Taharah Ders 4

      Comments Off on Taharah Ders 4

ﺑﺳم ﷲ اﻟرﺣﻣن اﻟرﺣﯾم

Tariqatuna Assohba wal khayru fil jam’iyya. Insha’Allah yeh aapkey liye faydemand hoga sawaal sunna aur uskey jawaab janna. Darasal, zyadatar sawaalo ke jawab hum de chukey hai, agar aap ders ko sahi se padhtey hai toh aapko pata hoga aapkey sawaalo ke jawab maujud hongey.

Bismillahir Rahmanir Raheem

Sawaal: Agar kisi ko 7 din ka haiz aakey jaaney ke baad jab namaaz padh na shuru kartay hai aur uske do din baad khoon dikhaayi deta hai, toh kya woh phir bhi namaaz padh sakti hai?

Nahi, unhein rukna hoga, jab tak unkey 10 din purey nahi hotey hai, sab daagh haiz ke hai. Phir 10 din baad, jo bhi khoon aaye woh istihadha hai, unhein gusul lena hoga aur phir woh aam tareeqey se namaaz padh sakti hai. Par jab tak daagh ya khoon aaye, unhein har namaaz ke liye naye se wapis wuzu karni hogi [istihadah ka huqm]. Agar yeh unhein pata hai ke unkey haiz ke 2 din baad daagh dikhaayi detey hai.. phir unhein rukna hoga. Par agar unhein nahi pata ho aur unhein do din baad daagh dikaayi detey hai, aur saarey dagh daswey din tak purey hojaatey hai toh usey haiz mei mana jayegah; toh unhein purey 10 din muqammal hone tak namaaz nahi padhni hogi…

Sawaal: Agar mujhey daagh dikhaayi deta hai mere haiz aaney se pehley, toh mujhey kab pata chalega ke mera haiz shuru hogaya hai? aur phir daagh dikhaayi dena mere haiz khatam hone ke baad bhi?

Unn khawateeno ke liye jinhein baqaidah sahi se haiz nahi aaye ya kabhi haiz ruk jaaye, unhein kaafi daagh dikhaayi detey hai. par usey haiz maan ne ke liye, usey saaf khoon ka rang hona chahiye. Jo daagh haiz se pehley nazar aatey hai [khaas ke tab jab aapko pata ho ke aapkey haiz ki tareeq nahi aayi hai] usey haiz nahi maana jayegah, usey istihadah maana jayegah. Aapko taqreeban 15 din lekey chalna hoga do haiz ke beech mei paak rehney ka, agar aapko roz bhi daagh dihaayi de, agar woh inn dino’n mein dikhaayi dey, toh woh theek hai, agar inn 15 dino’n ke baad, saaf ek khoon ka rang nazar aaye, toh woh aapka haiz hai aur aap wahan se aapkey haiz ke din shuru hotey hai, par agar woh phir bhi thoda gehra rang hai, jaisey Brown, halka brown ya peeley rang jaisa, toh aap namaaz padhtey reh saktey hai, woh haiz nahi hai, woh istihadah hai. Yeh ek bahaney jaisa hai. Par jab aapka haz khatam hojaata hai, aur aapko agar daagh dikhaayi deta hai ya kisi aur tareeqey ka khoon dikhaayi de 10 din tak toh usey haiz maana jayega, Insha Allah, yeh saaf hai.

Sawaal: Kya koi Tayammum kar sakta hai agar koi baar baar apni wuzu todey toh?

Agar aapkey paas koi bahana hai, merey khayaal se hum ne iss baarey mein baat kiye they. Kuch log nahi rok paatey hai, yeh insaani fitrat hai, kuch log musalsal apni wuzu tod detey hai. Toh aap phir wuzu kar ke namaaz padhey phir najaaney kuch bhi ho jaaye, ussey koi farkh nahi padhta. Agli namaaz tak, yeh aapki wuzu hai jab tak aap baitul khalah na jaaye [sirf baitul khalah jaana aapki wuzu tod degi, aisey haal main] kyu ke aap usey nahi rok saktey hai. Par agar aapsey galti se aapki wuzu toot jaati hai toh aap tayammum kar sakte hai agar jaisey Eid ki namaaz hai ya Janazey ki namaaz hai, toh aap tayammum karkey jaldi se bakiyo ke saath namaaz padhne lag saktey hai, kyu ke agar aapsey woh namaaz chhooth jaati hai, toh aap usey wapis nahi padh payegey. Par dusri namaazo’n ke liye aap ko jaa kar wuzu karna hoga. Toh aap tayammum nahi kar saktey baaki namaazo’n ke liye agar aap galti se bhi apni wuzu tod detey hai toh.

Sawaal: Safar ke dauraan kya main jootey utaarey baghair aur qibla rukh muh kiye baghair namaaz padh sakti hu? Haan, aap aisey kar saktey hai. Par dhyaan rakhey ke aapkey jutey neechey se saaf ho. Unhein bas zameen par ghiz de saaf karney ke liye, kyu ke jab woh sukhey hotey hai, tabh woh saaf hotey hai. Aapkey jutey ke neechey ka hissa ghiz de aur dhyaan rakhey ke woh na hi gandey ho aur naahi mitti waley. Phir aap padh saktey hai. Safar ke dauraan qibla rukh hue baghair padhna theek hai. Par usey aadat na banaye. Iski ijazat sirf safar ke dauraan jab aap train, bus ya hawaayi jahaaz mei ho, jab aapko pata na ho ke qibla kis rukh pe hai ya aap ko aapki jagah se hatney pe pabandi ho. Aur jab aapko itna dar ho, aur aapko nahi pata qibla kis rukh mein hai toh aap kisi bhi samt [disha] mein padh saktey hai. Jaisey ke agar aap kisi jungle mei hai aur aap darey hue hai, ya jung mein hai, ghar se bahir bhaag rahey hai, ya zalzala wagairah. Jab aapko bahot zyaada dar lagta hai par pata nahi hai ke qilbla kis rukh mein hai par namaaz ka waqt ho gaya hai, toh aap kisi hi samt mein padh saktey hai. Koi bhi chalti gaadi mei bhiaap padh saktey hai.

Sawaal: Agar hum hamesha [har roz] zair jama gandi kar detey hai             ke wajah se [safeyd jaisey rang ka haiz nahi] kya hamein har baar wuzu se pehley badalna hoga ya chalega agar hum zer jamaah wahi rehney de agar gandagi hamari angothey se kum hai?

Yeh mumkin hai agar yeh aapkey angothey se kum hai par agar woh zyaada hai toh aap pad laga saktey hai, aap ye pad badal saktey hai, aur agar ye pad bhar jaaye ya apni jagah se hatt jaaye, phir aapki wuzu toot jaati hai, par agar woh nahi bhara aur apni jagah par hai, toh theek hai, par agar aap pad nahi pehney ho aur woh aapkey angothey se kum hai aapki zer jamaah pe toh theek hai.

Sawaal: Masah kaisey kartey hai ya uss chowt ko kaise pochey jisey geela nahi kiya jaa sakta. kya uspey se paani phiraya jaaye ya sirf haath phiraye jo geela nahi ho, ya haath phira de uss chowt pe jo ke baandi hui ho?

Apney hath ko geela karo, par bahot zyaada nahi aur sirf uspey se phira do. Agar aap ki zakhm dhaki hui ho, Toh uss dhakey hue kapdey pe paani ka haath phira do. Koi zarurat nahi hai zakhmi jagah ko khol ke geela karne ki. Agar woh itni theek na hui ho ke uspey zara sa bhi paani lagaya jaaye, aap sirf masah bhi kar saktey hai apney haath se, bina paani istemaal kiye. Aur jab aap phira/masah paani ke saath kar rahey ho, aapka haath geela hona chahiye, woh bahot geela nahi hona chahiye. Aur agar zakhm ko dhaka hua kapda yeh karney ke baad gir jaaye, toh aapki wuzu nahi tootegi, aapki wuzu phir bhi rahegi, Agar aap wuzu kartey waqt masah zakhm ko dhakey huye kapdey pe kartey ho, aur phir aap kapdey ko badaltey ho ya phir kapda gir jaata hai aur aap usey phir se baandhtey ho, ussey aapki wuzu nahi tootegi, aapki wuzu puri hojaati hai, fikr mat karo.

Sawaal: Kuch din pehley meri haath ke zakhm mein infection hogayi thi, jo ke geeli nahi kiye jaa sakti thi, kuch hafto’n mein, aisey waqt mein kya sahi hai? tayammum karna ya plastic ka dastaan pehen kar wuzu karna, ya sirf ek haath sey wuzu karna?

Agar yeh sahi mein itna mushkil hai, toh sirf wuzu dusrey waley haath se aur masah kar lo, ya apna plastic ka dastaan pehen ke uspey masah karlo, usko poch do.

Sawaal: Kya hum tayammum kisi bhi tareeqey ke patthar se kar saktey hai ya phir woh ek marble wala hona chahiye? Aap kisi bhi tareeqey ka patthar istemaal kar saktey hai, saaf mitti, dhool, dhool wali jagah, raith ya mitti. Koi bhi saaf dhool chalegi, koi dhool wali cheez. Kuch aurtein yeh bhi puch rahi thi ke agar aap hawayi jahaaz mein hai, ya ek bus, toh kya yeh mumkin hai ke hum tayammum plastic par karey? – mujhey nahi pata woh kitna dhool wala hai. Par aap tayammum apney kapdo pe kar saktey hai kyu ke unn par dhool hoti hai. Toh aisey aap tayammum kar saktey hai hawaayi jahaaz wagairah pe. Sheesha ya lakdah istemaal karney ki ijazat nahi hai, kisi tarha ki mitti honi chahiye ya koi cheez jis pe dhool ho. Toh Insha Allah yeh theek hai.

Sawaal: Agar humaarey kapdey thodey gandey hai, ek anguthey se thoda sa zyaada, toh kya namaaz padhney se pehley unn par jubba chadhana theek hai, ya yeh humaari wuzu ko jaari nahi karega aur kya hamein hamarey gandey kapdey badalney hogey pehley?

Agar yeh sirf saadi dhool ya mitti hai baagh mei kaam karney ke wajah se yah phir kitchen mein kaam karney ke wajah se, ya kuch tail, thodi dhool, toh woh najasah nahi hoga, woh asli gandagi nahi hogi. Asli gandagi/najasa ya toh alcohol peena hai [sharaaab ya koi aisi peeney ki cheez jissey nasha ho], khoon, peshaab ya pakhanah, yeh sab asli najasah hai. Par saadi dhool/gandagi yaha wahan ki theek hai, aap ussey namaaz padh saktey hai. Par agar woh najasah hai, toh uss jagah ko paak karo, dho do ya phir poch do kisi geeli cheez sey teen baar phir aap ussey namaaz padh saktey hai.

Sawaal: Kya yeh mumkin hai ki hum haiz ke dauraan madrasa mein hamarey ustad ko Qura’an padh kar sunaaye, jab hamein haiz ho tabh?

Haan, unn khawateeno ke liye ijazat hai jo ke ustadni hai ya taalib e ilm Qura’an ke madrasa mein Qura’an padhney ki, seekhney ya sikhaaney. Par unhein usey haath nahi lagana chahiye, woh usey khol sakti hai. Ya toh dastaan pehen ke ya koi aisi heez jisko woh istemaal kar saktey hai safa badalney bina usey haath lagaye, aur phir usey padh saktey hai. Iski ijazat sirf taalib e ilm aur ustadni’yo ke liye hai.

Sawaal: Aur kya yeh theek hai ke ustad ko Qura’an padh ke sunana madrasa mein – ek aadmi jiska humsey koi rishta na ho?

Agar aapko padhaney wala [ustad] aadmi ho aur aapki class mein sab taalib e ilm khawateen ya ladkiya ho, toh theek hai.

Sawaal: Pehley Ders se main yeh nahi samajh paayi hu ke Mandub Mustahab ke jaisa hai. Agar nahi hai, toh unn dono mein kya farkh hai?

Mandub woh hai jo Huzoor ﷺ kar rahey they aur dusro ko bhi karney ka mashwara de rahey they, yeh karna acha hai. Lekin Mustahab, agar aap karey toh acha hai par agar nahi karey toh koi gunaah nahi.

Sawaal: Agar aapki wuzu tooti nahi toh bhi 24 ghantey purey honey pe wuzu karna hoga, toh kya mujhey khuff utaar ke sirf pair dho dey na hoga ya phir puri tareeqey se wuzu taaza karna hoga?

Khuff ko 24 ghantey baad utar ke puri wuzu taaza karna [aur pair ko dhona] aur har 24 ghantey mein apney khuff ko utaar na hoga aapko[ phir bhaley aapki wuzu na tooti ho 24 ghantey tak!!!]

Sawaal: Agar mein wuzu mein hu aur khuff aur agar mein usey utaar du. Kya wuzu toot jayegi khuff utaarney pe?

Agar aapney taaza wuzu ki ho aur khuff pehney ho aur phir utaar di ho, toh theek hai aapki wuzu mukammal hogayi hai. Par agar aap baitul khalah gaye ya apni wuzu tod diye aur phir wuzu wapis kiye, aur phir apna khuff utaarey toh aapko sirf apney pao dhoney hogey kyu ke aapki wuzu tooti nahi hai sirf namukammal hai. Toh aapko sirf apney paao dhoney hogey.

Sawaal: Kya tayammum patthar ki deewar pe kiya jaa sakta hai, mitti, jali hui eeth?

Haan, haan.

Sawaal: Agar mein roza hu, aur mujhey haiz aajaye rozey ke dauran, toh kya mujhey foran kuch khaa lena chahiye?

Haan.

Sawaal: Agar ladki ki umr 15 saal se zyada ho aur phir bhi haiz nahi aaye to iss ka kya hukum hai? Kya usay pehlay hi namaaz, roza rakhna chahiye, halaanki usay abhi haiz nahi aaya hai?

Ha.

Sawaal: Kya istihadha ki haalat me hum roza bhi rakh saktey hai?

Ha.

Sawaal: Agar aapko haiz aana shuru ho jaye aur yeh 3 din se kam rahey to usay istihadha samjha jata hai to kya aapko woh namaazain wapas karni chahiye? [un namaazon ki qaza padhna]

Ha, Insha’Allah.

Sawaal: Budhi (Umr-daraaz) khatoon jis ko haiz nahi aata aur kisi qism ka khoon aata hai, iss ke liye kya hukum hai?

Istihadha ka hukum.

Sawaal: Agar aapko 40 roz se pehlay khoon aana band ho jaye, jab aapko bachha paida ho jaaye – nifas, kya aapko ghusal karna hai aur namaaz shuru kar saktey hai aur kya aap roza bhi rakh saktey hai? jismaani talluq kar bana saktey hai?

Haa, haa. Khawateen ke liye nifas ka qaida yeh hai ke pehla bachha honey par usay yeh pata chalega le kitney roz tak khoon beh raha hai ya dhabba aata hai. Kuch khawateen ko yeh 1 hafta, 2 haftay, 40 roz tak aata hai. Agar ek khatoon 20 roz me paak ho jaye, maslan, 20 roz ke baad woh gusul kar sakti hai aur mamool ke mutabiq jari rakh sakti hai. Nifas ke waqt ki zyada se zyada tadaad 40 roz tak hai, iss me kam-az-kam ka koi zikr nahi hai kyunkay yeh har khatoon ke liye mukhtalif hota hai.

Sawaal: Hamal se pehlay jo khoon nikal sakta hai woh istihadha hai to kya aapko namaaz ki qaza ada karni hai?

Ha.

Sawaal: Nifas ka waqt bachha nikalney se shuru hota hai?

Ha.

Sawaal: Kya haiz ke dauraan khatoon zikr me shaamil ho sakti hai dargah me agar waha koi maqam ho to?

Agar maqam me haqeeqi jism ho to nahi. Lekin agar yeh sirf ek alaamati maqam hai [iss me koi dafan nahi hai] to theek hai. Lekin agar yeh haqeeqi maqam (qabr) hai to woh nahi ja sakti.

Sawaal: Kya haiz ke dauraan khatoon Quran ki tilawat kar sakti hai agar woh taalib-e-ilm ya ustaad hai?

Ha, sirf sikhne ya sikhaney ke liye (jamaat me).

Sawaal: Kya haiz ke dauran khatoon apna yaumiya zikr mukammal kar sakti hai jo woh rozana padhti hai? Mawlana Sheikh Abdullah farmaaya kartey: “Allah Azza Wa Jalla haiz ke dauraan khatoon ko namaaz ya rozay ke liye nahi puchta, iss liye hum usse rozana ka zikr, awraad ke liye nahi keh saktey.”

Agar unhey bahut khaalipan mehsus ho raha hai to woh yeh padh saktey hai: Astaghfirullah, La ilaha illa Allah and

Allahumma salli ‘ala Muhammadin wa ‘ala ‘aali Muhammadin wa sallim.

Sawaal: Mere betay ki umr 15 mah hai, mai janna chahti hu ke tahara [khatna] karne ke liye mozoon tareen umr kab hoti hai aur iss amal se pehlay aur baad me hamein kin ahem baato ko zehen me rakhna chahiye? Mardo ke liye khatna karna wajib hai. Jab mumkin ho jayein to isay karna chahiye. Kuch mulko me bachho ko bada honay dete hai aur iss ke liye jashn manatey hai, yeh sirf saqafat hai. Jab woh chhotey hotay hai to bachho ke liye yeh behtar hota hai. Aur aap iss ke liye thoda sa milaad kar saktey hai ya sadqa de saktey hai aur usay jashnn ki tarah kar saktey hai. Khatna kisi bhi umr me ki ja sakti hai. Mawlana Sheikh Nazim, jab naye naye mard mureed atay thay, to inhay yaha doctor ke paas bhejtay, Allah yarhamu, aur unka khatna karaya jata. Lekin agar aap ke bachhay ya chotey bachhay hai, to yeh aap ke liye aasaan hai jab woh abhi chotey bachhay hotey hai. Jab bhi aap ke liye mumkin ho, aap usay kar saktey hai. Yeh achha hai.

Sawaal: Agar aglay ramzaan se pehlay chhutay huye rozay ki qaza adaa na kar sakay aur ek hissa sadqa adaa karday to kya yeh kaafi hoga?

Agar aap sehat-mand aur jawaan hai to aap usay adaa kar saktey hain, lehaaza aap ko usay adaa karna chahiye. Quran me bayaan hai: ‘fa‘iddatun min ayyamin ukhar’, فعدۃ ِم ایا من اخر [Quran: 2:184] (aap ne jitne rozay chhodey hai usay mukhtalif waqt me qada adaa karley), agar aap ramzaan me roza tod-tey hai aur aap ke paas waqt nahi ho usay pooray saal ke douran adaa karne ke liye, aap usay kisi dusray waqt me adaa kar saktey hai, yeh mustarad nahi kya jayega. Jab tak ke aap bohat boodhay (umr daraaz) na ho ya aap ki bemari qabil-e-ilaaj na ho to aap un dino ke liye paisay de saktey hai jin dino aap ne roza nahi rakha. Lekin agar aap jawaan aur tandaroost hai to zindagi mein kisi bhi waqt ramzaan ke jo bhi rozay aap ne kisi jaaiz wajah se tod diya hai toh unki qaza adaa karley.

Sawaal: Kya haiz ke dauraan phone se Quran ki tilawat ki ja sakti hai?

Nahi, jab tak ke aap talib-e-ilm na ho, taleem ke liye ibadat ke liye nahi.

Sawaal: Agar koi gusul ki sharait me se ek shart karna bhool jaye maslan naak me paani ka, kya gusul baatil ho jata hai? Nahi yeh na-jaiz nahi hai. Agar aap bhool jaye aur aap ko gusul ke dauran yaad aajaye, toh aap usay dho saktey hai. Agar nahi, to iss ki ijazat hai – sirf intehai zaroori soorato ke liye [aur mein iss baat par zor dena chahti hu ke yeh intehai zaroori soorat-e-haal honi chahiye] – yeh kehna ke ‘maine apna gusul [iss ki sharait ke mutabiq kiya hai] Shafi’i mazhab. Kyunkay Shafi’i mazhab me muh aur naak ko jism ke andar samjha jata hai lekin hamaray mazhab [Hanafi mazhab] me muh aur naak ko jism se baahar samjha jata hai, iss liye inhey alag alag dhona zaroori hai. Lekin agar aap bhool jaye, to aap keh saktey hai ke ‘yeh gusul Shafi’i mazhab ke mutabiq kiya gaya hai’, sirf iss soorat me jab yeh bohat zaroori ho to aap kisi dosray mazhab ki niyyat [irada] kar saktey hai. Agar aapko apne aapko dhotay waqt yeh yaad aa jata hai, to aap apni naak dobarah dho saktey hai, theek hai.

Sawaal: Hajjah Rukiye, aap ne masjid me daakhil na honay ki baat ki, lekin aap dargah me daakhil ho saktey hai, agar hamara haiz jaari hai. Kya farq hai masjid aur dargah me?

Dargaah ek aisi jagah hai jaha aap apni roz marrah ki zindagi guzartay hai, yeh na sirf namaaz ke liye jagah hai. Dargaah me hamesha iss ka ek hissa namaaz ke liye hota hai, ek namaaz ka kamrah ya choti masjid. Zyada tar dargaah me aap ki roz marrah ki zindagi hoti hai, ek ghar ki tarah, lekin iss ka ek hissa bhi hai jo masjid ki tarah hai, iss liye aap apne haiz ke dauran iss hissay me nahi jatay hai. Masjid sirf namaaz, ibadat ki jagah hai, yeh 24 ghantay rehne ke liye nahi hai. Yehi farq hota hai dargaah aur masjid me.

Sawaal: Kya khawateen ko haiz ke dauran rukya (wazifa) karna jaaiz hai? baaz auqaat inhey bahot zyada zaroorat hoti hai, to kya woh apne oopar ruqya aur manzil padh saktey hai?

Ruqya, yeh mumkin hai, agar iss me Quran ki ayat na ho, toh yeh theek hai. Woh padh saktey hai. Lekin agar aap ko Quran ka kuch hissa padhna ho to aap nahi padh saktey. Aap yeh kisi aur ko apne liye padhne keh saktey hai. Aur manzil– jahan tak mai jaanti hu – manzil ka matlab hai har roz Quran ke chand juz [baab] padhte hai aur aap usay 7 dino me mukammal karte hai. Yeh Pakistani riwayat hai. Lehaaza manzil ke liye, nahi aap aisa nahi kar saktey hai, lekin ruqya mumkin hai kyunkay aap iss me Quran ki chand aayat ko dua ke taur par padhte hai, Quran ke taur par nahi, to yeh theek hai.

Sawaal: Kya salaam ya pyaar ki niyyat se shauhar ko bosa dena aur galey laganay se wuzu toot jata hai?

Nahi.

Sawaal: Agar namaaz padhte waqt kisi zakhm ka khoon ( jisse namaaz ki shuruwat me khoon na aaya ho lekin namaaz ke dauran khoon anay lagey) hamaray kapron par lag jaye. Kya isse namaaz fasid ho jati hai? Kya hamein kapday tabdeel karne ki aur dobara wuzu karne ki zaroorat hai?

Nahi, aap apni namaaz jari rakh sakety hai aur agli namaaz ke liye aap ko kapdo ke uss hissay ko saaf karne ki zaroorat hai jis par khoon tha, aur agli namaaz ke liye naya wuzu karley. Lekin jab aap namaaz padh rahay ho to aap jari rakh saktey hai.

Sawaal: Agar hum ne wuzu kiya ho aur phir malum ho ki namaaz ke liye kapday tabdeel karne ki zarurat hai. Kya kapday tabdeel karne se wuzu toot jata hai? Nahi.

Sawaal: Mai ne dekha hai ke log apne pairo par pehne jarabo par se paani daaltay hai bajaye apne jarabo ko utarney aur apne pairo ko poori tarah dhoney ke. Unhoney kaha ke yeh jaiz hota hai agar aap subah ke wuzu ke baad saaf jarabay pehanley. Kya iss ki ijazat hai?

Aisa karne ki ijaazat nahi hai. Mest ya khuff rakhnay ki shart yeh hai, ke jab aap khuff par masah kartey hai to paani iske andar nahi jata hai. Jisay aap khuff kehte hai iska mawaad hona chahiye waterproof (paani asar na karey): jaisay chamday ke mozay, ya ketche oon ke mozay, ya rubber ke mozay jaisi koi cheez. Lekin aam jarabo ke sath jo unke zariye paani ko guzarne detey hai, yeh jaiz nahi hai, khaas taur par agar aap ne tights (chust pajama) pehan rakhi hai, yeh bahut patli hoti hai, baaz auqaat aapko yeh bhi mehsus nahi hota ke aapne inhey pehney rakha hai, yeh bilkul mumkin nahi hai. Lekin, kaam par jane ke liye, aap wuzu kar saktey hai aur apne lambey jootay pehan saktey hai unko khuff ke taur par istemaal karne ki niyyat se pehen saktey hai aur aap iss baat ko yaqeeni banatay hai ke aap inhey poora din nahi utartey hai, phir aap apne lambey jootey pehan kar namaaz padh saktey hai aur wuzu ke liye unpar masah kar saktey hai. Lambey jootay khuff ki tarah honge aur aap unke sath namaaz padh saktey hai, inhey utaarey baghair, unhey neechay se saaf karne ke baad. Iske liye aap ke paas lambey jootay hona zaroori hai na ke koi aam jootay, kyunkay khuff ke liye shart yehi hai ke woh aap ke takhno ko dhanpta hai. Lekin agar aap inhey utaar dete hai apne lambey jootay, to aap ko apne pairo ko dhona hoga. Lambey jootay aam taur par unke zariye paani ki guzarne nahi detey, aur woh takhno ko bhi dhanpte hai taakay inhey khuff ke taur par istemaal kiya ja sakay. Albatta agar aap kisi masjid me jaye, to aap ko inhey utaar kar pairo ko dhona hoga.

Sawaal: Mujhe 9 mahiney ke rozay ki qaza adaa karni baaqi hai? Mujhe apne 9 mah ki qaza kaise adaa karni chahiye? Kya mujhe pehlay kaffara adaa karna hai? Aur mere kaffara ka rozay ke dauran mujhe haiz aajaye, to kya hoga?

Uska kehna hai ke woh 9 mahino ke rozay ki maqrooz hai. Kya woh rozay jo aap ne chhodey hai uska kaffara zaroori hai? (Haan. Usne haan kaha.) Phir usay musalsal 60 din kaffara ke rozay rakhna honge. Agar iss dauran usay haiz aajaye to woh apna roza tod sakti hai aur jab woh paak ho jati hai to usay dobarah roza rakhna hai jab tak ke woh tamam 60 din mukammal ho jaye, baghair waqfay ke (haiz ke dino ko beshak chhod ke). Usay rozay rakhna hai aur dino ko shumaar kartay rehna hai 60 din mukammal honay tak. Haiz ke darmiyaan me aa jane se aap ka kaffara nahi toot-ta lekin aap ko yeh yaqeeni banana hoga ke aap ke haiz chahay jitne bhi din rahay, 7 din ya 8 din, ke jab aglay hi din haiz khatam hojaye to aap ko 60 rozay jari rakhnay honge. Yeh kaffara ke liye hai. Phir jitne bhi din aap par maqrooz hai, aap woh rozay saal me kisi bhi waqt rakh saktey hai, aahista aahista, aap niyyat kar saktey hai, hisaab karey ya likhley. Aap qaza ke taur par roza rakh saktey hai un dino ke rozay ke liye jo aapne nahi rakhey saal me kisi bhi din, siwaye Ramzaan ke, kyunkay iss waqt roza rakhna farz hai. Aur aap roza nahi rakh saktey Eid Fitr ke din, aur Eid al-Adha ke 4 din, Hajj ki Eid. In 5 dino me roza rakhna mamnoo hai. Baad saal ke deegar dino me aap roza rakh saktey hai kaffara ke rozay mukammal karne ke baad.

Sawaal: Chhoti ladkiyo ko kabsay roza rakhna shuru karna chahiye?

Jab woh 10 saal ke ho jaye, to aap unsay roza rakhnay ko kahey. Agar woh chhotey hai aur roza rakhna chahtay hai, to aap inhen adhay din ya ¾ din ka roza rakhnay day saktey hai, agar woh jari rakhna chahtay hai to yeh theek hai. Agar woh shauqeen hai, to woh kisi bhi waqt shuru kar saktey hai lekin uss waqt nahi jab woh bahot jyada chhotey ho. Un par yeh farz hai, ladkiyo aur ladko par, jab woh baloghat ko pahonch jaye.

Sawaal: Hum kyu bathroom (ghusal-khana) ke liye mukhtalif jootay istemaal kartay hai? Baaqi ghar ke hisse me bathroom ke jootay kyu nahi istemaal karna chahiye? Bathroom ke jootay bathroom me kyun rehna chahiye aur kahi aur istemaal kyu nahi karna chahiye?

Kyunkay hum namaaz padhtay hai, har woh jagah jo saaf hai aap uspar namaaz padh saktay hai. Isiliye aap ghusal-khana ke liye alag jootay banaye taakay ghar mein najasat na ho aur iss baat ko yaqeeni banaye ke aap ka ghar saaf suthra aur Tahir (paak) hai.

Sawaal: Mai yeh janna chahti thi ke mai apna sir dhanpnay ki koshish kar rahi hu ghar me apne shauhar aur bachho ke sath. Iss baray me kya mashwarah sir daanpna ghar me, raat ko sotay waqt, aur baitul- khala jatay waqt?

Yeh mashwarah hai ke ghar me apne baalo ko dhanpna hai lekin kya aap usay bahar bhi dhanptay hai? Yeh hai doosra sawaal. Agar aap ke shauhar ko koi aitraaz nahi hai, to yeh theek hai aap ghar me apne baalo ko dhaanp saktey hai. Agar usay aitraaz hai, toh phir zarurat nahi hai ghar me dhanpnay ki. Sotay waqt ya baitul-khala jatay waqt baalo ko dhanpna mustahab hai. Zyada tar yeh mardo ke liye mashwarah hai sir dhaanp kar baitul-khala jane ka.

Sawaal: Kabhi kabhi mujhe yaad nahi rehta ke wuzu toota hai ya nahi iss soorat-e-haal me kya mujhe dobarah wuzu karna hoga?

Agar aapko yaad nahi hai to wuzu dobarah karna hoga.

Sawaal: Jab aap safar kar rahay ho, to kya aap hawai jahaaz ya car / bus me apne samnay wali seat ke sath tayamum kar saktey hai kyunkay yeh plastic ka hota hai?

Agar aapke paas koi ikhtiyar nahi hai.

Sawaal: kya yeh theek hai jab bachhay ka thoda sa peshab, beshak aap ka nahi, aap ke kapdo par ho, kya aapka wuzu phir bhi bana rehta hai aur kya aap un kapdo mein namaaz padh saktey hai?

Agar bachha maa ke doodh ke alawa kuch na khaye aur na piye to yeh theek hai kyunkay iss ka pishaab najaasat nahi hai. Lekin agar bachha maa ke doodh ke alawa koi aur cheez kha aur pi raha hai to iska pishaab najaasat hai aur aap uss jagah ko dholey ya achhi tarah masah karley taakay koi boo ya daagh nahi ho. Kapday utarney/ tabdeel karney ki zaroorat nahi hai, aap iss jagah ko dho kar saaf kar saktey hai. Yeh tab hota hai agar pishaab aapke angoothay ke hissey se bada hissa ganda karta hai. Agar yeh chhota hissa hai to koi harj nahi hai.

Sawaal: Mera sawaal zair-e-naaf ke baal (sharmgah ke baal) nikalne ke baray mein hai. Maine seekha hai ke usay 40 roz mukammal honay se pehlay nikal dena chahiye…Mai janna chahti hu ke kya haiz aur raat ke waqt zair-e-naaf ke baal nikalna jaaiz hai ?

Jab aap janabat mein ho to apne baal ya naakhun kaatna jaaiz nahi hai, lekin haiz ke douran theek hai. Raat mein naakhun aur baal katwanay ko tarjeeh nahi di jati.

Sawaal: Agar hum kisi bachhay ya kisi aisay shakhs ki madad karey jo khud ko haajat ke baad saaf nahi kar sakay to kya isse hamara wuzu baatil ho jata hai ?

Nahi, Hanafi mazhab ke mutabiq.

Sawaal: Agar hamara mazhab Hanafi nahi hai, to kya hamein apne mazhab ke mutabiq tamaam faraiz adaa karna honge ya phir jo Hajjah Rukiye ne hamein hamaray Sheikh ke mazhab ke mutabiq sikhaya hai iss par amal karna durust hai?

Ek usool ke taur par hum apna mazhab tabdeel nahi kartey, iski sifarish nahi ki jati. Lekin agar aap bilkul nahi jante ki aap ka mazhab kaunsa hai ya aap ko apne mazhab ke ehkaam maloom nahi hai aur aap usay tabdeel kar ke apne Sheikh ki pairwi karna chahtay hai to Hanafi mazhab achha hai. Aap ko ek hi mazhab ke ehkaam par amal karna hoga aur is par qaim rehna hoga. Sirf fauri intehai halaat mein, jab aap ko kisi dusray mazhab se izr ki zaroorat ho, to aap yeh kar saktey hai lekin isay aadat ke mutabiq na karein. Agar aap kisi fauri soorat e haal mein hai aur aap ko iss ke liye Fatwa ki zaroorat hai ya aap ke mazhab mein iski ijazat nahi hai ya mumkin nahi hai, to aap kisi dusrey mazhab se madad le saktey hai, lekin sirf zaroori muamalat ke liye. Lekin hamara mashwara yehi hai ke aap apne mazhab ko barqarar rakhein.

Sawaal: Mera aksar haiz ke darmiyan ek poora din aisa hota hai jis mein bilkul khoon nahi aata, hatta ke koi dhabba bhi nahi aata, kabhi kabhi taqreeban 24 ghantay tak isliye maine pehlay hi gusul karkey namaaz padhli aur khayaal kiya ke yeh khatam ho gaya hai (taqreeban 4 din khoon aane ke baad). Lekin phir taaza khoon aajata hai aur mazeed 3 dino tak mujhe halki si muddat pesh hoti hai. Sawaal yeh hai ke kya mai in dino ko mamool haiz ke mutabiq samjhu?

Har khatoon khud janti hai ke uske haiz ki muddat kitne waqt tak chalegi. Jab tak aap ke paas koi bahana/jaaiz wazahat,

koi bimari, koi cheez jisse aapke hormones ka qaida thoda sa “bigad” gaya hai, toh ho sakta hai aap ke haiz be-qaida ho jaye ya din zyada hojaye ya din kam hojaye. Lehaaza, aap khud jantay hai ki aap ki muddat kitni hai, 7 roz, 8 roz, 3 roz, 5 roz. To misaal ke taur par yeh kehte hai ke aap ke haiz 7 roz tak hai, umooman aksar khawateen ko aisa hota hai, aur teesray roz ko haiz ruk jata hai. Is ka matlab yeh nahi ke aap gusul kar le, nahi, aapko intezaar karna hai, aap khud jantay hai ki aap ka haiz 7 roz tak hota hai, jaldi mat karey aur gusul karke namaaz shuru na karey. Aap ko 7 roz tak intezaar karna hoga yeh dekhne ke liye ke agar waqai yeh khatam ho chuka hai, kyunki aap jantay hai ke 1-2 roz ke baad aapko dobarah yeh dhabbay nazar ayenge ya kuch dino mein mazeed khoon behne lageyga. Lehaaza, agar 1 roz tak khoon nahi aa raha hai aur aap jantay hai ke aap ki muddat 7 roz ki hai, to aap apne haiz ke dino ki pairwi karey. Lekin agar aap nahi jantay, agar aap ka haiz be-qaida hai ya aap nahi jante ki yeh kaise hai, to aap 10 roz tak intezaar karey – aapka 1 roz saaf ho sakta hai, baqi roz saaf nahi ho sakta hai. Lekin do haiz ke darmiyan kam-az-kam 15 roz ka saaf hona zaroori hai. Yahan tak ke agar aapko dhabbay aatey hai, aapko khoon beh raha hai, phir bhi aapko do haiz ke darmiyan 15 roz ki safai shumaar karni hogi. Aap ke haiz ke darmiyaan dino ki tadad la-mutnahi ho sakti hai lekin kam-az-kam 15 roz saaf hona chahiye.

Sawaal: Ab jab mere haiz ruk gaya hai aur mai namaaz padhna chahti hu, kya mai 1 namaaz, ya 2 namaazo tak intezaar karu taki iss baat ka yaqeen hojaye ke kuch nahi aara hai ya phir mai jaldi se gusul kar lu?

1 namaaz ke waqt tak. Agar aapko mukammal yaqeen hai ke yeh ruk chuka hai, to aapko namaaz ke 1 waqt tak intezaar nahi karna hai. Aap jaldi se gusul karkey namaaz adaa karna shuru kardey.

Sawaal: Hawai jahaz mein paani ki miqdaar mehdood hoti hai. Kya hum wuzu ke bajaye taharah kar saktey hai? Yeh kaisay karna hai? Kya hamein apni namaazay dohrana hongi jab hum utar jaye kyuki hawai addey par paani hota hai? Baitul-khala istemaal karne ke baad safai ke liye, agar aap ke paas jyada paani nahi hai to aap toilet paper (jaye zaroorat ke liye kaghaz) istemaal kar saktey hai. Aap 3 martaba, 5 martaba saaf kar saktey hai, jab tak ki aapko yaqeen hojaye ke aapka nichla hissa saaf aur khushk hai. Aur agar kaafi paani na ho to tayammum karke namaaz padh saktey hai, yeh theek hai. Agar aap ke paas waqt ho to jab aap utar jaye, toh aap wuzu kar ke namaaz dobarah padh saktey hai, agar aap ke paas waqt nahi hai to yeh theek hai.

Sawaal: Kya hum zameen ki bareek mitti taharah ke liye istemaal kar saktey hai?

Ha.

Sawaal: Kya istinja tayammum ka hissa hai ya nahi?

Nahi, istinja hota hai apne aapko peshaab aur deegar cheezo se paak karna aur tayammum hota hai wuzu ki tarha jab aapko paani nahi milta ya phir aapke paas jyada paani nahi hota hai, ya agar paani ke istemaal se pyaase reh jana ka khatra ho, to aap tayamum kar ley .

Sawaal: Tayamum kaise karey agar aap safar mein hai aur namaaz ka waqt ho jaye ? Mere khayal mein inhey ders padhna hoga

Sawaal: Bara-e-karam kya aap istihadha ke mauzu par jaa saktey hai : agar kisi aurat ka haiz gair-mamooli ho gaya hai aur ab usay kayi mahino se musalsal khoon aa raha hai. Yeh kaise maloom kiya jaye ke kab namaaz padhni hai aur kab nahi padhni aisi soorat-e-haal mein?

Mere khayal se maine yeh pehle hi bata diya hai. Agar aapko har waqt khoon beh raha hai, to 10 roz haiz ke taur par shumaar karna hai, aur phir agley 15 roz ko saaf samajhna hai, chahey aapko dhabbey bhi aatey ho. Phir 15 roz baad agar aapko ab bhi khoon beh raha hai, to aap 16 roz se isay haiz ke taur par shumaar karley.

Agar aapka haiz ek taweel arsey se ruk gaya hai, aur phir shayad 6 mah ke baad aapko ek aur haiz ajaye, to yeh haiz hi hoga, usay haiz ke taur par hi shumaar karna hoga. Iss ka matlab hai ke yeh nahi ruka. Istihada ko menopause/rajonority (haiz mukammal band hona) mein shumaar karne ke liye zaroori hai ki aapko 1 saal tak haiz nahi aaya ho, 1 mukammal saal jahan aap ko haiz nahi aaya ho, iss muddat ke baad jo bhi aata hai woh istihada hai. Lekin agar iss ke darmiyaan aapko haiz aaya hai ek mah mein, aur 3 mah ke baad aap ko dobarah yeh aata hai, ya 5 mah, ya 9 mah, ya 10 mah, isse koi farq nahi padta, yeh haiz ke taur par hi shumaar hoga. Lehaaza aapko namaaz nahi padhni hai, aapko roza nahi rakhna hai, aapko koi bhi aisa kaam nahi karna hai jo aap ke haiz ke dauran jaaiz na ho. Lekin agar aapko 1 saal, mukammal 12 mah tak haiz nahi aaya aur aapko iss muddat ke baad haiz aata hai to isay istihada samjha jayega, isay haiz ke taur par shumaar nahi kiya jayega.

Sawaal: Hajjah Rukiye ne janabat ka tazkara mardo ke geelay khwaabo se kiya tha. Khawateen ke liye kya fiqh hai iss tarah ke buray khwaab ko dekhna, kisi qism ka shehwa mehsoos karna sotay waqt ya jagtay waqt?

Agar unhey gila lagey, agar unhey gila nazar aaye, toh unhey gusul karna hoga.

Sawaal: Iss qism ya deegar tarah ke burey khwaabo se bachne ke liye kya karna sabse munasib hoga?

Wuzu karley aur so jaye aur padhley Ayatul Kursi aur Qul audhu bi rabbil falaq [Surah Al-Falaq] aur Qul audhu bi rabbin naas [Surah Al-Nas] apne upar soney se pehle.

Sawaal: Agar qareeb se guzarnay wala kutta mere kapdo ko chhoo lay to kya karna chahiye? (baaz auqaat kuttay walay log peechay se atay hue tezi se guzar jatay hai. Aur agar mujhe kisi kursi par kuttay ke baal honay ka shak ho to mujhe kaha baithna chahiye? )

Agar aapko yaqeen nahi hai ke yeh hai bhi ya nahi, tab theek hai, waswasa na banaye. Agar aapko yaqeen hai, to aapko uss jagah ko saaf karna hoga.

Sawaal: Iss behen ki guzarish hai aapse ke ek ders dijiye janazay ke baarey mein aur murdah ko kaise nehlaya jaye.

Inshallah, hum karenge.

Sawaal: Mera ek sawaal hai baitul-khala se mutaliq, jab hum baitul-khala se farigh hotey hai, kya hamein baaye haath se saaf karna hai?

Ha

Sawaal: Kya aap bara-e-karam bata saktey hai ke humein wuzu karney ki kya zarurat hai aur wuzu kaisey karna hai? Hamari aksar ki ibaato ke liye aapko wuzu karna zaroori hai. Kyuki yeh Allah Azza Wa Jalla ka hukm hai, isliye humein wuzu karney ki zarurat hai.

Sawaal: Wuzu ke darmiyaan agar koi shakhs 1 cheez dhona bhool jaye lekin uss ne baqi tamaam hisso ko dho liya ho aur usay achanak yaad aaye ke 1 hissa dhona baaki hai, to kya usay tamaam wuzu dobarah karna hoga ya sirf chhodey hua hissay ko dhona hoga?

Sirf chhoota hua hissa dholey.

Sawaal: Agar kisi khatoon ko safed paani kharij hota hai aur jaise Hajjah ne kaha agar woh khatoon pad (haiz ka kapda) pehenti hai toh yeh theek hai lekin agar pad apni jagah se hat jaye toh kya issay wuzu toot jayega. Mujhe yeh samajh nahi aaya. Kya aap bara-e-meherbani dobara wajahat kar saktey hai? Aur kya namaaz padhne se pehle zair-jama pe kharij huyi cheez ko bhi dhona zaroori hai?

Isiliye hum pad (haiz ka kapda) ka istemaal kartey hai. Ek pad apni jagah se asani se nahi hilta jab tak ke woh mukammal taur par bhara na ho, ussay wuzu toot jayega.

Sawaal: Agar kisi aurat ko haiz hota hai ya sirf dhabbey har mahine har roz aur iske darmiyaan koi waqfa nahi hota hai, har roz dhabbay aatey hai lekin kabhi kabhi dhabbey bohat chhotey hotey hai. Usay kaise apne haiz ka hisaab lagaye chahiye? Kya usay 10 roz ko haiz mein shumaar karkey phir aglay 15 roz istihada mein shumaar karkey aur phir 16 roz se dobarah haiz ke taur par shumaar karna hai?

Iss mauzu par pichley sawalat ke jawaab padley.

Sawaal: Kya gilay hatho se jarabo par masah karna jaaiz hai, khuff ki jagah, wuzu kartey dauran?

Mere khayal mein mai iska jawab pehle hi bata chuki hu.

Sawaal: Mera sawaal wuzu ke mutaliq hai, kya bacchay ko doodh pilaney se wuzu toot jata hai?

Nahi, issay aapka wuzu nahi tootega.

Sawaal: Kya andar ke kapde/zair-jama tabdeel kiye bagair kapde ka taza joda tabdeel karney se wuzu toot jata hai? Nahi Sawaal: Agar hum wuzu ke dauran apna sir khula rakhte hai to kya issay wuzu toot jata hai?

Nahi

Sawaal: Kya Hajjah Rukiye ke liye yeh samjhana mumkin hai ke agar aap ke ird-gird koi shakhs cigarette peeta hai jab aap namaaz ada kar rahey hotey hai aur agar aap sajde mein jatay hai to aap jo kuch saans le saktey hai woh mahol mein cigarette peenay walay shakhs ka dhuwaa hota hai aur agar iska asar hamari namaaz par padega aur hamaray wuzu par?

Yeh haraam hai, cigarette noshi achi nahi kyunkay iss se aapko nuqsaan hota hai. Har woh cheez jo aapko nuqsaan pahochati hai haraam hai. Lekin agar aap apne ird-gird ke logo ko qaboo mein nahi rakh saktey, to sabr karey aur dua

karey ke Allah inhen achay rastay ki taraf rahnumai karey. Tambaku noshi farishto ko door kar deta hai, woh badboo ko pasand nahi karte. Agar aap ko apne ghar mein apne liye koi mehfooz gosha milta hai to waha namaaz padhe, behes na karey, koi hungama na karey iss se koi faida nahi hoga. Bas unke liye dua karey ke Allah unko seedha rasta dikhaaye.

Sawaal: Kya hamein har dafa wuzu ke baad Salat al-Wuzu padhna zaroori hai?

Agar aap kar saktey hai, ha.

Sawaal: Ek nuqta iske mutaliq hai ke namaaz kitne roz nahi padhni chahiye agar koi khawateen ko haiz aata hai ya usay bachha paida hota: mai samajh gayi ke zyada se zyada yeh 10 roz hai aur 40 roz hai bal-tarteeb. Lekin phir is baray mein ek hissa tha ke agar khoon zyada roz tak jari rahay: to kitne roz shumaar karna hoga? aur phir namaaz? ya namaaz padhni hogi 10 aur 40 roz ke baad iss dauran bhi jab kharij jaari hai? aur iss “taweel waqt” ko kisme shumaar hoga? Iss ne mujhe uljha diya hai.

Bara-e-meherbani khawateen, ders padhey, Ders number 3. Humne iss sab ke baare mein baat ki hai. Aur ab mujhe lagta hai ke humne ek ghantey ki muddat sirf isi baat mein guzaar di hai, haiz, haiz, haiz. Kitna bada hungama hai khawateen ke liye! Astaghfirullah.

Sawaal: Kya wuzu kabool hoga agar kisi khatoon ke aankho aur bhawo par godnay ka nishaan (tattoo) hai?

Ha. Godnay ka nishaan (tattoo) banwana jaaiz nahi, haraam hai. Lekin agar aap ke paas Godnay ka nishaan hai, to aap usay dho saktey hai, aap ki jald gili honi chahiye, aur godnay ka nishaan (tattoo) aap ki jald ke neechay hai na ke iske oopar, yeh paani ko aap ki jald tak jane se nahi rokta, lehaaza yeh theek hai. Lekin godnay ka nishaan (tattoo) nahi banwana zyada behtar hai.

Sawaal: Pichley hisse se hawa/sun-hwa guzarnay ke baad kya mubashrat jagaho ko dhona zaroori hai ya haath waghera dhona kaafi hai? Nahi, agar aapko baitul-khala jana padh jaye to dholay. Sirf sun-hawa ka guzarna theek hai.

Sawaal: Kya tayammum kar saktey hai agar mubashrat (shauhar se taluqaat qaim karna) ke baad gusul na kar sakay aur namaaz ka waqt ho gaya hai, aur agar pooray din mein gusul karna na-mumkin ho?

Ha aur agar aapke paas paani hai to aapko gusul karna hoga. Lekin agar aapke paas koi jaiz wajahat hai to theek hai.

Sawaal: Ek daimi bemaari ki wajah se jo Mujhe pichle 10 saalo se la-haq hai, Mujhe peshaab mein takleef hai aur Mai pad (zair-jama ke ander ek kapda) istemaal karti hu. Mai wuzu kaisay qaim rakhu?

Hum iss baarey mein baat kar chukay hai. Har namaaz ke waqt ke liye, aapke paas ek naya pad ya jo kuch bhi zaroori taur par aap peshaab ki takleef ke liye istemaal karte hai apne aapko saaf rakhnay ke liye, bas usay istemaal karey, aur wuzu karey aur namaaz padley. Yeh ek qaida hai ke jab namaaz ka waqt hojaye, to aap jaldi se wuzu karley aur farz padhey jo aap par laazim hai. Aur is wuzu se aap ibaadat kar saktey hai, aap nafil padh saktey hai, agar aap ki koi namaaz chhoot gayi ho, aap Quran padh saktey hai, aap zikr kar saktey hai, aap tawaf kar saktey hai, yeh theek hai. Lekin agli namaaz ke liye, maslan agar aap ne yeh tamaam cheezay Zohar ke waqt mein ki thi, aur Asr ka waqt shuru ho jaye aur aapka wuzu ab bhi jaari hai aur aap ne usay nahi toda hai, lekin agar aapko yeh peshaab ki taklif hai toh aapko apna pad tabdeel karney ki zarurat hai aur ek naya wuzu karna hoga Asr ke liye. Har namaaz ke waqt aapko naya wuzu karna hoga aur aap farz namaazey jaldi se padhley aur deegar ibaadat bhi jitna zyada aap behtar samjhe, jabtak ke aap baitul khala na jaaye ya darmiyaan me aapka wuzu na tod dey.

Sawaal: Sawaal hai agar aapko geelay khwaab aatey hai lekin jaagnay par aapko kuch dikhayee na dey, aapka libas saaf hai aur aapka bistar bhi saaf hai, to phir bhi kya gusul karna zaroori hai? Nahi.

Sawaal: Mera sawaal hai wuzu ke waqt pairo ko saaf karne ke baare me, kya aapne pairo ko tub me dhona hai? Ya phir kya hum apne haatho se hi pairo ke upar se saaf paani muntaqil kar saktey hai? Zyada tar tub bahut uncha hota hai… aisa hamari jagaho par bohat aam hai.

Agar yeh bohat zyada uncha hai, to aap apne haath ko geela kar saktey hai aur iss baat ko yaqeeni banaaye ke pairo ke tamam hissay kaafi geelay hai. Yakeeni banaaye ke yeh aap ki aedhi ke oopar, aapke pairo ke talwo ke neechay, unglio ke darmiyaan bhi mukammal chalaa jaye. Iss baat ko yaqeeni banaaye ke aap un jagaaho ko paani se achhi tarah saaf kartey hai, yeh theek hai. Aap usay mamool ke mutabiq 3 martaba karley.

(Shukran, humne mukammal kar liya alhamdulillah).

Mawlana ki barsi, hijri barsi chand dino me hai, teen roz mein, Jummah ko InshaAllah. Aap sab se guzaarish hai ke ek Surah Yasin aur ek Fatiha padhey aur Mawlana Sheikh Nazim ki rooh ko hadiya dey. Mujhe umeed hai ke woh humse

khush honge, jo bhi hum kar rahay hai, InshaAllah .

Yeh hafta sirf sawalaat ke liye hai aur ziyada tar sawalaat haiz par hai alhamdulillah. Mai aap khawateen se bhi kehti hu ke 2 rak-at Salat al-Shukr (shukrana namaaz) adaa karey ke aap khawateen hai, theek hai ?

Mai aapko ek mukhtasir kahani sunati hu. Jab Hazrat Adam aur Hazrat Hawwa zameen par thay to Hazrat Jibril inhey khaito mein kaam karne ka tarika sikhanay aaye, kyunkay inhey khanay ke liye kaam karna tha, inhey khanay ke qabil honay ke liye apni gandum lagany padhi. Hazrat Jibril aaye aur unko yeh tareeqa sikhaaya. Hazrat Adam ne subah se Asr ke waqt tak zameen mein hal chalaya aur phir thak gaye. Phir Hazrat Hawwa ne zimmedari li aur maghrib tak usay jari rakha. Lekin woh yeh kaam itni jaldi kar rahi thi ke unhoney Hazrat Adam se dugni jagah ka ihata kiya. Iss zameen par jo kuch uga, Hazrat Adam jo laga rahay thay woh gandum tha aur jo kuch Hazrat Hawwa ne lagaya woh jow tha. SubhanAllah, gandum mein barkat hai lekin jow mein zyada barkat hai. Aam taur par jab aap jow ka pawdha lagatay hai to yeh bohat zyada badh jata hai aur yeh jaldi pak jata hai. Aur farigh honay ke baad, unhoney roti banana seekh liya. Aur unhoney roti paka li, unke paas 3 rotiya thi. Phir Hazrat Adam ne 2 rotiya aur Hazrat Hawwa ne 1 roti leli. Hazrat Adam ne 2 rotiya kha li aur so gaye, Hazrat Hawwa ne aadhi roti kha li aur baqi aadhi chhupa di. Uss din ke baad se woh diet (kam-khuraak) par rehti aur tamam khawateen apni saari zindagi diet (kam-khuraak) par rehti hai. Chunanche diet (kam-khuraak) ki aadat Hazrat Hawwa se hai. Yeh sirf aap ke chehrey par muskurahat laane ke liye hai.

Wa min Allahi At-tawfeeq. Fatiha. Salam aleykum.