Sirat Un Nabi (PBUH) Ders 21

      Comments Off on Sirat Un Nabi (PBUH) Ders 21

, بسم الله الرحمن الرحيم
Adab Aur Fiqh Ders
2021/11/10, Ders 21
Fehrist:
★ Laylatul Raghaib
★ Hazrat Aminah ka Hamal
★ Arabic calendar
★ Fil ka saal
★ Abdul Muttalib ki 200 oontein(camel)
★ Abraha aur uski fauj
★ Haati (Elephant) Mahmut


Hum Seerah an-Nabawiyya ki baat kar rahe the, Nabi صلى الله عليه وسل م ki paidaish aur zindagi ki kahani.
Nabi صلى الله عليه وسل م ke walid aur walida, Hazrat Abdullah aur Hazrat Amina ka Nikah Rajab ki pehli Jummeraat(Thursday) ki raat, Laylatul Raghaib ko hua. Wo raat saare jannat me jaise jashn tha. Allah Azza Wa Jalla ne saarey farishton ke dil me daala ke wo jashn karey ki Nabi e pak صلى الله عليه وسل م
wujood me ayege is duniya me, yeek bada jashn tha, ek bada Nikah.


Jab wo Nabi صلى الله علي ه وسل م ke sath hamila the, Hazrat Amina ne kaha ke wo har mahine apne khwab me dekhti aur hakikat me bhi, nabiyon me se ek jo unke pas aate aur unhe apne pet me palte bacche ke barey me batate. Pehle Hazrat Adam, fir Hazrat Nuh, Hazrat Ibrahim, Hazrat Ismail, Hazrat Isa, and Hazrat Dawud (alayhim salam).… Har Mahine….ek Nabi aatey unhe khush khabri dene apne Hamal ke bacche ki.
Wo sirf kuch mahino ki haamila thi, jab unke shohar Hazrat Abdullah ki faut hui Madina me. Wo Damascus tijarat ke liye gaye the aur unki wapasi me wo bahotbimar ho gaye aur Makkah ki wapasi ke kafile ke sath nahi jud sakey. Wo Madina me unke uncle k pas hi ruk gaye aur wahi inteqal kar gaye. Hazrat Amina sirf do ya teen mahine ki hamila thi Nabi صلى الله علي ه وسلم se, jab Nabi صلى الله عليه وسلم yateem ho gaye.


Hamila ke dauraan, Hazrat Amina ne khwab dekha aur ek awaz bhi suni jo unse keh rahi thi “Aap is duniya ke sarbarah(master), is ummat, is qaum ke sarbarah se hamila ho. Aap hamila ho HabibAllah(Allah ke Habib), Nabiyullah(Allah ke Nabi)se. Aapko inka naam ‘Muhammad’ rakhna hai kyuki inka naam Torah(Tawrah) me Ahmed hai aur inka naam Injeel me Ahmed hai, aur inka Quran me Muhammad hai”.
Unhone kaha ke unhe apna hamal kabhi wazan nahi laga. Hamal bhar me unhe bahot kuch nazar aata aur bahot saari roshni dekhein, unhone Sham aur Damascus me Basra ki jagayein dekhein (ek Basra Iraq me hai, ek Basra Sham me hai). Jo saal Nabi e pak صلى الله عليه وسلم paida hue wo Fil ka saal tha عام الفي ل. Pehle Arabo k pas calendar nahi hua karta tha, wo log koi bade waqiyat se dusre bade waqiyat tak ginte the, aise wo saal ginte.


Ya agar unhe pehle ka kuch hua batana hota toh wo kehte ke wo iska saal tha ya uska saal tha ya wo uske ek saal baad (aise-aise) waqiyat ke bad.
Toh Nabi e pak صلى الله علي ه وسلم Fil ke saal me paida hue. Fil matlab haati. Fil ki kahani aisi hai.
Abraha Habasha fauj(Aaj ka Ethiopia) ka sardar tha jo Himyar jo Yemen me hukumat kar raha tha. Wo Christian tha, Nasrani aur wo Ka’bah se bahot hasad karte. Wo kehta ke log ka’bah kyu jate hai? Wo acchijagah nahi hai. Wo kahi ke vast me nahi (middle of nowhere), registan, kaale patthar, naa jhaad, naa garden, na kuch uga sakte ya khaa sakte, koi accha nazara nahi, koi sukoon nahi is jagah me lekin log har saal Hajj ke liye jaa rahe hai?’.


Arab qabile me bahot se boot(murti,idol) the aur mushrik ban gaye the, lekin fir bhi wo log har saal ka’bah hajj ke liye jaa rahe the. Wo Hajj karte par rasm badal dete, wo usme bahot bakwas daal dete the.
Abraha ne kaha: ‘Mai aisi khubsurat jagah banauga ke sab log iski taraf mutwajah ho kar aaenge aur ka’bah ko bhool jaege. Toh usne ek bahot bada church banaya bahot pasand karne wali cheezon se aur bahot keemti cheezon se, sona, chaandi, sabse acchi lakdi, ivory(haati ke daant), bahot si khubsurat cheezein is church me. Usne ek ishtehar bhi banaya logo ko bulane, church aane aur ka’bah ko chodne. Bahot kum log aaye, uski ummeed ke mutabiq bilkul nahi.


Fir ek din, ek Arab aadmi jo Abrah ke ye karne se bahot ghussa tha, church me gaya, usey toilet ki tarah istemal kiya aur bhaag gaya. Fir jab un log ko is gandagi ka pata chala church ke beech toilet jaisa, Abraha ko bahot ghussa aaya. Uska ek Haati tha. Usne apni fauj jama ki, aur haati, aur kaha ke wo jakar ka’bah ko gira dega.


Wo apni fauj aur haati ke sath Mecca ki taraf gaya. Raaste me, usne tabah kar diya jisne bhi usey roka. Agar wo log ne usey nahi roka toh usne kaha ke wo un logo ko koi nuksan nahi pahochaega, aur wo sirf ka’bah ko giraeg. Agar wo log shamil na hue, lekin uske raaste se bahar rahe aur usey nahi rokey ka’bah pahochne tak toh wo uske nuksan se mehfooz rahege.


Usne Mecca ke baher camp lagaya apni fauj ke sath aur bada haati jiska naam Mahmut tha. Quran al-karim me ek surah hai is haati ke barey me. Arabs haatiyo se bahot darte the, kyuki un log ne apni zindagi me kabhi haati nahi dekha tha. Wo ek African elephant tha isliye wo kaafi bada tha.


Fir, usne ek messenger bheja Mecca ke logo ko ye bolne: ‘Mai yaha aa raha hu ka’bah ko nuksan karne aur girane aur agar tum ne mujhe roka toh mai tumhe maar dunga’. Abraha ek bahot badi fauj ke sath aaya tha. Arabs ke pas kabhi sach me koi payshawar fauj thi hi nahi. Tab jab Arabs aapas me bhi ladte the, wo chote chote jamaat me hote aur unki koi badi abaadi bhi nahi thi jo unhe is badi fauj se ladne deti.
Toh Abraha ke Messenger(paygambar) ne un log se kaha: ‘Agar tumhe mehfooz rehna hai , Mecca se bahar chale jao aur Abraha ko andar aane do. Par agar tumne roka, tum bhi maar diye jaoge. Wo tumpe rahem nahi karega’. Isliye Mecca ke log dar gaye the aur zyada tar log Mecca se bahar chale gaye the.
Aur fir Abraha ne poocha: ‘Mecca ka sardar kon hai?’
Unhone kaha: ‘Abdul Muttalib sardar hai’.

Abraha ke faujiyo ne Abdul Muttalib ke 200 oontein li aur apne kheme (camp) me le aaye. Fir Abraha ne unhe bulaya aakar usse baat karne, dekhne ke Mecca ke log uske hamle ke barey me kya kehte hai. Abdul Muttalib gaye, wo ek acche dikhne wale aadmi the, Abraha Abdul Muttalib ko pasand karta tha. Usne kaha: ‘Baitho’, wo baithe uske bazu se zameen par. Aur ek mutarjam tarjuma kar raha tha, Abdul Muttalib ko kehkar: ‘Mai tumhare muqaddas ghar ko girane aaya hu, tumhara kya kehna hai?’.
Unhone kaha: ‘Mujhe apni oontein chahiye’.


Fir Abraha ko itna ghussa aaya, usne kaha: ‘Mujhe laga tum ek izzatdar aadmi ho, mai tumhari izzat kar raha tha aur tumhare sath baith raha tha. Aur ab tum mujhe apni oonton ke barey me keh rahe ho? Mai tumhare sabse Muqaddas jagah ko tabah karne aa raha hu aur tum sirf apni oont ki chinta kar rahe ho?’
Fir Abdul Muttalib ne kaha- ye unke mashoor alfaz hai: ‘Mai apne oonton ka malik hu, us ghar ka, ka’bah ka Malik Allah hai. Toh har ek apni milkiyat ka khayal rakhega. Toh Allah ka’bah ka khayal rakhega’.
Fir Abraha bahot ghussa hua aur cheekha: ‘Inhe inki oontein wapis kardo. Mujhe laga mai inse guft wa shaneed karuga lekin ye toh bekar hai’.


Fir Abdul Muttalib ne apni oontein liye aur laut gaye. Aur wo Hazrat Amina ke pas bhi gaye aur boley ke Mecca ke baher chale jaye. Mecca ke bahot se log Mecca ke baher the, wo log Abraha ki fauj ke andar aane ka intezar kar rahe the.


Agle din, subah me, huqm aaya: ‘Hum Mecca jaa rahe hai, Ka’bah ko tabah karne’. Aur wo haati tayyar kar rahe the Mecca ki taraf, Ka’bah jaane. Lekin haati harkat nahi kar rahe the. Wo log usko uthane ki koshish karte, wo nahi uth ta. Wo zameen par baitha hua tha, Mujhe nahi pata ye ek haati ka wazan kitne tonnes me hoga. Wo log usey dhakelte aur kheechte aur maarte usey lakdi se uske baye aur daye(left and right) baju, par nahi, haati harkat na karta.


Phir jab unhone haati ko ka’bah ki samat se pher diya, wo uth taa aur waha jaata. Par jab wo haati ko phir se ka’bah ki samat karte, wo zameenpar baith jata aur harkat na karta. Wo log usse harkat nahi kara patey. Phir Abraha ne faujiyo ko huqm diya ke wo haati chod kar Mecca me jaye.


Iss waqt, waha baadal jaisa, a bahot bada parindo ka baadal zaahir hone laga, ababeel, chote parindey. Agar aapko swallow pata hai, wo swallow ki tarah hai. Agar aapne spring ke waqt kabhi Lefke dorah(visit) kiya hai toh aapne unhe hamare ghar me hamesha hamare sar par udte dekha hoga, ye chote se parindey. Mecca me jo hai, wo bhi udtey, Sub Haan Allah, ka’bah ke aitraaf. Kabhi kabhi, jab aap Umrah pe ho, aap dekhte ho ke wo Tawaf karte hai. Ye bahot chote parindey hai.

Unke munh me ek patthar tha, unki choch me, aur ek ek unke panje me. Aur wo saarey Abraha ki fauj ke upar aaye aur Abraha ki fauj ke har fauji par ek ek patthar gira diya. Har patthar goli ki tarah aata; one sar ke zariye aur ek har ek kandhe ke zariye. Fir ye fauji mauqe par hi pighal jatey. Sab log isi tarah, aur sirf ek hi bach gaya. Wo door bhaagta raha jab tak wo Yemen pahocha aur un logo ko bataya jo hua, waha ke log ne kaha: ‘Tum jhoot keh rahe ho’.

Waha ke log me se ek shaqs se sipahi se kaha: ‘Tum fauj me se bhaag aaye aur humey kahani sunare ho khudko bachane’. Phir in sab log ke saamne ek chota parinda aaya, aur is sipahi par kankar daal diya aur ye sipahi inke saamne pighla aur mar gaya.


Ek kahani me ye batate hai ke Abraha mara nahi tha balki bahot bimar pad raha tha aur uska gosht jism se gir raha tha. Phir wo mara bahot dard, takleef aur musibat se. Ek aur kahani se riwayat hai ke wo bhi kankar ke lagne se hi mara.


Aur haati door bhaag rahe the. Isliye ye surah tha: ‘Alam tara kaifa fa’ala rabbuka bi ashaabil feel. Alam yaj’al kaidahum fee tadleel. Wa arsala ‘alaihim tairan abaabeel. Tarmeehim bihijaaratim min sijjeel. Faja’alahum ka’asfim m’akool’ [Quran 105] [aakhri ayah ka matlab hai] ‘unhe pighalte patto ki tarah bana do’.

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
1. أَلَمْ تَرَ كَيْفَ فَعَلَ رَبُّكَ بِأَصْحَابِ الْفِيلِ
2. أَلَمْ يَجْعَلْ كَيْدَهُمْ فِي تَضْلِيلٍ
3. وَأَرْسَلَ عَلَيْهِمْ طَيْرًا أَبَابِيلَ
4. تَرْمِيهِمْ بِحِجَارَةٍ مِنْ سِجِّيلٍ
5. فَجَعَلَهُمْ كَعَصْفٍ مَأْكُولٍ

Ye hai Fil ki kahani. Mecca aur Ka’bah bachaye gaye Alhamdulillah, Allah Azza Wa Jalla unki hifazat kar raha them. Uske bad, 40 din me Nabi e pak صلى الله عليه وسلم paida hue. In Shaa Allah humne sirf thodi hi baat ki, agli bar hum aur baat karege In Shaa Allah. Jab Aap صلى الله علي ه وسلم paida hue, Hazrat Amina, Nabi صلى الله علي ه وسلم ki walida, kehte the ke saare jannat khol diye gaye the aur saari roshni khol di gayi thi. Taare bhi unk ghar ke andar aate aur unhone 3 aurto ko aate dekha jo Nabi e pak صل ى الله عليه وسلم ki janam ke liye unki madad karne aaye the. Unki Daayi maa ka naam bhi Ash-shifa tha, wo uske bad musalman ho gayi. Wo uske bad musalman ho gayi. Wo Nabi e kareem صلى الله علي ه وسل م ke janm ke raat ki roshni ke barey me bata rahi thi.


Hazrat Amina batate hai ke wo teen aurtein thi: Hazrat Maryam, Hazrat Asiya aur Hazrat Hajar, unki daadi. Wo sab ruhaniyat ke taur par janm me madad karne aaye the. Aur wo soti, uth ti, aur wo kehti hai: ‘Maine Damascus ki jagaye dwkhi aur maine saari roshni, saari jannat, saari duniya ko khulte aur roshan hote dekha, aur wo saari roshni mere pas aa rahi thi’. Unhone bina dard ke janm diya. Nabi e kareem صلى الله عليه وسلم jab duniya me aaye toh khamosh awaz me keh rahe the: ‘Ummati, ummati’. Unki walida ne unhe ye kehte suna.


Abu Lahab, Nabi e Kareem صلى الله عليه وسل م ke chacha the, aur wo Abu jahal ke bad unke sabse bade dushman the. Lekin us din, jab unki khadima bhaagti aayi- wo Peer ki subah, 12 Rabbi ul awwal thi, wo Abu Lahab ke pas aayi aur kehne lagi ke Amina ne ek ladke ko janam diya hai. Wo itna khush hua ke usne usey azaad kar diya, kyuki usne usey khush khabti di ke uski bhabi Amina ko beta hua. Aur Sub Haan Allah, Abu Lahab hamesha ke liye Jahannami hoga par har peer ko uska zum, uski takleef kum hogi kyuki wo Nabi e Kareem صل ى الله عليه وسل م ke janm pe khush hua tha. Ye uske liye khushi hai ki har peer ke din uski saza kum hogi. Aur Nabi e Kareem صلى الله عليه وسل م khatna kesath paida hue aur unki aankhon me surma bhi tha, aur unki naaf bhi kati hui thi. Aur unke dada ne unka naam ‘Muhammad’ rakha, ‘Muhammad ‘ ke maine
‘jiski tarif ki jati hai’. Log poochte: ‘Inka naam ‘Muhammad’ kyu rakha?’, kyuki wo bahot gair mamuli naam tha Arabs ke liye us waqt.


Wo kehte: ‘Mai chahta hu ke iski tarif ho yaha aurJannat me, duniya me aur jannat me’. Unhone ‘Muhammad’ naam isliye bhi rakha kyuki unko aisa kaha gaya tha. Hazrat Amina unse kehti thi ke wo kya sunti hai, kya dekhti hai khwab me aur unhe kya kaha jata hai karne.


Wa min Allahi at-tawfeeq.
Fatiha.