Shaadi aur Bacche Ders 36

      Comments Off on Shaadi aur Bacche Ders 36

بِسْمِ اللَّه الرَّحْمَنِ الرَّحِيم
Adab Aur Fiqh Ders🕋
2022/12/20, Ders 36, Hamal aur Aulaad ki Wiladat
Fehrist:
★ Hadees: “La haya’…”
★ Hadees: “Wa ankihul ayaama…”
★ Nikah ki ehmiyat
★ Hamal se pehle
★ Hamal ke dauran
★ Bachhay ki paidaish
★ Bachhay ko pehli martaba nehlana
★ 40 roz ki Khalwat
★ Nifas
★ Bachhay ke baal nikalna (mundwana)
★ Bachhay ki naaf ki naal
★ Aqiqah
★ Bachhay ki aanwal (placenta)
★ Khatna
★ Azaan
★ Tahneek
Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim. Tariqatuna as-sohba wal khayru fil jam’iyya. Madad Ya Sayyidi Ya Rasul Allah, wa Mashayikhina Sheikh Nazim Adil Al-Haqqani, Sheikh Muhammad Ar-Rabbani.
Aaj Insha’Allah, hum baat karengay hamal ke baarey mein aur bachhay ko kaise sambhaalna hain aur uskay qaiday ke barey mein bhi, Islaami riwayat ke mutabiq.
Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim. Rasool’Allah صلى الله عليه وسلمne farmaya:

“La haya’ fi ad-deen لا حياء في الدين ”,aap ko sharmana nahi chahiye jab aap kisi mazhabi maslay ke baarein mein janna chahtein hain, agar yeh ahem ho.
Lehaza, Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim. Pehla hain, nikah karna. Nikah yeh sunnat hai aur Quran-Al-Kareem mein bhi iss ka hukm diya gaya hain. “Wa ankihul ayaama minkum was saliheena min ‘ibaadikum wa imaa’ikum”[Quran 24:32].
( وَ أَنكِحُوا ا لْأَيَامَىٰ مِنكُمْ وَالصَّالِحِينَ مِنْ عِبَادِكُمْ وَ إِمَا ئِكُمْ )النور: ٣٢ .

Maienay yeh hain: ke nikah karwaya jayein apni betiyo ka, apne beyto ka, joh nikah ki umr mein ho aur agar woh miskeen hain, Allah wada karta hain unhein rizq farhaam karnay ka, unhein daulatmand bananay ka, unhein ataa karnay ka. Lehaza jab nikah ka waqt aa jayein khawateen aur mardo ka, jab inhay ek munasib joda miljayein Insha’Allah, aur woh nikah karlein, yeh bahot achha hai. Ek Khandan ka hona, aulaad ka hona, yeh ek qaida hain aur zindagi ki sunnat hain. Aur khandan ko aage badhana
aur aulaad ka hona yeh bhi bahot badi neymat hain, alhumdulillah.


Aur, hum aagaaz kartey hain isskay shuruaat se jab ek mard aur ek khatoon ka nikah hojayein. Jab unkay darmiyaan azdawaji talluq (mubashrat) ho, shouhar ko iskay liye “Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim” kehna chahiye. Agar Allah ek aulaad paida karta hain aur ahliya haamla ho jaati hain, phir yeh “Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim” ke sath hain. Main ek lateefa sunaati hu, hamaari ek khatoon padosan thi aur uskay potay bahot shararati thay – mere bachhay bhi shararati thay – lekin woh kehti ke yeh bahot achhay thay, usney kaha: ‘Kyunki aap ke “Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim” se hain, mere “Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim” ke baghair hain!’ [hastay huye]. Lehaaza shuruaat se hi yeh humara usool hain ki har dafa jab biwi aur shouhar ka azdawaji talluq ho, shouhar ko kehna chahiye “Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim”, phir
agar Allah unhein aulaad deta hain, tab yeh “Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim” ke sath hain. Yeh usool hain har ek cheez ke liye aur iss ke liye bhi.


Isliye Insha’Allah, hum dua’goh hain ke sabhi ki aulaad’ein ho. Yeh ek bahot hi badi neymat hain, aulaad ka hona. Jab aapka nikah hojayein, yeh mat kaho ‘hum chand saal intezaar karenge aur phir humaari aulaad paida karenge’. Nahi, Mawlana Sheikh hamesha kehte thay: “Pehlay woh log kehte hain ‘nahi, nahi, nahi’. Phir jab woh aulaad chahtay hain, Allah unhein ataa nahi karta”. Yeh achha nahi hai. Agar Allah aap ko shuruaat se hi ataa karta hai, nikah ke chand-arsay baad, uski mukhalifat mat karo, usay mat roko. Aitraaz mat karo, mat kaho ‘humein aulaad baadmein chahiye, hum apni zindagi se lutf-andoz hona chahtay hain’. Yeh tama’am mazakiya khayalat hain joh insaani fitrat ke mutabiq nahi hain. Aulaad ka hona, unki tarbiyat karna yeh insaani fitrat mein se hai aur zindagi ki ek sunnat bhi. Alhamdulillah.

Lehaza, jab khatoon ko pehli dafa yeh maloom hojayein ke woh haamla hai, Mawlana Sheikh farmaya kartey ke agar mumkin ho, aap qurbani karein, ek qurbani haamla khatoon aur aulaad ke liye, Insha’Allah nau (9) mahinay mukammal honay ke liye. Qurbani Sayyida Nafeesa At-Tahira aur Shah Naqshband ke naam par honi chahiye. Gosht logo mein taqseem kardein, aap bhi iss mein se kha saktay hain, lekin isay miskeen logo mein taqseem karna zyada behtar hain.


Yeh hamal ke aagaaz ke liye hain. Aur phir har roz, ek sadaqa maa ke liye aur ek sadaqa aulaad ke liye. Jitna bhi aap ke liye mumkin ho, aap ke yaha joh bhi sikka raijul-waqt chal raha hain, 1 lira dalein – hamaray yaha lira hai – ya 1 pound, har roz maa ke liye 1 pound, aur 1 pound aulaad ke liye. Phir Insha’Allah, bi idhnillah – Allah ki marzi aur ijaazat se – koi paychidgiya nahi hongi, koi mushkil nahi hogi paidaish mein.
Mawlana Sheikh ne kabhi pasand nahi kiya ki hum kisi tabeeb (doctor) ke paas jayein. Lekin aaj-kal unn logo ne aapka tabeeb ke paas jana laazmi kardiya hai. Agar aap ke ghar mein koi achhi daai (ek khatoon joh paidaish mein madad karnay ki silahiyat rakhti hain) aati hai, yeh achha hai. Agar nahi, shifaa-khana’y(hospital) mein bhi achha hain. Lekin tabeeb ke paas jaana, Maulana Sheikh hamesha yehi kaha kartey: “Aap beemar nahi hain, aap mareez nahi hain. Woh ek haamla khatoon ko ek bemaar khatoon ki tarah sulooq kartay hain ki usay har mahine waha jaana padhta hain khoon ki jaanch karwaney, yeh aur who lenay ke liye”. Aaj-kal aap par yeh laazmi kar diya gaya hain, woh aapko azaadi nahi dete lekin aap jitna kam jayein tabeeb ke paas, behtar hai.


Aur ultrasound ke liye, Mawlana Sheikh ko 100% ispe aitraaz tha. Allah humein maaf karey lekin bahot saaray waqiat ho rahay hain aur yeh aur woh – La hawla wa la quwwata illa billahil ‘Aliyyil Adheem. Agar bahut bahut zyada zaroori hai yeh ultrasound karwana, phir theek hain aap sadaqa de-de aur aap chalay jayein. Lekin ek baar, zyada nahi. Mawlana Sheikh Mehmet iss ki ijaazat detay hain lekin sirf tab jab yeh waqai zaroori hojayein, agar kuch galat ho raha hain. Aadat ki tarah nahi, har mahine aap ja rahey hain, har mahine woh aapka ultrasound kar rahey hain aur phir woh kehtay hain ki bachha behra hain, bacha.., mujhe nahi maloom kya, bachha hyperactive hain, bachha autistic hain. Aap andaza nahi laga saktey ke bachhay ke sath ho kya raha hai.

Pehlay jab unki wiladat ho jati hain tabhi aisey nazar aata hain ke woh
theek hai lekin jab woh badtey hain phir kuch na kuch galat zahir hota hain har bachhay ke sath- La hawla wa la quwwata illa billahil ‘Aliyyil Adheem. Yeh waqai kuch aisi cheez hai joh bahot achhi nahi hain, buri hai. Kyunki Allah Azza Wa Jalla Quran Al-Kareem mein farmata hain: “Humne tumhe andheron ke teen pardoh mein banaya hain…”
“ٰ… ࣲۚ يَخۡلُقُكُمۡ فِي بُطُونِ أُمَّهَٰتِكُمۡ خَلۡقٗا مِّنۢ بَعۡدِ خَلۡقٖ فِي ظُلُمَٰتٖ ثَلَٰثٖۚ…”[Quran: 39:6]. Unka kehna hain ke yeh sirf aawaaz ke ariyeh
se hum aapka muaena (jaanch) kartey hain, roshni se nahi hota yeh ultrasound. Lekin isse bhi bachhay ko nuksaan hota hain. Baaz-dafa woh kehte hain ke aap ko isay karwana laazmi hain, phir aap sadaqa de-de aur jaayein. Agar aapko zarurat pesh nahi hai, nah jayein.

Aur aaj-kal, tabeeb’o ka kehna hai: “Hum aapke peth mein se paani lekar, hum dekhengay ki baccha mamooli taur ka hain ya ghair-mamooli taur ka hain.” Aur yeh waqai bahot bura hai joh ho raha hai. Kabhi kabhi woh bachhay ko le-letay hain, 6-mahinay, 7-mahinay, bachhay ko qatal kar detey hain maa ke peth ke andar hi, yeh keh-kar ke bachha ghair mamooli taur ka hain aur phir bachha paida honay par aam taur jaisa nahi hoga. Joh kuch bhi ho, joh Allah ne aap ke peth mein banaya hai, aapko usay rakhna hoga. Tabeeb ki baat par amal na karein, ‘yeh ghair-mamooli aur ka hai, hum usay letay hain, hum usay qatal kartay hain’. “Wa idhal maw’udatu su’ilat” “ وَ إِذَا ٱۡلمَوۡءُ دۥَةُ سُ ئِلَتۡ ”-[Quran 81:8].

Quran Al-Kareem mein unhonay kaha hain ‘maw’udatu’,maw’udatu maenay yeh ke woh bachhay ko zameen ke neechay zindah dafan kar detey hain. Lekin yeh bhi isi tarah hi hai, aap bachho ko dafan karte hain 6-mahinay, 7-mahinay mein; jab mein aisi baatein sunti hu, mere baal safed ho rahay hain, mujhe iss baat par bahot bura lagta hain, ki ‘bachha ghair-mamooli taur ka hai, hum bachhay ko le rahey hain’. Ya Hu! 6-mahiney, 7-mahinay mein, woh paida hi honay ja raha hai, yeh kaisa hain? Allah ne aap ke peth mein joh bhi paida kiya hai, iskay baray mein koi nahi jaanta. Ek khatoon hain yaha humari biradari mein, woh 2-mahinay pehlay ro rahi thi, kyunkay unhone usay kaha ke uska bachha ghair-mamooli taur ka hai kyunkay unhonay ultrasound mein dekha aur kaha ke ‘uska sir bahot bada hai, uskay pair..mujhe nahi maloom kya’. Aur woh pichlay roz usay lekar aayi, woh ek aam bachha tha. La hawla wa la quwwata… woh samajhte hain ke woh Allah hain, Astaghfirullah Al-Azeem. Yeh bahot hi bura hai. Lehaza agar zaroori nah ho, agar aap ka hamal sehat-mand hai phir tabeeb ke paas na jayein. Aksar chand mahinay mein ya aap ki aulaad ki wiladat se pehlay bhi, phir sirf dakhila karne ke liye ke aap shifaa-khana’y jayein aur apni aulaad miley, bas.
Qudrati wiladat ke liye, Insha’Allah hum isay tarjeeh dete hain tama’am khawateen ke liye. Insha’Allah, hum iski dua kartay hain. Lekin baaz-dafa yeh waqai laazmi hojata hain caesarean karwana, phir aap isay karlein. Lekin yeh mat kaho ki ‘Main dard bardasht nahi kar sakti, mujhe caesarean karna hain, c-section iss din kyunki woh din bachhay ke liye munaasib rahega, 2/2/2022’ aur Main nahi janti kya, kuch iss tarah. Woh caesarean karwana chahtay hain 36 hafton, 37 hafton mein, yeh keh-kar ‘Theek hai, hum bachhay ko le aatay hai [bahar] kyunki Mujhe yeh tareekh pasand hain’. Yeh achha nahi hai, yeh bilkul bhi achha nahi hai.

Bahar-haal, jab khatoon ko (aulaad ki wiladat ka) dard mehsoos ho tab aap usay dijiye – agar woh pi sakay – dalchini wali hai. Dalchini ki chai dard mein izaafa karti hai aur qudratan khul jata hain Insha’Allah. Iskey alawa, Paani par 7 martaba Surah At-Tariq [Quran 86:1-17]padhey aur ek martaba Surah Maryam [Quran 19:1-98]. Jab wo bacchey ko deliver kar rahi hoti hain, hum Surah Maryam ki tilawat karey unki hifaazat aur aasan wiladat ke liye. Yeh bacchay ki paidaiesh ke dauran ke liye hain.
Aur aap ki aulaad ki wiladat ke baad – who ab bachhay ko nehlatay nahi hai jab wo aata hain – jab aap pehli martaba bachhay ko nehlatay hain, aapko ek mutthi-bhar namak daalna hai paani mein, zyada nahi, sirf bachhay ko nehlanay ke liye iss namkeen paani se. Yeh ek riwayat hai aur yeh ek sunnat ki tarah bhi hain, thoda-sa namak daalna paani mein bachhay ko nehlanay ke liye, pehli martaba nehlanay ke liye.
Aur yeh bhi ki aulaad aur maa ko 40 roz tak ghar mein hi rehna hain. Agar zaroori na ho, ghar se bahar na niklein 40 roz tak. Mawlana mujhe yeh bhi kehte thay ke surkh(red) dupatta aur peela dupatta bandha jayein bachhay ke jhoolay, yaani bachhay ke bistar par. Aap ko ek surkh dupatta aur ek peela dupatta rakhna hai. Peela-dupatta peelia (yarkan/jaundice) ki beemari ko door karnay ke liye hai. Aur surkh dupatta jinn ke liye hain, unhein door rakhney ke liye.


Iss ka bhi mashwarah hain ke khatoon ko uskay naozaida aulaad ke sath ghar mein akela na rehnay diya jayein. Kisi na kisi ko hamesha unkay sath rehna chahiye 40 roz tak . Kyunki baaz-dafa jinnat mussalat hotay hain, woh unkay sath aanay par aur mudakhlat karne par israar kartey hain. Phir bahot se log yeh sochte hain ke ‘hamaray sath kya ho raha hai’ aur phir yeh aur woh. Lehaza, yeh mashwara hai ke khatoon apni aulaad ke sath, 40 roz tak, woh ghar mein reh sakti hai, agar zaroori na ho, bahar na jayein. Aur yeh bhi, kisi na kisi ko ghar mein har waqt unkay sath rehna laazmi hai, inn 40 roz tak.
Aur 40’ve (chalees’ve) roz ko, aap bachhay ko nehlatay hain, phir 40 roz mukammal ho jatay hain aur isi ke sath aulaad aur maa ki khalwat bhi. Aam taur par, tabeeb’o aur daai’o kehtey hai ki 6 haftay lagtay hain jism ko dobarah mamool ke taur par honay mein aulaad ki wiladat ke baad. 40’ve roz ko, aap paani mein sona dalein aur aap bachhay ko nehlaye iss sonay ke paani se. Phir aap woh sona leley ya fir usay bachhay ya maa ko de-de [hanste huye]. Hajjah Anne, Meri walida, apni sonay ki angoothi lekar paani mein daalti thi aur isse bachhay ko nehlati thi. Unka kehna tha sona bachhay ke jism aur dil ke liye achha hota hai, aur dua. Yeh Hajjah Anne ki riwayat hain.


Bacchey ki Wiladat ke baad khawateen ko joh khoon aata hai usay nifas kehtay hain. Nifas ke dauran khawateen namaaz nahi padh sakti, roza nahi rakh sakti, masjid aur qabristan mein daakhil nahi ho sakti, na haram mein daakhil ho sakti hai, na tawaaf kar sakti hain, na Quran ki tilawat kar sakti hai aur naa hi shauhar se azdawaji-talluq qayam kar sakti hain.


Aam taur par yeh chalees roz tak hota hai, lekin baaz khawateen ko mukammal 40 roz ke liye khoon nahi aata. Unn mein se kuch ko sirf 10 roz, kuch ko 15 roz, doosro ko 20 roz tak khoon aata hai aur phir woh paak ho jatay hain. Jab woh paak ho jayein to ghusl lekar namaaz adaa kar sakti hain lekin phir bhi 40 roz mukammal honay tak shauhar ke sath koi azdawaji-talluq nahi qayam kar sakti. Iss ki wazahat hai ke unka jism abhi tak mamool taur par nahi aaya hain halaanki unkay bachhay-dani se khoon behna band hogaya hai. Kuch khawateen ka khoon behna jald band ho jata hai aur kuch khawateen ko 40 roz se zyada arsay tak khoon aata hai. Lehaza, jald band ho jaane walo ke liye, agar woh 3 roz tak khoon na behnay ka intezaar karein, kyunki baaz-dafa khoon wapas jaari hota hai, phir unhein dino ka shumaar kartein rehna hain 40 roz mukammal honay tak. Lekin 3 roz ke baad agar khoon jaari na ho, phir woh ghusl kar saktey
hain aur 40 roz mukammal honay ka intezaar kiye baghair namaaz padhna shuru kar saktay hain kyunki khoon dobarah nahi aaya phir woh paak hain. Yahi usool hai. Aur unn khawateen ke liye jinhein baaz-dafa 40 roz mukammal honay ke baad bhi khoon jaari rehta hai – 40’ve roz unko gusl lena hain aur 41’ve roz se mamool taur par har dafa wuzu ke sath namaaz padhna shuru kar dena hain.


Jab aulaad 7 roz ki ho jayein tab humein aulaad, ladki ya ladka, ke sir ke baal nikalna (mundwana) laazmi hai. Aur aap baalo ko toll kar iss ke miqdaar barabar sona sadaqa kardein. Iss ke maenay yeh hain ke agar yeh 1 gram hua, phir aapko 1 gram sonay ki maali-qeemat dena hai, jitni bhi iss ki raqam paiso mein banjayein, batour sadaqa. Ladkiyo ke liye aur ladko ke liye. Bachho ke liye yeh sirf 1 gram hota hai ya agar unke baal bahot zyada hain to shayad 2 gram, baal bahot halkay hotay hain.


Naaf ki naal jab alag hojayein, aap usay le-ley aur baalo ko bhi, ladkiyo ke liye aap ko usay apne ghar ke baagh mein dafan karna hai, apne ghar ke ya apne walidain ke ghar ke – agar aap ke ghar mein baagh hai. Agar aap ke ghar mein baagh nahi hai phir aap usay masjid ke baagh mein bhi dafan kar saktay hain. Aur ladko ke liye isay masjid ke baagh mein dafan karna hai. Maenay yeh hai ke ladkiya ghar rakhti hain aur ladke masjid rakhtein hain- yeh ek riwayati chalan hain.

Aur qurbani hoti hai – woh isay aqiqah kehte hain – aulaad ki umr 7 roz ki hona zaroori hai, 7 roz se pehlay nahi. Aqiqah 7 roz se pehlay nahi hota. Aur aqiqah ladki ke liye ek qurbani hai aur ladke ke liye do qurbani. Ladko ke liye, agar aap chahein to aap dono qurbani ek sath kar saktey hain ya agar aap chahein, ek qurbani 7’ve roz kar saktay hain aur doosra aap baad mein kar saktay hain (jab bhi aap kar sakey). Agar aap ke liye ek waqt mein do qurbani karne ki qabiliyat hai phir yeh karlein. Aur aqiqah ke gosht se aap logo ko khana khilanay ki daawat rakh saktay hain. Aap usay taqseem kar sakte hain aur aap khud bhi kha sakte hain. Iss ka qaida yeh hai ke aap qurban ki haddiya nahi tod saktey lekin aaj-kal mujhe nahi maloom ke aap yeh kaise kar sakte hain. Lekin woh iss ke sath ziyafat karte hain aur aap qurban ki haddiyan nahi toda kartein. Khanay ke baad, aap haddiya jama kar ke usay baagh mein dafan kardein phir yeh jinnato ke liye bhi daawat hojati hain. Mawlana Sheikh Nazim hum sabko yeh bataya kartein aur hum iss par amal kartein.


Lehaza aulaad honay ke yehi sarey usool hain hamaari riwayat mein, Islami riwayat.
Aur Aanwal (placenta)- kuch jagaaho par woh aapko aanwal bhi detay hain- usay bhi dafan karna chahiye, achhi tarha se dafan karna chahiye taaki koi jaanwar aakar usay naa le jayein. Lehaaza, aanwal ko bhi dafan kar dena chahiye, agar woh aapko yeh detay hain. Hamaray mulk mein wiladat ke baad woh isay dete hain, agar aap usay dafnana chahtay hain, woh aapko usay dafnane ke liye dete hain.


Aur yeh bhi, aulaad aur maa ke liye rozana ek sadaqa wiladat ke baad bhi, jab tak 40 roz mukammal na ho jayein. Lekin isay aadat bana le tamaam bachho ke liye, unn ke liye har roz sadaqa nikalein, rozana sadaqa tamaam bachho ke liye. Ladko ke liye bhi, khatna karne ki tajweez di gayi hai. Aap ke mulko mein, Main nahi jaanti ke aap isay kaisay karte hain. Yahan, Turkey ke log yeh munasib samajhtay hai ke unhay baday honay diya jayein, 3 saal, 5 saal, 7 saal, baaz -dafa issay bhi baday, woh khatna karte hain. Lekin mukhtalif mulko mein, kuch log shifaa-khanay se bahar jaane se pehlay hi khatna karwa detay hain. Kuch log isay do, teen mahinay hojaney par kartay hain. Isay 40 roz ke baad karne ka zyada mashwara diya gaya hai, jab woh 40 roz se zyada baday hojayein. Khatna ladko ke liye hota hain, aur yeh sunnat aur farz hain.

Ladko ki khatna karna yeh Islam mein farz hain. Aur azaan – jab wiladat ho jayein, ek achhay naam ka intekhab karein aur bacchay ke waalid ya khandan ka koi zaeef fard, aap ke dada, aap ke Sheikh, aap ke ustaad, azaan padh sakta hain daayein taraf (bachhay ke daayein kaan mein) aur phir iqamah baayein taraf (bachhay ka baayein kaan mein). Aur phir aap bachhay se kehte hain: Bismillahi Ar Rahman Ar Rahim. Qul Ya Abdullah [ladko ke liye] aur Ya Amatullah [ladkiyo ke liye]- ya aap bachhay ka diya gaya naam bol saktay hain –: Ash-hadu anna la ilaha illa Allah wa Muhammad Rasul Allah. Aap azaan ke baad yeh kehtay hain,
aur phir aap Surah Ikhlas padhtey hain (‘Qul Hu Allahu Ahad…’) [Quran 112:1-4], Surah Al-Falaq (‘Qul Audhu bi Rabbil Falaq…’) [Quran 113:1-5] aur Surah An-Nas (‘Qul Audhu bi Rabbin Nas..) [Quran 114: 1-6], aur bachhay par dum kartay hain.


Yeh riwayat hai ke bachhay ke muh mein thoda sa meetha khajoor daala jayein, woh isay muh kholna-tahneek kehtey hain. Azaan ke baad, aap bachhay ko khajoor ka thoda sa hissa chaatne de-de. Ya agar aapke paas aanar ke ek ya do danay ho toh aap iss ka ras bachhay ke muh mein daal dey. Sheikh apne luaab se tahneek kartey hain,- kyunkay woh Sheikh hai. Aap yeh tahneek karein azaan ke baad.
InSha’Allah, shayad agli dafa Mai aap ko mazeed kuch batau. Main aap sab ke liye dua karti hu ke aap sab ka sehat mand hamal aur sehat-mand bachhay ho Insha’Allah, aur koi pareshani pesh na aayein aur woh Islam aur Imaan par baday ho, Insha’Allah. Aur Allah unko mazeed badhayein, Allahumma zid wa baarik.
Wa min Allahi at-tawfeeq
Fatiha
🕋