Sirat Un Nabi (PBUH) Ders 33

      Comments Off on Sirat Un Nabi (PBUH) Ders 33

بسم الله الرحمن الرحي م


Ders Fiqh Aur Adab
2022/10/12, Ders 33- Salawat Sharif
Fehrist:
Hadis e Qudsi: لولاك لما خلقت الأفلاك ” ”
Salawat ka sada aur aasan tarika
Dervish aur Sultan
Imam Sulayman Jazuli
Dala’ilul khayrat
Naqshbandi wazifa


A’udhu billahi min ash-shaytaan ar-rajeem. Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim. Tariqatuna as-sohbah wal khayru fil jam’iyya. Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim. Madad Ya Sayyidi, Ya Rasul Allah, Ya Sheikh Nazim Adil Al-Rabbani…


Salam alaikum wa rehmatullahi wa barakatuh. RasoolAllah صلى الله عليه وسل م ki wiladat aap sabhi ko Mubarak ho. Allah Azza wa Jalla news Hadis e Qudsi main farmaya: لو لاك لما لقت الأفلاك” ”- agar aap صلى الله
عليه وسلم na hotey toh mai ye sab kuch takhleeq na banata. Habibullah, Allah azza wa jalla ne Nabi e kareem صلى الله عليه وسلم ka naam apne naam ke aagey rakha. Pehli cheez Adam alaihisalam ne arsh par dekha wo aap صلى الله عليه وسلم ka naam tha, aur jab Adam alaihisalam ko arsh se nikala gaya toh aap alaihisalam nabi e kareem صلى الله عليه وسلم , Nabi Mohammed صلى الله عليه وسلم ke waseele se astaghfar talab kar rahey the. Tamam anbiya alaihisalam ne RasoolAllah صلى الله عليه وسلم ki ummat se ta’luq rakhne ko kaha. Hum bahot khush kismat hai ki Allah ne humein musalman banaya. har baar hum ye kehte hai aur hum ye dohratey rahege jab tak ke aap sab rozana 2 rakat shukrana ada nahi karte.


Salatu wa salam ki ehmiyat Ayat-إِنَّ. ٱللَّهَ. وَمَلَٰٓئِكَتَهُۥ. يُصَلُّونَ. عَلَى. ٱلنَّبِيِّۚ. يَٰٓأَيُّهَا. ٱلَّذِينَ. ءَامَنُواْ. صَلُّواْ. عَلَيۡهِ. وَسَلِّمُواْ. تَسۡلِيمًا (Sura 33- Ayat 56) mein dikhayi gayi hai. Beshak Allah ta’aala Nabi par durood bhejta hai aur Uske farishte bhi (unhe aisa karne kaha gaya hai). Aye logo jo Iman laye ho, Us par durood maango(Allah se) aur maango (Allah unhe ata karey) Aman. Aur is ayat mein salawat padhne ka hukum mutwatar hai aur sirf ek dafah ke liye nahi hai; Pas ye hai RasoolAllah صلى الله عليه وسل م par durood padhna farz hai aur jab tashahhud ke liye baithe agar humne Salawat nahi padha hamari namaz poori nahi hoti. Lehaza Salawat ki ehmiyat bahot zyada hai.
Jab aap chahte hai ki aapki dua qubool ho, pehle Salawat padhe, fir apni dua karey aur phir Alhamdulillah Rabb el Alameen kehkar khatm karey aur phir RasoolAllah صلى الله عليه وسلم par dobara durood padhey, phir wo dua Insha Allah qubool hogi. Jaisa ki Hadees e Nabuwi صلى الله عليه وسلم mein hai ki do salawato ke darmiyan ki dua kabhi wapas nahi laut ti, Allah isey hamesha qubool farmata hai. Ye sab se aasan dua hai. Sahaba ne poocha hum aap par Salawat Kaise karey

Ya RasoolAllah صلى الله عليه وسلم Aap صلى الله عليه وسلم ne farmaya jis shakal mein mujhe sabse zyada pasand hai wo saada hai: اللهم صلي على محمد وعلى آل محم د و سلم” -Allahumma Salli ‘ala Muhammad wa ‘ala ali Muhammad wa Sallim. Aap صلى الله عليه وسل م bahot aajiz the. Baaz madhhab mein wo kehte hai ki aapko “ على سيدنا محمد “- ‘ ala sayyidina Muhammad’ kehna chahiye, ye RasoolAllah صلى الله عليه وسلم ki zyada ta’zeem ke liye hai. Lakin hum sabse saada Salawat Salawat karte hai aur sabse aasan.
Aur Rabbi Ul Awwal ke mahine, Mawlid ke mahine ke liye, Mawlana Shaykh Nazim aur Mawlana Shaykh Mehmet hukum kartey hai ki hum Kum az kum 100 Salawat zyada karey apne wird se roz jab tak ki 1000 salawat is mawlid ke mahine mein ho. Ye is mahine ke liye bahot zaruri hai. Logo ki baat na suney jo kehte hai ye ye hai ye wo hai.

RasoolAllah صلى الله عليه وسلم se kaise mohabbat karey hum Aap صلى الله عليه وسلم par zyada Salawat padhey.
Sultano me se ek sultan roz raat soney se pehle 100 salawat sharif padhte the. Aur ek dervish the jo RasoolAllah صلى الله عليه وسل م se bahot mohabbat karte aur har waqt Salawat padhte. Ye aadmi ye tijarat karta aur paise deta aur bahot musibat mein tha. Har raat wo salawat padhta aur ek raat wo bahot ro raha tha “Ya RasoolAllah madad” air Uske Khwab mein usne RasoolAllah صلى الله عليه وسل م ko dekha aur

Aap صلى الله عليه وسل م ne farmaya, “Sultan ke pas jao aur usey kaho ki Maine tumhe bheja hai aur tumhe jo kuch chahiye usse maango”. Dervish ne RasoolAllah صلى الله عليه وسلم se poocha, “Sultan meri baat kaise maanega? Mai usey kaise qail karu?” RasoolAllah صلى الله عليه وسل م ne farmaya “ Us se kaho ki ab 3 raato se wo Salawat sharif nahi padh raha hai jo wo mere liye padhta tha. Usey mera Salam kaho aur usey kaho ki wo tumhe de de jo tumhe apna qarz ada karne ki zarurat hai.”


Phir ye aadmi dàrwaze par gaya aur andar Jane ke liye poocha aur darban aur muhafizo ne poocha aap kya chahte ho? Usne kaha mere pas Sultan ke liye ek paigaam hai. Wo poochte rahey ki kya paigam hai, aakhir mein usne keh diya ki mere pas RasoolAllah صلى الله عليه وسلم ki taraf se sultan ko paigam hai. Phir darbaan ne ijazat maangi aur Sultan ke pas jakar us se kaha, “ek aadmi hai jo dervish Ya faqeer ki Tarah nahi lagta lekin wo aapko dekhna chahta hai kyuki Uske pas RasoolAllah صلى الله عليه وسلم ka paigam hai aapke liye.”
Phir Sultan ne uth te hue kaha ki usey andar le aao.


Wo aadmi ne andar aakar kaha, “Mujhpar karz hai aur mai paise ke liye dekh raha hoon aur mai bahot musibat mein hoon, aur mai har waqt dara hua rehta hu un logo se jo unke paise poochte hai. Phir pichli raat Maine RasoolAllah صلى الله عليه وسلم ok dekha aur Aap صلى الله عليه وسل م ne mujhse kaha ki mai aapke pas aakar aapse apne karzey ada karne kahu mere liye.” Sultan ne poocha, “Mai tumhari baat kaise maan loon?” Us aadmi ne kaha, “RasoolAllah صلى الله عليه وسل م aapko Salam bhejte hai aur kehte hai ki 3 raato se aap salawat Sharif nahi kar rahey hai”. Phir Sultan rotey hai aur usey wo jo bhi chahta tha detey hai aur Aur detey hai. Sultan rotey hai aur kehte jatey hai RasoolAllah صلى الله عليه وسلم ne kya farmaya, phir us aadmi ne kaha Aap صلى الله عليه وسلم ne Salam Bheja hai aapko. Phir Sultan rotey hai aur unhe ek aur detey hai aur ek aur ek aur.

SubHaanAllah ye ek bahot mashoor kahani hai. Ye ek haqiqi kahani hai. Ye Salawat Sharif ki barkat hai jab aap mohabbat ke sath karte hai. Humein rozana salawat Sharif padhna hai. Iske alawa, hamarey Tariqat mein, Naqshbandi tariqat mein, humein rozana dalail ul khayrat ka ek baab padhna hai. Dalail ul Khayrat bahot ahem hai aur salawat sharif ke bahot sı shakle hai RasoolAllah صلى الله عليه وسلم par aur is durood ki har soorat ek mukhtalif raaz rakhti hai.


Jis Shaykh ne isey jama kiya, Imam Sulayman Jazuli, ka waqiya ek nawjawan ladki ke sath phir apni biwi ke sath pesh aaya, ye dekh kar ki inke pas muajizat hai aur wo soch rahey the ki ye kaise ho sakta hai. Unhone poocha ki inhe ye maqam kaise diya jaa sakta hai. Phir inki biwi ne bataya ki ek salawat ki shakal ki wajah se jo wo kar rahi thi usme bahot taaqat aur raaz the. Chunachi wo kai saalo se talash kartey rahey aur unhone salawat ki kai suratein ek kitab mein jama kar liye Aur unhone isey apni biwi ko bataya aur biwi ne kaha ye Dalail ul khayrat ke andar hai. Phir shaykh ne is salawat ki kitab ko hisso ya abwab mein taqseem kiya.


Aap isey 3 din ya 4 din ya 7 din ya 40 din mein khatam kar saktey hai. Aap isey poora ek bar mein bhi khatam kar saktey hai. Kuch log majlis banate hai Dalail ul khayrat ki, is majlis mein ek shaqs baaki maujud logon ke liye ek baab buland awaz mein padh sakta hai jab tak ye poori kitab khatam na ho. Hamarey Naqshbandi Shayukh muridon se keh rahey hai ki har roz ek baab padhey agar wo kar saktey hai. Ye karna bahot achha hai. Jumah ka baab ya hizb bahot ahem aur taqatwar hai. RasoolAllah صلى الله عليه وسلم ne farmaya humein Jumah ke din kasrat se salawat karney chahiye.

Nabi e Kareem صلى الله عليه وسلم ne farmaya jo zyada durood padhta hai wo mujh صلى الله عليه وسلم se zyada kareeb hota hai, aur farishte usse zyada kareeb hotey hai. Mazeed salawat padhne ke liye hamari zindagi mein RasoolAllah صلى الله عليه وسلم ki Mohabbat ko hamari zindagi aur aap ke dilon mein parwaan chadhana bahot zaroori hai. Ye mat bhoolna.
Wa min Allahi at-taufiq
Al Fatiha