Sirat Un Nabi (PBUH) Ders 20

      Comments Off on Sirat Un Nabi (PBUH) Ders 20

بسم الله الرحمن الرحي م
Adab Aur Fiqh Ders
2021/10/12, Ders 20
Fehrist:
★ Sabse pehle kya banaya gaya tha?
★ RasoolAllah صل ى الله عليه وسلم ke Dada
★ Hazrat Ismail Alaihisalam ki Qurbani
★ Zamzam ka kuwwa
★ Abdullah’ ki Qurbani
★ Laylatul Raghaib – ليلة الرغائب
A’udhu billahi min ash-shaytaan ar-rajeem. Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim. Tariqatuna as-sohba wal khayru fil jam’iyya. Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim. Madad Ya Sayyidi, Ya Rasul Allah, Ya Sheikh Nazim Adil Al-Rabbani…

Ye Mawlid ka mahina hai. Aaj, In Shaa Allah Mai aapko RasoolAllah صل ى الله عليه وسلم ki zindagi ke barey me bataege, thoda kuch Seerah(seerat Nabawi) السيرة النبو ية se.

Alhamdulillah hum RasoolAllah صل ى الله عليه وسل م ki ummat se hai. Ye bahot badi ni’amat hai hamare liye. Humein 2 rakat shukr padhna chahiye roz iske liye. RasoolAllah صلى الله عليه وسل م ke barey mein Allah Azza Wa Jalla ne farmaya hai: ‘Law laaka law laaka la maa khalaqtal aflaak- ‘لولك لولك لما خلقت الفلك’ matlab ki, ‘Agar ye tumhare liye na hota, toh maine takhleeq ko paida na kiya hota’.


Aur RasoolAllah صل ى الله علي ه وسل م ki hadees e mubaraka bhi hai jaha ek sahaba poochte hai Allah ne sab se pehle kya paida kiya. Phir RasoolAllah صلى الله علي ه وسلم ne jawab diye: ‘Awwal ma khalaqa Rabbuka Ya Jabir Nur Nabbiyik’- أول ما خلق ربك يا جابر نو ر نبيك صلى الله علي ه وسلم، matlab ki, ‘wo pehli cheez jo Allah ne paida kiya Nur hai tumhare RasoolAllah صلى الله عليه وسل م ka, Oh Jabir’.Toh hum ek Mubarak qaum hai, Alhamdulillah. Hamein bahot si cheez ata ki gayi. RasoolAllah صل ى الله عليه وسلم pehle se bargazida hai aur Allah Azza Wa Jalla ke Mehboob hai. Aur jaise ki hum Aap صل ى الله عليه وسل م ki ummat hai, Allah Azza Wa Jalla ne hamein itni cheez ata ki hai ki humse se pehle ki ummat ko nahi ata ki Ya koi Rasool ko RasoolAllah صلى الله عليه وسلم se pehle.


Sub Haan Allah, RasoolAllah صلى الله علي ه وسل م ki kahani hi sirf aisi kahani hai jaha Aap صلى الله علي ه وسلم ki zindagi ki tafsilaat kahi gayi hai, saari kitabon ke zariye. Aap صل ى الله علي ه وسلم ki zindagi ki har ek cheez record (qalam bandi) ki gayi aur wo hamare waqt tak pahochi. Bahot se log is barey me jante hai, aur, bahot se log Aap صلى الله عليه وسل م ki sunnah bina jaane hi amal karte hai. Ye Rehmat hai. Jab hum tariqat me bhi hai, humarein Sheikhs ibadat karte hai aur sab RasoolAllah صلى الله عليه وسل م ki sunnat ke mutabiq hi karte hai. Aur hamare dil me bhi RasoolAllah صلى الله علي ه وسل م ki mohabbat daalte rehte hai. Toh In Shaa Allah hum iska ehsas rakhne aur qadr karne kaafi acche hai.


RasoolAllah صل ى الله عليه وسل م ne kaha ki Allah Azza Wa Jalla ne Bani Adam(Adam Alaihisalam aur unki aulad) ko chuna apni saari takhleeq se. Aur Adam Alaihisalam, Bani Adam ki aulad se Arab ko chuna. Aur Arab me se Quresh ko chuna. Aur Quresh se Bani Hashim ko chuna.

Aur Bani Hashim se RasoolAllah صل ى الله عليه وسل م ko Muhammad alayhi salatu wa salam, apna Mehboob Rasool chuna.
Ek Hadees Sharif bhi hai jisme kaha gaya hai ki RasoolAllah صلى الله علي ه وسل م ke sarey purwaj(Aba’a wa ajdad) ki shadi Nikah se hui, aur unke purwaj mein koi nikah ke bagaer najayaz rishta nahi tha. Adam Alaihisalam se lekar Aap صلى الله علي ه وسلم tak sabki shadi Nikah se hui.

Aur wo sab RasoolAllah صل ى الله عليه وسل م ka Nur le jaa rahe the(ek se dusre tak). Toh agar ek baap ki do auladein thi, toh Allah Azza wa Jalla RasoolAllah صل ى الله عليه وسلم ka Nur behtar wale me daalta, aur aise hi aage jab tak wo RasoolAllah صلى الله علي ه وسلم tak pahoncha.


Kyunki RasoolAllah صل ى الله عليه وسلم bahot aajiz the, wo Adnan-عدنان tak hi apne par dada ko ginte the jiska matlab 20 dada unse pehle. Lekin asal mein ye Ismail Alaihisalam, Ibrahim Alaihisalam tak aatey hai aur Hazrat Nuh aur Hazrat Adam tak. Kuch Murkheen hai jinhone RasoolAllah صلى الله علي ه وسل م ke purwajo ka naam Adam Alaihisalam tak naam ke sath likha hai. Lekin RasoolAllah صلى الله عليه وسلم ne farmaya: “Adnan tak kaho”. RasoolAllah صل ى الله عليه وسلم ke naam me se ek hai ‘do qurbano ke bete’ ‘ ابن الذبيحين, Pehle the Ismail Alaihisalam aur dusre the Aap صلى الله علي ه وسل م ke walid Hazrat Abdullah. Hum shuru se shuruwat karege, Ibrahim Alaihisalam ko aulad chahiye tha aur wo Allah Azza wa Jalla se dua karte ki unhe aulad ata karey, ek beta, ya ek beti. Unka Nikah Hazrat Sara se hua, lekin koi aulad na thi. Phir, ye ek lambi kahani hai, unki ek dusri biwi thi, Hajar Alaihisalam. Unhone ek half,ek nadhrنذر ki, agar unki aulad hui wo apni sabse aziz cheez ko qurban karenge.


Allah Azza Wa Jalla ne unhe unka beta Ismail ata kiya, unki biwi Hajar se. Lambi kahani choti, Unhone unhe Mecca le gaye aur Zamzam ka quwwa paya, aur Mecca shaher qayam kiya. Kaise bhi, Hazrat Ismail 10 ke hue, ya shayad 12 saal kejab Ibrahim Alaihisalam, ek raat apne khwab me suney: “Aye Ibrahim, aapne apna half poora nahi kiya. Humne aapko beta ata kiya aur aapne apna half poora nahi kiya”. Phir wo uth gaye.
Unke pas bahot sarey bhedo ke rewad , ghodey, oonth the. Unhone 100 mendey chune, qurban kar diye. Us daur mein agar aasman se aag aati aur qurban leti, phir wo kehlati ke wo qubool hui. Agar aag nahi aati, phir wo qubool nahi hoti. Aag aayi aur qurbaan le gayi.
Agli raat, dusri raat, bhi wahi khwaab ‘Aapne apna half poora nahi kiya Aye Ibrahim’. Hazrat Ibrahim Alaihisalam uth gaye, aur is bar unhone apne sabse behtareen 100 oontein qurban ki. Aag aayi aur ye qurban bhi leli.


Teesri raat, unhe wahi khwab fir se aaya: ‘Aapne apna half poora nahi kiya Aye Ibrahim’. Uthne ke bad, unhone apne sabse behtareen 100 ghode qurban kiye. Aag aayi aur unhe le gayi aur unhone dekha ke wo qubool hui lekin phir unhone wahi khwab dekha.
Kyunki ek saccha khwab, ru’ya as-saliha- الرؤية الصالح ة, nabuwatka ek hissa hai. Isliye jo bhi nabi unke khwab me dekhte hai wo sahi hota hai, ye hamare khwab ki tarah nahi hota. Toh wo jaante the ki ye ek huqm tha. Chouthi raat ko unhone khwab dekha, [unhone suna]: ‘Aye Ibrahim, sabse azeez aapka beta hai. Ye tha jo aapka half hai’. Wo uth gaye, unke liye ye bahot mushkil tha, sakht, unke liye.

Wo Mecca gaye aur aksar wo bina apni oonth se utre dorah karte. Wo dorah karte aur jhald palestine laut jate. Lekin is bar, Wo gaye aur Hazrat Hajar se kaha: “Mujhe Ismail ko koi jagah le jana hai.” Unke pas ek chura tha. Unhone(Hazrat Hajar) kaha: “Theek hai, aap ja sakte ho.”
Phir shaytan aata hai aur Hazrat Hajar se kehta hai: “Aap apna beta unhe kyu de rahe ho? Wo usey qurban karne wale hai”.
Phir unhone kaha: “Chale ja, Aye Mal’oon – يا ملعون! -, ” wo uspe patthar phenkti hai.
Dusri bar, ye Hazrat Ismail ke pas aaya, kehne laga: “Aapke abba aapko qurban karne wale hai aur aap unhi ke peecheja rahe ho?”.
Phir Ismail keh rahe the: “Chale Ja, Aye mal’oon!” –’la’anat bheje hue’ aur wo bhi usey patthar maarne lage.
Teesra, wo Ibrahim Alaihisalam ke pas aaya aur kaha: “ Ye ek khwaba hai. Aap ek khwab ki paerwi kyu kar rahe ho? Ye bas ek khwab hai. Aap kyu iski paerwi karke apne pyare bete ko qurban karne laaye ho? Ye theek nahi hai”.


Lekin Hazrat Ibrahim Alaihisalam bhi uspe la’anat bhejte hai aur kankar maarte hai. Ye Hajj ke riwayat me se bhi hai. Jab hum 3 shaytan ko kankar maarte hai, ye wo jagah hai jaha Hazrat Ibrahim Alaihisalam, Hazrat Ismail Alaihisalam ayr Hazrat Hajar Alaihisalam ne shaytan ko kankar maara tha.
Phir shaytan ne kaha: “meri zindagi me maine pehli bar sach kaha aur koi mera yakin nahi kar raha hai!”, Phir ye kaha: “mai ab kabhi sach nahi bolunga!” [Hansi]. Phir shaytan bhaag jata hai.
Toh jab wo log is jagah aaye jaha quran karne wale the, Hazrat Ismail Alaihisalam ki, Hazrat Ibrahim Alaihisalam ne kaha: “Maine apne khwab me tumhe Qurban karne ka huqm dekha”.
Phir Hazrat Ismail Alaihisalam ne kaha: “Mere hath aur paer baandh de [taaki mai harkat na karu]. Aap mujhe sabar walo me se paonge”.
Sub Haan Allah, Ye ek walid ka sabar hai, aur ek bete ka sabar hai. Ye dono ke liye bahot mushkil tha. Kyunki wo Nabi hai, unka Iman bahot mazboot hai aur unme Allah ka khauf bahot zyada hai. Aur huqm par amal kiya jana chahiye.


Toh Ismail Alaihisalam ne kaha: “mujhe aise mat rakhna ki aapki janib munh ho, mujhe aise rakhne ke apse dur munh ho”.
Phir, ‘Bismillah, Allahu Akbar’, Hazrat Ibrahim Alaihisalam ne choori Hazrat Ismail Alaihisalam ke gardan par rakhi unhe qurban karne ek bar, do bar, teen bar, 70 bar, par choori nahi kaat ti.
Phir wo ghussa ho gaye, aur aakhir me choori phenk di kehte: “kya kar rahe ho mal’oon?” Phir choori se awaz aayi: “Jis ne aag ko tum par thanda hone ka huqm diye tha, usi ne mujhe abhi 70 bar huqm diya hai ke aapke bete ko na kaatu”.
Ye pal mein Hazrat Jibril Alaihisalam aate hai Jannat ke mendey ke sath aur kehte hai: “Allah ne aapki kasam qubool kar li aur ye zubah hoga aapke bete Ismail ke badle.
Alhamdulillah, Alhamdulillah iske liye.

Aur phir kahani chalti rahi, Hazrat Ismail Alaihisalam Nabi the aur sabhi Mecca ke log deen-دين ki paerwi kar rahe the, Ismail Alaihisalam ka deen, matlab Tawheed- التوحيد، wo sab ‘la ilaha illa Allah’ kehte aur paerwi karte.
Lekin ek waqt ke bad, ek shaytan tha jo Syria aur Iraq me koi jagah gaya. Aur usne un logon ko but(boot) ki ibadat karta paya, aur usne ek but laya aur inse kaha ke ye Allah Azza Wa Jalla ka madadgaar hai, Astaghfirullah Al-Adheem. Aur uske bad, unhone milana shuru kar diya aur inke pas bahot sarey but ho gaye aur Ka’bah ke andar aur ird-gird bahot sarey but rakhna shuru kar diya. Inme se kuch apne but ko apne sath pakde rakha hota tha tamam jagah ke ird gird.
Aur jaise waqt guzra, Zamzam ka quwa bandh kiya gaya, Zamzam ka quwa ab bilkul nahi dikhta. Jab tak Abdul Muttalib عبدل المطلب ka daur nahi pahocha, RasoolAllah صل ى الله عليه وسلم ke dada. Ek khushk saali ya kuch ki wajah se is waqt ilaake me pani ki kami thi. Aur Abdul Muttalib عبدل المطل ب ko khwab me Zamzam ka pani dhoondne ka huqm mila aur unhe wo jagah batayi gayi jaha unhe khodna tha. Wo khwab do ya teen raat dohrata raha.


Us waqt unhe ek hi beta tha. Wo aur unke bete ye jagah khod te rehte aur Quraysh ke log unpar haste. Wo koshish kar rahe the aur unki koi madad nahi karta, wo sab unka mazak banate. Unko pata tha ke ek waqt waha ek quwa hua karta tha lekin unhe ye nahi pata tha ki wo kaha hai ya wo ab hai bhi ya nahi.
Sub Haan Allah, kuch din bad, jab wo har maan rahe the aur jaari nahi rakhna chahe, kyunki bas wo aur unke bete hi khod rahe the, us waqt wo keh rahe the ki: “Agar Allah mujhe bahot sarey bete deta hai, mai unme se ek qurban kar du”.
Is half ke bad, Zamzam ka quwa unke liye khola gaya. Phir saare Quraysh ke log aaye aur kaha: “Is pani me hamara hissa hai”.
Unhone kaha: “Nahi, tumhara is pani me hissa nahi hai”.
Wo log bahes kar rahe ki unka hissa hai ya nahi, ye ek lambi kahani hai. Aakhir me umhe koi jagah jana pada aur wo raaste me ghum gaye aur wo sochne lage ke wo mar rahe hai, aur Sub Haan Allah, Allah Azza Wa Jalla ne Abdul Muttalib ke ghodey se zameen khudwayi aur pani aaya aur wo bach gaye. Phir, wo maan gaye: “Haan, ye aapka hai. Zamzam ka pani aapka pani hai”.
Chunache us din se aaj tak Zamzam ka pani Bani Hashim ke liye hai, ye unka pani hai, unki jaaedaad hai. Aur uske bad, Allah Azza Wa Jalla ne Abdul Muttalib ko bahot se bete ata kiye. Sabse chotey Abdullah the, RasoolAllah صلى الله عليه وسل م ke walid aur wo unhe sabse zyada mohabbat karte the.
Toh unhone kaha: “Mujhe apna half poora karna hoga. Ab, mere bahot bete hai, mujhe ek ko Qurban karna hoga”. Unhone apne saare beton ke naam likhe aur wo bahot se utar rahe the. ‘Abdullah’ naam chuna gaya. Wo isey phir se dohraye ek aur bar, 3 bar ‘Abdullah’ naam uthaya gaya. Phir Abdul Muttalib ne kaha Theek hai, wo unse Mohabbat karte lekin unhe apna half poora karna tha.


Phir Quraysh qabile ke bade logon ne kaha: “Aap ye nahi kar sakte, ye ek bura amal hai. Agar aap ne isey shuru kiya, phir hum sabko hamare baccho ko zubah aur qurban karna hoga. Ye accha nahi hai”. Wo log unke sath bahes kar rahe the aur unhe ek paadri ke pas jane mana liya. Wo uske pas gaye aur usne inse kaha: “10 oontein ek taraf rakhey aur Abdullah ka naam dusri taraf, aur lots utaro. Agar tumne ‘Abdullah’ naam utara, aap 10 aur oontein rakho aur aap 10 oontein aur badate raho jab tak aap ‘oont’ ka naam nahi utaarte Na ki ‘Abdullah’ ka.


Jab wo Mecca wapas aaye, unhone 10, 20, 30- 100 oont tak daalte gaye, hamesha ‘Abdullah’ naam hi utarta, oont nahi. Jab 100 oontein hui, phir ‘oont’ nikla. Abdul Muttalib qail nahi the. Dusri bar kiya gaya, ye phir ‘oont’ tha, teesri bar ye phir ‘oont’ tha. Phir un logon ne kaha ab ye Theek hai.
Isiliye ek zindagi ke liye diyyah د ية hai 100 oontein. Ek diyyah mu’awda hai. Agar ek musalman dusre musalman ko galti se qatl karta hai, jisne qatl kiya wo qatl hue shaqs ke gharwalo ko ek diyyah adayigi karega. Mawlana Shaykh Nazim, Mawlana Shaykh Mehmat kabhi, jab log bahot hi bimar the aur unke zindagi ki koi umeed na thi, unse 100 oont ki keemat apni jaan ke badle dene kehte, unke diyyah ke taur par dene kehte.

Maine isey khud kahi bar dekha (mushahida kiya) hai aur Sub Haan Allah ye kam karta hai.
Waise bhi, 100 oontein zubah kardi gayi aur Abdullah bach gaye Alhamdulillah. Unki biwi Amina unki kazan(cousin) thi- wo dono ke purwaj ek hi the. Wo dono khalis nasb se the. Aur wo ho raha tha ke dono ka nikah hua. Unka Nikah Rajab ki pehli Jummeraat ki raat- Laylatul Raghaib ليلة الرغائب ko hua.
Kyunki Abdullah RasoolAllah صلى الله علي ه وسل م ka noor unke maathe par lekar the, bahot sari khawateen unke peeche thi shadi ke liye. Unke Nikah ke dusre din, ek khawateen, jew ki khawateen- jo unke peeche padi thi, jab usne inhe dekha, usne apna munh unse dur pher liya.
Unhone poocha: “Kya hua? Aap mere peeche thi”.
Usne kaha: “Aapne wo kho diya jo mujhe chahiye tha”. Kyunki Nur Hazrat Amina ko ja raha tha.
Aur phir lambi kahani, In Shaa Allah agli bar.


Wa min Allahi at-tawfeeq.
Fatiha.