfilo mein ho toh khamoshi-se-zikr ke tarikay pe laut jayein. Jab hum infiradi taur par/ akelay mein apna wazifa/awrad padhtay hai, to pehlay hi se hum usay khamoshi se padhtay hai. Aur yeh bhi ke isska aadha hissa hum dil se padhtay hain aur baaki aadha apni zubaan se, hum usay oonchi awaaz mein nahi padhtay. Lehaza Sheikh ka hukm sirf Khatm-ul-Khwajagan se mutaliq hai jaha imam gintiyaan kehtey hai, aur hum khamoshi se pairwi kartey hai. Baaki ka Zikr Sharif : Asma’ Allah Al-Husna, La ilaha illah Allah, Allah, Hu, Haqq, Hayy, …., hum usay buland awaaz mein zikr ki mehfil ke imam ke sath padhtay hai.
Shukriya, shukriya shaamil honay ke liye.
Salamun alaykum. Fatiha.
🕋