بِسْمِ اللَّه الرَّحْمَنِ الرَّحِيم
Adab Aur Fiqh Ders 🕋
2022/04/05, Ders 27
Fehrist:
★ Mawlana Sheikh Abdullah ka Urs
★ Sheikh Abdullah ki zindagi
Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim. Tariqatuna as-sohba wal khayru fil jam’iyya.
Aaj Mawlana Sheikh Abdullah Al-Faiz Al-Dagestani ka Urs, barsi hai. Hum ne khawateen ke liye mehfil rakhi thi ghar par dargah mein, hum sab ikhattha huye aur Quran ki tilawat ki. Aur phir Quran ki tilawat ke bad, humne ek chota sa sohbah(ders) diya. Subhan Allah, aaj mubarak ishara hua- aisa bahot kam hi hota hai ke main Maulana Sheikh Abdullah ke barey mein baat karti hu, jab unka inteqaal hua toh mai sirf 7 saal ki thi isliye mujhe unkay baarey mein bahut kam yaad hai, zyada nahi, lekin mainey hamesha kaha ke woh mere liye ‘Sheikh Dede’, Sheikh Dada ki tarah hain.
Maulana Sheikh Abdullah Silsila Al-dhabiyya, Tariqa An-Naqshbandiyya Al-Aliyya ke shijrah mein 39 (unchalees) number pe hain. Mawlana Sheikh Abdullah Dagestan se thay. Unhoney apnay mamujaan Sheikh Sharafuddin Al-Dagestan ke sath 19 (un-neesvi) sadi mein hijrat ki. 19 (un-neesvi) sadi ke aakhri waqt mein, Russia (roos) aur Ottoman (Osmania) khilafat ke beech ek jung huyee aur un logo ne Dagestan se Musalman ilaaqo ki taraf hijrat karli joh Osmania khilafat ka hissa tha. SubhanAllah, Maulana Sheikh Sharafuddin kabhi kabhi unhay apnay kandho par sawaar karlete, kyuki woh log paidal safar kar rahay thay. Aur Maulana Sheikh Abdullah kaha kartay ke uss waqt ke tamaam awliyao ki nazar un par thi, unki hifaazat aur unhay khairiyat se Musalman ilaaqay mein pahuchanay tak, Osmania khilafat mein – aaj ka Turkey.
Maulana Sheikh Abdullah iss baray mein kaha kartay, do bachhay joh Russia se bhaag rahay thay, awliyao ne unka bahot khayal rakha aur unki dekhbaal ki taki woh khairiyat se Islam ki sarzameen par pahoch jayein. Un mein se ek thay Maulana Sheikh Abdullah khud aur doosray thay Hajjah Amina Sultan – Maulana Sheikh Nazim ki zauja, meri walida. Yeh ek alag kahaani hai. Phir, jab woh Turkey mein pahochay, Osmania ilaaqay mein, uss dauran Osmania ke logo ne inn logo ko rehnay ke liye jagah farham ki; unhonay inn logo ko zameenay di, unhonay inn logo ko rehnay ke liye ghar diye aur woh hifazat se Osmania ilaaqay mein rehnay lagay. Aur woh Bursa ke qareeb mein rehnay lagay, pahaadi gao mein. Hosakta hai aap mein se bahut log Maulana Sheikh Sharafuddin ki ziyarat kar chukay hai. Unhonay waha qiyam kar liya aur wahi rehnay lagay. Maulana Sheikh Abdullah apni walida ki waahid aulaad thay.
Ab, mere pass ek mukhtalif waqia hai. Woh keh rahay thay, Subhan Allah, unki paidaish se hi unkay paas wilayat, awliyao ka raaz tha. Aur unki walida bhi, meri khayal mein, ek chupi huyee wali thi kyuki woh hamesha yeh kissa bataya kartay ke woh beej lagati thi aur ghar pahuchne tak kaha karti: ‘Yağmur, yağmur, Ya Allah, yağmur’ [Baarish, baarish, Ya Allah, baarish]. Aur unkay ghar pahochnay par, baarish aajati aur unkay baghichay ko paani mil jata. Aur Mawlana Sheikh Abdullah Mawlana Sheikh Sharafuddin ke zer-e-sayaan badey horahey thay.
Jab woh 15 saal ke thay, mere khayaal mein, unka nikaah hua tha lekin zyada arsaa nahi chal saka. Unki zauja ki wafaat hogayee.
Allah yarhamha. Uskay baad, Mawlana Sheikh Abdullah ko khalwat mein jaane ka huqm mila. 5 saalo ke liye woh tanhayee, khalwat mein baithay rahay. Woh gao pehley se hi pahaado mein tha aur woh jagah jahan unhonay khalwat guzaari, woh issay bhi oonchi jagah par thi, jahan woh akele rehtay. Aur garmiyaan bahot mukhtasir hoti thi aur zyada tar mausam sard hi hota tha aur barf kayi mahino tak padti. Aur woh rozana barf ke paani se gusl kiya kartay, usi thanday paani se. Woh, Masha Allah, bahot hi taaqatwar thay. Haftay mein ek dafa woh apnay Sheikh se milnay jaya kartay, aur phir dobarah apnay khalwat ki jagah laut aatay. Woh bahot martaba khalwat mein baith chukhay hai.
Woh Gallipoli ki jung mein bhi shareek huye, yeh pehli aalami jung ke dauran huyi thi. Iss ke liye woh fauj mein shaamil huye. Iss jung mein bahot zyada afraad shaheed huye. Dushman angrezi faujein thi jin mein bahot si mukhtalif quwwatain ek sath shaamil thi, saltanat e osmaniya ke sipahiyo, musalmano se ladh rahi thi. Unhay chai pasand thi, woh hamesha chai aur cheeni piya kartay aur tamaam log – aap jaantay hai, unkay dost, unn ke ird-gird ki faujein aur commandaar bhi – poocha kartay : ‘yeh chai aap ko kahan se mili aur kya hum aap ke sath yeh baant saktey hain?’ Subhan Allah, woh kabhi bhi unki chai ke liye cheeni ya chai ke baghair nahi raha kartay.
Ek din woh namaaz padh rahay thay, woh namaaz ke liye khaday huye aur samandar mein ek jungi jahaaz se unkay ilaqay par bombari (gola barood ka hamlaa) hua jahan woh thay. Bombari bahot zyada huyee aur joh commandaar nazar rakh raha tha usnay dekha ke ek bomb Maulana Sheikh Abdullah ki taraf araha hai. Aur usnay kaha: ‘Abdullah guzar gaya’. Yeh commandaar pooch raha tha. Aur Subhan Allah, dhooa aur yeh sab kuch khatm honay ke baad, unhonay khud ko namaaz padhtay huye dekha, lekin uss jagah nahi jahan woh pehlay thay. Maulana Sheikh Abdullah kehte thay ke woh logo ne unki hifazat ke liye bahot taizi unhay wahan se doosri jagah muntaqil kar diya. Woh ghazi thay, ghazi kay maenay hai woh shakhs joh jung mein jayein lekin shaheed na ho aur khairiyat se ghar wapas aa jaye. Alhumdulillah. Unhonay nikah kiya. Unke 11 bachhay thay, jin mein se musalsal 9 ka inteqaal hogaya, bahot chhotay umr mein hi. Aur Subhan Allah, woh Alah Azza wa-Jalla aur Huzoor صلى الله عليه وسلم ke liye unki mohabbat ke baray mein bataya kartey. Isiliye Allah ne unkay baccho ko unsay dur rakha, unhay apna dil unkay bachho ko dene ya unki Allah se mohabbat ka ek hissa unkay baccho ko dene se roknay ke liye. Aur yeh unkay liye ek bahot hi badi aazmaish thi. Lekin woh bahot khush thay ke unka dil ab sirf Allah aur Huzoor صلى الله عليه وسلم ke liye tha.
Unki do betiyan thi, un mein se ek ka bhi kuch arsay baad inteqaal hogaya, unkay Damascus (Dimashq) mein aanay ke baad. Lekin doosri beti, Hajja Madiha, ka haal hi mein chand saal pehlay inteqaal hua. Aur Maulana Sheikh Sharafuddin Maulana Sheikh Abdullah ko tarbiyat, taaleem aur tamaam raaz farham kartay. Lekin ird-gird ke logo ne unhay khalifa tasleem nahi kiya, Maulana Sheikh Sharafuddin ne unka taqarrur kiya lekin wahan maujood logo ne kaha ki ‘Haan, nahi…’, phir Maulana Sheikh Sharafuddin ne wafaat se pehlay Maulana Sheikh Abdullah se kaha: ‘Tumhe Damascus ki taraf hijrat karni hogi, shaam chalay jana”, phir Maulana Sheikh Sharafuddin ka inteqaal hogaya aur Maulana Sheikh Abdullah Turkey se bahar janey ka zariya talaash karnay lagay – uss waqt yeh Turkey ban raha tha.
Uss dauraan har tehreek mazhab ke khilaaf thi: dargaah band ki gayi thi, tariqat par paabandi thi, azaan turk zubaan mein padhi ja rahi thi, aap na Quran padha saktey thay aur na khol kar padh saktey thay, aap aazaadi se namaaz nahi padh saktey thay. Turkey mein uss dauran Islam aur Islam ke tareeqo par paabandi laganay wali bahot si cheeze thi.
Aur aap baghair ijazat mulk se bahar nahi ja saktey thay aur aisi deegar tamaam paabandi bhi.
Subhan Allah, isi dauran Misr se ek pasha biwi ki talaash mein aaya, woh nikah ka khwaishmand tha. Aur un logo ne say Maulana Sheikh Abdullah ki beti, badi beti, Hajjah Madiha ki peshkash ki. Unhone shadi kar li, woh apni zauja ko lekar Misr laut gaya, aur ek saal ke baad Maulana Sheikh Abdullah ko kaghazat mil gaye taakay woh apni beti ki ayadat ke liye Turkey se bahar Misr aa sakay. Aur yahi zariya bana unkay liye Turkey se bahar nikal kar Misr jane ka, aur Misr se damascas, aur phir shaam. Jab woh Misr mein aaye, woh kuch hi arsaa waha rahay aur uss dauran unki beti ko talaaq hogayee aur woh apni beti ko lekar Damascus chalay gaye. Subhan Allah, uss Pasha ki poti humari mureed hai, woh Misr mein humaray zikr aur mehfilo mein shaamil hoti hai aur woh humse mulaqat karnay bhi aati hain. Aur woh bahot khush hai, kehti hai: ‘Hum Maulana Sheikh Abdullah ke rishtedaar hai’! [Hastay huye]. Alhumdulillah.
Maulana Sheikh Abdullah ke Damascus anay ke baad, aap ne Midan naam ki jagah par qiyaam kar liya. Yeh ilaqa Damascus ke wast mein aur ek qabrastan ke sath/baazu mein hai jahan bahot se Ahl Al-Bayt aur Sahaba Kiram madfoon hain – uska naam Bab As-Saghir hain. Aur Shuhada’ Karbala (70 shaheedo ke sir) bhi, unke tamaam sir iss qabristan mein madfoon hain. Damascus mein bahot saarey maqamat hain.
Jab woh iss ilaaqay mein thay, uss dauran Mawlana Sheikh Abdullah aur Maulana Sheikh Nazim ki mulaqat huyee: 1945 iss mulaqat ka saal tha. Aur Alhumdulillah, aakhir tak woh ek sath rahay. Maulana Sheikh Nazim kaha kartay: ‘Mere Sheikh ek sher hai, Mere Sheikh ek sher hai’, aur roya kartay: ‘Mai apnay Sheikh ki kami mehsus kar raha hu’. Unkay aakhri waqt mein, woh unkay kadmo-talay dafn honay ke khwaishmand thay. Insha’Allah unki rooh wahi hai.
Phir Maulana Sheikh Abdullah Jabal Qasioun chalay gaye. Jabal Qasioun ek muqaddas pahaad hai, joh duniya ke chaar muqaddas pahaado mein se ek hai, jis ka zikr Quran Al-Karim mein hai: ‘Wa-teeni wa-zaytoun. Wa touri sineen. Wa hadal baladul ameen. وَٱلتِّينِ وَٱلزَّيْتُونِ وَطُورِ سِينِينَ وَهَذَا ٱلْبَلَدِ ا لْأَمِينِ [Quran 95:1-3]. Woh Pahaad, Jabal Qasioun, ka naam ‘Teeni ٱلتِّينِ ‘, hai, Teeni pahaad. Yeh ek bahot muqaddas pahaad hai, yaqeenan yeh ilm mein hai ke yahan bahot se anbiya-e karaam madfoon hain. Aur bahot se awliya bhi iss pahaad par madfoon hai. Yeh ek muqaddas pahaad hai. Aur Maulana Sheikh Abdullah ne apnay liye ek chhota sa ghar taamir kiya, aur iss ke sath hi ek chhota sa zavia aur ek chhoti si masjid bhi.
Alhumdulillah, ab is masjid ki thodi si tajdeed hui hai aur yeh thodi badi ki jarahi rahi hai uskay andar unkay maqam ke sath. Aur yaha se hamesha khana taqseem kiya jata hai kyunkay Shaam mein jung aur tanaza hai aur bahot saari muashi mushkilaat hain. Phir bhi yaha khanay ki jagah hai, woh usay Maulana Sheikh Abdullah ke naam paka kar taqseem karte hain. Uss jagah ke ilawa deegar ilaqay mein bahot gurbat hai, Masha Allah waha ki barkat hamesha qayam rehti hai.
Mawlana Sheikh Abdullah, Subhan Allah, woh baday baday awliyao mein se thay lekin zyadatar log unkay baray mein nahi jaantay thay, ya woh unkay baray mein janna nahi chahtay thay. Mawlana Sheikh Nazim farmaya kartay thay: ‘Jab hum zikr kartay thay, kabhi kabhi zikr ke dairay mein 7 afraad bhi maujood nahi hotay. Mai hamesha dua mangta tha,’Ya Rabbi, Mai bahot saray mureedo ko apnay Sheikh ke paas lana chahta hu. Main chahta hu ke mere Sheikh ke ird-gird har jagah mureedo aur logo se bhar jaye.’ Subhan Allah, Mawlana Sheikh Abdullah ke inteqaal ke baad, Mawlana Sheikh Nazim dunyabhar mein bahot zyada murido ko jama karnay lag gaye, Subhan Allah. Aur, unmein se bahot saray log Mawlana Sheikh Abdullah ke maqam ki ziyarat ke liye aatay hain.
Mawlana Sheikh Abdullah unki umr ke aakhri waqt tak Damascus mein hi muqeem rahay. Jab unka inteqal hua to unki umr 100 saal thi, 100 se zyada, 100 se kam, lekin yaqeeni taur par unki umr 80 saal se zyada thi. Mujhe iskay baray mein zyada yaqeen nahi hai lekin woh log kehtey hain ke inteqaal ke waqt unki umr 100 se zyada thi.
Woh bahot se maujazay dikhaya kartay thay, Subhan Allah. Unmay se ek yeh, unkay aakhri waqt mein, unki aankh ka ilaaj hua tha aur woh Beirut mein meri behen ke ghar thehray thay – jahan Sheikh Adnan aur Sheikh Hisham rehtay thay – woh unkay mureed bhi hai. Aur woh unhay aankh ke ilaaj ke liye Beirut le gaye – woh dekh nahi saktey thay, mere khayaal mein unhay safed-motiya hua tha ya kuch aur – woh unkay ghar par sehat-yabi tak thehray thay. Woh dono (Sheikh Adnan aur Sheikh Hisham) apne waalid ke ghar par ikattha rehtay thay joh 2-3 manzilo par bani ek badi hawayli thi. Aur Maulana Sheikh Abdullah 40 roz tak meri behan ke kamray mein rahay aur 40 roz ke baad unhonay kaha ke mein wapas Damascus chala jaunga aur uskay kuch dino baad unka inteqaal ho gaya lekin inteqaal karne se pehlay woh unsay keh rahay thay: ‘Main jaa raha hu aur meri tadfeen ke baad, 3 din se zyada nahi theherna. 7 dino tak intezaar nahi karna. Apni jagah ko laut jana’. Subhan Allah, unkay wafaat ke 6 din baad hi Arab aur Israel ke darmiyaan jung shuru hogayee. Yeh unkay maujazaat mein se ek hai. Aur jab unka inteqaal hua, toh tabeeb unkay dil ko dabanay laga unhay dobarah zinda karney ke liye. Phir, Maulana Sheikh Abdullah ne us tabeeb ka hath pakad kar kaha: ‘Bas, ruk jao”. Tabeeb hairan reh gaya. Lekin Maulana Sheikh Abdullah ja chukay thay.
Uss dauran, Mawlana Sheikh Nazim Cyprus mein thay aur Mujhe yaad hai ke Maulana ne yeh khabar suni ke Maulana Sheikh Abdullah ki wafaat hogayee, aur woh hawai-jahaaz ki talaash mein thay Damascus jaakar unkay janaazey mein, tadfeen mein shirkat karney ke liye. Aur mujhe yaad hai ke Maulana ke liye yeh bahot mushkil tha kyunkay hum Cyprus mein thay aur sirf Maulana Damascus gaye thay. Namaaz e janaza adaa karney ke liye logo ne taqreeban maghrib ke waqt tak unka intezaar kiya tha. Alhumdulillah, Maulana Sheikh Nazim tadfeen ke liye pahochay aur unhonay namaaz-e janaza adaa ki aur un logo ne Maulana Sheikh Abdullah ki tadfeen masjid mein ki jahan unka maqam hai.
Unki tadfeen karnay se pehlay, woh logo ne janaza neechay rakh diya aur intezaar karne lagey, Maulana Sheikh Nazim ne un logo se kaha: ‘Aap tamaam log bahar chalay jao’, aur woh masjid ka darwaaza band karkay wahi baith gaye. Ek majzub ne kaha: ‘Main masjid ke darwaaze se dekh raha tha ke yeh kya kar rahay hain. Maine dekha ke Maulana Sheikh Abdullah baithay huye hai aur Maulana Sheikh Nazim ko tamaam raaz farham kar rahay hain’. Aur woh keh raha tha: ‘Wallahi, billahi, maine yeh dekha’, uss majzub ne, Allah yarhamhu. Yeh bhi Maulana Sheikh Abdullah ke maujazaat mein se hai.
Aur aakhri maujaza, unki wafaat ke baad, woh meri behan ke ghar mein jis kamray mein rahtay thay ussey mutalliq hai. Beirut mein khana-jungi (mulk ke shehro ke darmiyaan jung) hui aur yeh bahot shadeed thi, woh jung. Woh unkay ghar aaye aur unhonay usay barbaad/tabah kar diya, unhonay tamam ghar, badi si hawaily ko, upar se nichay tak jala diya. Aur Subhan Allah, jis kamray mein Maulana Sheikh Abdullah 40 din tak muqeem thay, woh nahi jala, na koi dhua aur na kaali baqiyat. Sirf darwaaza, ek chhota sa palang/bistar aur ek chhota sa dibba jala tha. Aur poora kamrah aisa tha ke kuch hua hi nahi. Khidki ke sheeshay bhi, kuch bhi nahi jala. Hamaray paas iss ki taswerain thi. Ghar mukammal jal chuka tha, kuch bhi baaqi nahi tha, sirf wohi kamrah jis mein Maulana Sheikh Abdullah muqeem thay bilkul unchuwa tha. Na koi furniture/samaan jala, na koi kala dhua na usmay aisi koi cheez thi, Subhan Allah.
To yeh Mawlana Sheikh Abdullah ke bahot se maujazaat mein se hai, aur yeh unkay baray mein ek muktasir baat thi. Unkay baray mein aur bahot sarey waqiat hain. Baaz dafa Maulana Sheikh Nazim Maulana Sheikh Abdullah ke sath khalwat mein gaye, 2 ya 3 dafa Medina mein. Mulana Sheikh Nazim batatey thay ke woh chai ka chhota glass rakhtay aur Maulana Sheikh Abdullah chaubees ghantay mein usmay se aadha bhi nahi peetay thay. Aur woh hamesha ek roohaniyat-ke-aalam mein hotay, ibaadat kartay huye. Woh bahot taaqatwar awlia hain, unka naam Sultanul Awliya hai.
Hum par bahut bada karam hai aur humari khush qismati hai ke hum unhay jaantay hai. Kyuki main chhoti thi, main unhay zyada nahi jaanti thi lekin mainey hamesha unsay mohabbat ki. Main chhoti bacchi thi, meri thodi-si hi pyari yadein hain. Lekin Alhumdulillah, mein itni khush qismat thi aur Alhumdulillah hum sab khush kismat hain unhay apna Sheikh aur Sheikho-ke-Sheikh ke taur par jaankar. Aur Allah hamesha unki barkatay aur nazar hum sab banaye rakhay, roz-e mehshar mein unki shafa’at humay milay, Insha’Allah.
Wa min Allahi at-tawfeeq.
Fatiha
🕋