Adab Aur Fiqh Ders
2021/03/31, Ders 7
Fehrist:
★ Tasabih jo hum har namaz ke bad padhte hai
★ Suras jo hum har namaz ke bad padhte hai
★ Sujud As-Sahu سجود السه و
★ Kya Namaz ko baatil karta hai – ما يفسد الصلاة
★ Kya Namaz ko baatil nahi karta
★ Salat Qada/Qaza Namaz -القضاء صل ة
★ Nafl Namazein صلاة النواف ل
❖ Ishraq
❖ Duha
❖ Salat Awwabin
❖ Qiyamul Layl
❖ Tahajjud
❖ Salat Al-Najat صلا ة النجا ة
❖ Salat Shukr
❖ Tahiyyat Al-Masjid تحية المسج د
❖ Sunnat Al-Wudhu سنة الوضوء
❖ Salat Al-Tasabih صلاة التسابيح
❖ Salat Al-Tarawih صلاة التراويح
Assalamu alaykum wa rahmat Allahi wa barakatuhu. In Shaa Allah hum Namaz, salah par dekhna jaari rakhenge.
Jab hum namaz mukammal karey toh tasabih bhi hoti hai, jaise wird, jo hum padhte hai har namaz ke bad. Khatm karne ke bad, salam pherne ke bad hum padhe: ‘Astaghfirullah, astaghfirullah, astaghfirullah. Allahumma anta as-salam wa minka as-salam tabarakta ya dhal jalali wal ikram, ‘ala Rasulina salawat. Allahumma salli ‘ala Muhammadin wa ala aalihi wa sallim- استغفرالله، استغفرالله،
استغفرالله. الله م أن ت السلام ومنك السلام وإليك يعود السلام تباركت يا ذا الجلال و الإكرام ، على رسولنا صلاوا ت اللهم صلي على
محمدٍ و على آلِهِ وسلم. Phir, hum Ayatul kursi (Quran 2:255) padhege aur Ayatul kursi ke bad hum padhege: ‘Sub Haan Allah’, 33 martaba, ‘Alhamdulillah’, 33 martaba; aur ‘Allahu Akbar’, 33 martaba.
Ye tasabih RasoolAllah صل ى الله علي ه وسلم ne Sitti Fatima e Zahra, aap صلى الله علي ه وسل م ki sahebzadi, beti ko tajweez ki hai, aur ye poori ummat ko bhi tajweez kiya hai har namaz ke bad padhne. Aur ye poora karne ke bad hum apni dua karte hai, hum apne liye dua karte hai, hamare gharwalo ke liye, ummat ke liye, RasoolAllah صلى الله علي ه وسلم ki ummat ke liye aur Fatiha ke sath bandh karte hai. Kabhi subah ke namaz ke bad, hum padh sakte hai: ‘Hu Allahu ladhi la ilaha illa Hu…’, Surah Al-Hashr (Quran 59:22-24) ki (aakhri) teen ayatein. Aur sham me bhi Isha ke bad, hum ‘Amana Rasulu’ (Quran 2: 285-6) padhte hai.
Hamarey Tariqat mein, subah ki namaz ke bad hum Surah Yasin Sharif padhte hai, Zohar ki namaz ke bad hum Surah Mulk padhte hai; Asar ki namaz ke bad hum Surah Naba padhte hai; Maghrib ki
namaz ke bad hum Surah Sajdah padhte hai; aur Isha Namaz ke bad hum Amana Rasulu’ (Quran 2: 285-6) ya Surah Mulk phir padhte hai. Ye hai jo hum padhte hai, hum ye hamare RasoolAllah صلى الله
عليه وسل م ko pesh karte hai aur jitne bhi marhumeen hai hamare ghar me, aur hamari ummat Muhammad صلى الله علي ه وسلم me. Ye sab Surah sunnat hai aur Naqshbandi tariqat ke wird ka hissa hai. Toh ye hai jo hum har namaz ke bad padhte hai auriskessath hum namaz mukammal karte hai.
Kabhi-kabhi, jab hum namaz me kuch galti karte hai aur hum aagah hote hai, namaz ke aakhir me hum ek taraf salam de kar, sar seedhi taraf ghumakar aur kehte hai ‘Assaalamu alaykum wa rahmat Allah’, aur dil mein hum Sajdah e Sahu-سجود السهو ki niyyat karte hai; ye do sajdah hai namaz ke dauran koi galti karne par ada karte hai aur usey mukammal karte hai. Toh ‘Attahiyyatu…’ aur ‘Allahumma salli…Allahumma barik…’ ‘..innaka Hamidun Majeed’ tak padhne ke bad, hum seedhi taraf mu pher ke ‘Assaalamu alaykum wa rahmat Allah’ kehte hai, phir hum sajdah karte hai do martaba, aur hum phir se ‘Attahiyyatu…’ aur ‘Allahumma salli…Allahumma barik…’ ‘..innaka Hamidun Majeed’ tak padhte hai, aur uske bad hum salam pherte hai: phir namaz mukammal hoti hai.
Masalan, galti jiske liye Sajdah e Sahu.سجود السهو ki zarurat ho: agar aap surah padhna bhool jaye, ya aap dusri rakat me baithna bhool jaye(agar aap 4 rakat padh rahe hai), ya agar aap do bar baith jatey ho(aap dusri rakat me baith te ho aur teesri rakat, aur phir chouthi rakat mein). Aisi choti galtiyo ke liye, aap Sajdah e Sahu karte hai. Agar aap Imam ke peeche padhte hai, aur wo aisi galti karte hai, unhe Sajdah e Sahu karna hoga aur poori jamat unke sath karegi. Ye Sajdah e Sahu ke liye.
Kabhi-kabhi jab hum namaz padhte hai, koi bhool jatey hai ki kitni rakat padhi gayi; aise surat mein choti tadad fard karey aur iske mutabiq ginti karey. Masalan, agar aapko bharosa nahi ki aapne 2 rakat padhi ya 3 rakat padhi, fard karey aapne 2 rakat padhi aur iske mutabiq apni namaz jari rakhe, phir aapki namaz mukammal hogi In Shaa Allah.
Lekin masalan, agar aap 4 rakat padh rahe ho aur aapko aagah hota hai ki aap paanchvi rakat ke liye khade horey ho, phir aap ek aur rakat padhege namaz ko mukammal karne, isko ek barabar rakat banane ke liye(aise ye 6 rakat hogi). Lekin Maghrib ki namaz ke liye, agar aap ek aur rakat padhte hai, isey 4 rakat karne, phir, aapko poori namaz dohrani hogi. Hum Maghrib ko 4 rakat tak jaari nahi kar sakte, ye sirf 3 rakat hai. Agar aap aagah ho jaye ke aap chouthi rakat ke liye jarey ho maghrib ki namaz me phir aapko apni namaz dohrana hai. Ye kuch choti leki zaruri cheezein hai Namaz ke barey mein In Shaa Allah.
Tamaam dunyavi baatein aapki namaz ko baatil kar deti hai ما يفسد الصلا ة – Agarche aap ‘SubhanAllah’, ‘Alhamdulilah’, ya ‘La ilaha illa Allah’, ya ‘Inni lillahi wa inna ilayhi raji’oon’ bhi kehte hai kisi aur cheez ke barey me sochte hue (namaz ka hissa ki taur par nahi lekin aapke dimag mein chalte kisi aur cheez ke jawab mein), ya aap kisi ko baat karte hue suntey ho aur aap bas jawab de, jaanbujkar ya anjaney mein, ye dunyawi baat maani jaegi aur chunache aapki namaz ko baatil kar degi. Agar aap namaz ke dauran baat karey, phir aapki namaz durust nahi aut aapko isey dohraani hogi.
Badi harkatein ya bahot zyada harkatein Namaz ke dauraan, Namaz ko baatil karta hai. Agar aap ek jagah par hote hue inme se 3 se zyada harkatein karte ho (masalan, jab aap khadey ho ya jab aap baithe ho) namaz ke dauraan, phir aapki namaz baatil ho jaegi.
Iske alawa, oonchi awaz me rona ya dard ya gham se karrahna aapki namaz ko baatil karta hai. Lekin agar aap Ooncha ro rahe hai kyunki Imam bahot accha Quran padh rahe hai aur ye aapke dil ko chu gaya, agar aap Allah ke darr mein ya Mohabbat mein ro rahein hai, ye theek hai. Lekin agar aap kisi aur wajah se ro rahe hai aur aap bahot oonchi awaz mein ro rahe hai, phir aapki namaz baatil hogi.
Hansna bhi namaz ko baatil karta hai. Jab aap namaz mein ho, agar aapne khudko suna, aapko ye namaz dohraani hogi. Lekin agar kisi aur ne bhi aapko hanste suna, toh dono, aapki namaz aur aapka wuzu bhi baatil hoga, aapko jaakar naya wuzu karna hai aur apni namz dobara shuru karni hai.
Aur agar aapka tayammum ho aur aap namaz padh rahe ho aur aapko paani mil jaye, ye aapki namaz baatil karta hai kyunki wuzu ke liye paani maujud hai. Wuzu ke liye Paani ke rehte aap tayammum ke sath namaz nahi ada kar sakte. Iske alawa, Namaz ke dauran kuch khana ya peena aapki namaz baatil karta hai. Ye Sabse zyada aam cheezein hai jo aapki namaz baatil karti hai.
Wo cheez jo aapki namaz ko baatil nahi karti, jab aap khadey ho agar aapka kapda thoda sa ooncha ho aur aapke paer dikh rahe ho, aap isey neeche kheench sakte hai ya isey adjust kar salte hai. Ya aapke daanton ke darmiyan agar kuch ho jo moong phali ya chaney se chota ho, aap isey nigal sakte hai. Ye theek hai. Ya phir agar aapki kamar par kuch ho, aap isey kheech sakte hai ya seedha kar sakte hai, iski ijazat hai.
Hanafi madhhab mein, apne saamne Quran se dekh kar padhne ki ijazat nahi. Namaz mein aap jo Quran padhte hai aapko yaad karke padhna hai. Lekin dusre madhhab mein, iski ijazat hai. Lekin Hanafi madhhab ke liye iski ijazat nahi.
Aap ek, do ya teen kadam tak hut sakte ho agar aapne saanp, bicchu jaise kuch zehriley janwar ko paaya, aap 1 se 3 kadam hut sakte hai aur is khatarnaak janwar ko jaan se maar sakte hai jo aap par hamla kar sakta hai. Iske alawa, agar aag ya aisa khatra ho, aisi wajah se, namaz me harkat karne ki ijazat hai. Iske alawa, agar aapki aulaad koi khatre ki harkat karey, toh aap bacche ko ley sakte hai lekin bacche ko poori namaz ke dauraan utha rakhne ki ijazat nahi.
Namazi ke saamne se guzarna gunah hai; aur agar aapko guzarna ho, namazi ko peet karey aur aise guzrey. Isliye jo namaz padh raha ho wo apne saamne kuch rakhey, kuch aisa jo 1 metre ooncha ho; ye ghutne tak ya usse ooncha ho. Ek khuli jagah me bahot log khadey ya guzarte hue, agar kisi ko namaz padhna ho, usey ek taraf khada hona hoga, raste se jitna ho sakey hut kar, aur apne saamne kuch rakhna hoga; kuch log sirf kagaz ka tukda rakhte hai, iski ijazat nahi hai, aapko kuch ooncha rakhna hoga taaki jo saamne log aaye guzar sakey(bina gunah kiye), lekin bahot sarey logon ko ye pata nahi hai.
Lekin agar aapke pas kuch na ho jab aap namaz padh rahe ho aur koi saamne se guzarta hai aur aapko usey tanbiya karna chahte hai, phir namazke dauraan aap [Hajjah Ruqqaiyah apne ulte hath par dusre hath se maarte hai thaali ki awaz karne] apne hath se ye karey taaki wo aagah ho jaye ke aap namaz padh rahe hai. Ek aadmi ke liye, wo padh sakta hai jo wo padh raha ho, jaise Quran, oonchi awaz mein taaki logon ko pata chale ki wo namaz padh raha hai aur wo uske saamne se na guzrey; lekin aurton ke liye, wo thaali ki awaz kar sakte hai apne hatho se taaki log unke saamne se na guzre, ye kar sakte hai.
Lehaza, awaami jagah par namaz padhte waqt aap hamesha apne saamne kuch rakh de, ye behtar hai.
Aurton ke liye aisi khuli jagah par namaz padhna na pasandida hai jaha ek shohar, ek beta, ek baap ya ek bhai ke alawa mard maujud ho. Agar aurton ko aisi jagah namaz padhni padhe toh wo ek koney se aur yakin banaye ki unki peet panahgah me ho(masalan unke peeche deewar ho). Mardon aur aurton ke liye raastein mein namaz padhna sakht mana hai kyunki wo raasta band karta hai aur logon ko nuksan bhi karta hai.
Agar aap ek khuli jagah ya kheton me namaz padhte ho, aap apne sajdeh ki jagah ko ek bar saaf kar sakte ho sajdeh me jaate hue, utna hi. Lekin aapko isey har sajdeh me dohrana nahi chahiye. Kuch aurtein sajdeh ki jagah dhaankne apna scarf phailate rehte hai jab wo sajdeh me jatey hai, ye napasandida hai. Apni ungliya ya peet todna, ya apni gardan todna, ya bina wajaah bahot zyada harkat karna na pasandida hai. Aap apna jism seedha kar sakte hai par todne ki awazein na karey.
Ye Naa-pasandida hai jab aap Sajdeh me aap jaate waqt aise [Hajjah Ruqqaiyah apne hath saamne seedhe phailate hai aur aagey bazuo ko choudha karte taaki koniya bahar ki taraf ishara kar rahi ho]. Jab neeche farsh par sajdeh ke liye jaate hai, khawateen ko apne bazuon ko apne jism ke bazu nasdeek rakhne chahiye aur aadmiyon ko, thoda sa jism se door, lekin bahot zyada nahi.
Ye Afzal Nahi ke aap Surah Fatiha ke bad ek jaisa hi surah padhe- poori farz namaz mein. Behtar hai ki aap har rakat me surah badal kar padhe, jab tak aapko koi aur surah na aata ho. Iske alawa, koshish karey ki pehli rakat me koi lamba surah padhe aur ek chota surah dusro rakat mein, aur koshish karey ki aap Quran ke surah ki tarteeb ka ehteram kar rahe ho (Jo Quran me pehla surah ho wo aapki pehli rakat me ho). Ye zyada tar un log ke liye jinko zyada surah aate ho.
Aur aise qaaleen par sajdah karna jaha tasveerein ho, insaan ya janwar ki tasveer, naa-pasandida hai. Lekin agar ye tasveerein sajdah ki jagah par na ho toh theek hai, aap is gaaleen par namaz padh sakte hai.
Maujuda waqt ki farz namaz padhne se pehle aapko apni us din ki koi bhi qaza namaz padh leni chahiye. Masalan, agar aapki subah ki namaz chooth gayi aur ye zohar ka waqt hai, pehle aap 2 rakat farz padhey, subah ki farz aur phir aap zohar ki namaz mamul ke mutabiq padhna shuru karde. Ye har namaz ke liye isi tarah haiya agar aapse 2 ya 3 namazein chooth gayi ho. Sirf Maghrib ke waqt aap apni farz namazein padhey jo aapse chooth gayi usi din ki maghrib ki namaz ke baad. Baaki choothi hui namaz ke liye, aap usey mamul namaz se pehle padhege. Ek aur misaal, agar Isha ke waqt aap se 4 rakat chooth gayi(subah, zohar, Asr aur Maghrib namazein), aap pehle subah ki namaz shur karege, subah ki qaza padhege, 2 rakat; phir zohar namaz, 4 rakat; phir Asr namaz, 4 rakat; phir Maghrib namaz, 3 rakat; phir aap Isha padhna shuru karege mamul taur pe, sunnat, farz, sunnat aur witr wajib: agar ek hi din ki ho toh aapko namazein tarteeb se padhni chahiye.
Agar ya dusra din ho ya aur aagey, phir aap apni namaz ke bad choothi hui namaz ada karey lekin agar aap usi din ki qaza ada kar rahe ho, aapko qaza namaz tarteeb mein padhey, [jaise wo din me hoti hai] subah, zohar, Asr, Maggrib, Isha, aise. Lekin agar aapne paancho namaz chooth gayi ek din mein, aur aap dusre din mein aaye, phir aap apni qaza namaz farz namaz ke bad padhna us din ke. Misaal ki taur par, aap zohar ki namaz padhey, aur phir aap qaza padhey, aur aap Asr padhey aur phir qaza padhe, aur isi tarah.
Aap apni namaz tod saktey hai agar aap ne kisi ko madad ke liye pukarte suna ho, emergency mein, phir aap todke aur apni namaz ko chodkar us shaqs ki madad karne jaa sakte hai. Dusri misaalein hai: Agar aapne kisi ko kuch chori karte dekha jo aapka hai ya kisi aur ka ho, ya agar aap ko kisi cheez ka darr ho, jaise agar aapke pas mendey ho aur ek bhediya unhe khaane aa raha ho, ya koi hamla hora ho. Iske alawa, agar aap ne apahij ya andhe shaqs ko dekha koi Khatarnak halat mein aur madad ki zarurat ho, phir aap apni namaz tod sakte ho is shaqs ki madad karne. Ye saarey halaaton mein aap apni namaz todkar jaa saktey hai emergency ki surat e hall mein shirkat karne.
Fiqh ki kitab mein,mazkur hai ki agar ek daayi namaz padh rahi ho aur ek aurat janam de raho ho, aur daayi pareshan ho ki aurat khatre me hai apni jaan kho dene ya bacche ki, phir wo apni namaz tod sakti hai aur chod bhi sakti hai aur baad me qaza ada kar sakte hai, taaki ek daayi ki taur par apna farz ada kar sakey, maa aur bacche ki jaan ki hifazat kar sakey. Ek musafir, bhi, apni namaz tod sakta hai aur bad mein qaza ada kar sakta hai agar raastein mein koi khatra ho toh iski ijazat hai.
Hum ne kaha tha humari teen kism ki namaz hai: farz, sunnat aur nafeel. Nafeel bahot hai, aur sunnat e muakkadah, ye sunnat hai, hum ne iske barey mein baat ki thi. Iske alawa aur alag tarah ke sunnat bhi hai jo muakkadah nahi: Asr se pehle ki 4 rakat, 4 rakat Isha se pehle ki, aur Maghrib se pehle ki 2 rakat, iske alawa- ye sab pehle hai, Asr se pehele, Maghrib se pehele aur Isha se pehle, ye
sab muakkadah nahi hai. RasoolAllah صل ى الله عليه وسلم inhe kabhi masjid me ada kiya karte the, kabhi Aap صلى الله علي ه وسلم ke ghar mein. Agar aapse ye chooth jaye, sunnat e ghair muakkadah toh aap iski qaza nahi padhte.
Lekin agar aap fazar ki namaz ki 2 rakat sunnat chodte hai ya agar aap zohar ke namaz ki pehli 4 rakat chodte hai, aapko iski qaza ada karni hogi kyunki ye sunnat e muakkadah hai. Lekin aap se pehle ki sunnat kaise chooth sakti hai? Jab aap jhaldi me ho jamat pakadne Imam ke peeche, aur aap ne pehle ki sunnat nahi ada ki, phir farz ko waqt par ada karne, aap pehle ki sunnat chod dete hai, kyunki farz sunnat se zyada zaruri hai. Phir aap iski qaza kaise karte hai? Fazar ki sunnat namaz ke liye, aap suraj nikalne tak ka intezar karey aur phir aap 2 rakat sunnat qaza ki taur par ada karey. Zohar ki sunnat namaz, pehli 4 rakat, ke liye, aap farz imam ke sath padhey aur phir aap apni dusri wali sunnat namaz padh lein, 2 ya 4 rakat, phir aap niyyat karey 4 rakat sunnat jo aapse shuruwat mein chooth gayi thi.
Sirf fazar namaz aur zohar namaz ki sunnat ke liye, agar aap se ye chooth jaye toh aap namaz ke bad iski qaza padhege, agar ye waqt rehte ho (Fazar ki sunnat ka waqt Zohar me qatm hota hai aur Zohar ki sunnat ka waqt Asar namaz me qatm hota hai). Agar ye waqt par nahi ho, phir aap bas farz padhey, aap sirf farz ki qaza padhey. Dusri sunnat namazon ke liye, behre haal wo farz ke bad hai: Zohar ki 2 rakat, Maghrib aur Isha ki farz ke bad hai, toh aapko inhe farz ke bad karna chahiye. Aur Sunnat ya wajib, witr wajib jaan bujkar chodna naa-pasandida hai.
Nafeel صلاة النوافل ke sath ye bhi sunnat hai, RasoolAllah صلى الله عليه وسلم isey padha karte the lekin Aap صلى الله علي ه وسل م apni ummat ko takeed nahi karte isey padhne. Isme se ek 2 rakat Ishraq ki hai. Ishraq tab hoti hai jab suraj tulu hota hai, tulu e aftaab ke 15 minute baad, jab suraj afaq se khaali ho, jab aap suraj ko poori tarah se, poori disc dekh sakey toh ye Ishraq ka waqt hai- ye 2 rakat hai, aap niyyat karey ki aap Ishraq ki namaz Allah Azza Wa Jalla ke liye padh rahe hai.
Ishraq ke bad, Duha ki namaz hai aur iske liye afzal waqt Zohar namaz se ek ghanta pehle ka hai, Ya toh aap 4,8 ya phir 12 rakat padhey, ye Duha hai, ye namaz ka naam hai. Mawlana Shaykh Nazim aur Mawlana Shaykh Muhammad 8 rakat padhte hai, darmiyani, ‘khayrul umuri awsatuha خير الأمورأوسطه ا, darmiyani tariqa behtareen tariqa hai, isiliye wo 8 rakat padhte hai. Ye namaz 4 rakat ek sath(ek salam) padhi jati hai, dusri nafeel namaz ke liye 2 rakat se padhna afzal hai lekin Duha ke liye 4 rakat ek waqt me padhne ki nasihat hai.
Duha ki namaz mein padhne khaas surah hai lekin Mawlana Shaykh Abdullah Al- Daghestani, Mawlana Shaykh Nazim aur Mawlana Shaykh Mehmet(Muhammad) nasihat karte hai ki jab aap nafeel padhe, pehli rakat mein aap 1 Fatiha, 2 Iqlas padhe, aur dusri rakat mein aap 1 Fatiha aur 1 Iqlas padhe, har nafeel namaz me aap padhey, ye theek hai.
Ye Mawlana Shaykh se salah hai kyunki hum sab ab bhi seekh rahe hai aur sab ke liye aasaaniyat ke liye.
Iske alawa, jab aap ek rakat me 3 iqlas padhte hai, aapko khatm ul Quran ka sawab milta hai. Duha ki namaz ke liye aap 12 rakat tak padh sakte hai.
Uske baad, Maghrib ke bad 6 rakat bhi aap padh sakte hai- Salat Al-Awwabeen صلاة ا لوابين .
RasoolAllah صلى الله عليه وسلم ne iski bahot takeed kartey, ye 6 rakat hai, 2 rakatse padhe.
Jab aap masjid mein jaatey hai, 2 rakat nafeel namaz hai, salam kehne, ‘Tahiyyat Al-Masjid تحية المسج د , matlab aap salaami de rahe hai, masjid ko salaam kar rahe hai, jisme aap maujud hai, aap 2 rakat nafeel masjid ki namaz ke taur par padhey. Jab aap wuzu karey, uske liye nafeel namaz hai, aapke geele hisse khushk hone se pehle aap ye Sunnat Al-wuzu سنة الوضوء ، wuzu ke liye sunnat padh lijiye. Iska bahot mashwara kiya gaya hai.
RasoolAllah صلى الله عليه وسلم ne farmaya ke Aap صلى الله عليه وسلم ne Hazrat Bilal ki slipper ki awaz Jannatmein suni jab Aap صلى الله عليه وسلم Miraj ki raat mein the, aur Aap صلى الله عليه وسلم ne unse poocha: “Tum aisa kya karte ho ki mai aapko waha dekhta hu?” Hazrat Bilal ne jawab diya: “Har bar mai wuzu karta hu, mai 2 rakat namaz padhta hu.”
RasoolAllah صلى الله عليه وسلم ne farmaya: “Tum is maqam pe 2 rakat wuzu ki namaz padhne se pahoche ho”.
Sabse zyada aham nafeel raat ke ek tihayi hisse mein hai, Tahajjud ke waqt. Tahajjud ki namaz صلاة
التهجّد tab hoti hai jab aap sokar namaz padhne uth te hai raat mein, ya koi bhi waqt aap sokar uth te hai Isha ke bad, ye Tahajjud hai. Tahajjud bhi 8 rakat hoti hai, aap isey 2 rakat se padh sakte hai, 4 rakat se padh sakte hai, ya aap isey 8 rakat ek salam ke sath padh sakte hai.
RasoolAllah صلى الله عليه وسلم ko Tahajjud padhna bahot pasand hua karta aur Aap صلى الله عليه وسلم ne Hadees Sharif mein farmaya: “Agar mujhe maloom hota ki meri ummat par ye itna bhaari na hota, mai isey unke liye wajib hone ka mutalba karta, lekin Mai Jaanta Hu ki Meri ummat kamzor hai isliye Mai sirf iski Sunnat, ya Nafeel ki taur par nasihat aur sifarish karta hu”.
Ek aur Nafeel hai Qiyam Al-Layl صلاة قيام الليل. Ye bhi raat mein Isha ke baad padhi jaati hai lekin ye Tahajjud se alag hai. Agar aap Isha namaz baad sotey hai aur phir raat mein uth te namaz padhne,ye namaz Tahajjud ho jayegi, agar aap aadha ghante ke liye bhi late kar uthe, ye Tahajjud shumar hogi. Aap Isha ke baad soney se pehle jo bhi padhege wo Qiyam Al-Layl keh laengi. Dono raat ki namazein barkat wali hai aur inke bahot se ajar hai Allah Azza Wa Jalla ki taraf se.
Hamarey Tariqat mein hum 2 rakat Salat Al-Najat صلاة النجاة padhte hai raat mein, Ye ek khaas nafeel namaz hai. (Hum iski wazahat baad mein karege, In Shaa Allah). Salat Shukr, Shukrana Namaz padhne ki sifarish ki jati hai, Allah Azza Wa Jalla ka shukr ada karne, kam az kam 2 rakat shukrana namaz padhne, Allah ka shukr ada karne un sab ke liye jo Wo hamey deta hai. Mawlana Shaykh Nazim isey har acche cheez hone par padhte the, har bar wo kisi cheez par khush hote, jab wo koi khush khabri sunte, kuch bhi accha hone par, shayad har roz wo 20 ya usse zyada rakatein shukr namaz ki, har bar wo kehte: “Allahu Akbar, Shukr Allah ka”. Isiliye roz 2 rakat shukrana namaz padhne ki sifarish ki jati hai, Allah ka Shukr ada karne, har acche cheez ke liye jo Usne hamein diya.
Sabse aham Nafeel namaz hai Salat Al-Tasabih صلاة التسبيح RasoolAllah صلى الله عليه وسلم ne apne chacha, Abbas رضي الله عنه ko Salat Al-Tasabih padhne ki nasihat ki thi. Aap صلى الله عليه وسلم ne unse farmaya: “Mai aapko ek namaz sikhaunga. Agar ho sakey, toh roz padhna. Agar naa ho sakey, toh har hafte me padhna, agar na ho sakey, har mahine me padhna. Agar aap se na ho, toh muqaddas raat mein padhna. Agar naa ho sakey, har saal me ek bar padhna. Agar aapse na ho sakey, apni zindagi mein ek bar padhna.” Salat Al-Tasabih ki itni ehmiyat hai.
Ek aur Ahem Nafeel, ab jo Ramadan aarey hai Tarawih kinamaz, Salat Al-Tarawih صلاة التراويح hai. Tarawih Sunnat e muakkadah hai, RasoolAllah صلى الله عليه وسلم isey hamesha padhte the. Aap صلى الله عليه وسلم ke pardah farmane ke bad unhe yakeen nahi tha ki ye sunnat e muakkadah hai ya nahi, phir Hazrat Umar Ibn Al Khattab ne tasdeek ki ye sunnat e muakkadah hai. Kyunki ye Isha ke bad aap kabhi bhi padh sakte hai Isha se lekar subah namaz tak, is waqt ke darmiyan kisi bhi waqt. Iske alawa, aap isey ya toh witr wajib se pehle padhe ya witr wajib ke bad bhi. Tarawih ke liye jamat banana sunnat e kifayah hai, jiska matlab hai ki agar kuch log ne isey jamat mein padha, phir ye baaki ke liye jamat mein padhna wajib nahi hai. Jamat mein ye padhna sunnat hai Lekin agar aap nahi kar sakte, aur kuch log isey jamat mein padh rahe hai aur aap akele padh rahe hai, ye theek hai. Salat Al-Tarawih sunnat hai dono mard aur aurat ke liye.
Salat Al-Janazaصلاة الجنازة، Janazah ki namaz, farz e kifayah فرض كفاية hai, matlab ki agar biradari me kisi ek ne ye namaz padhi, phir biradari ke baaki log par ye namaz wajib nahi. Lekin agar kisi ne nahi padhi, toh ye sab par gunah hoga. Hanafi madhhab mein, jab hum Imam ki paervi karte hai tab hum nahi padhte lekin dusre madhhab ke liye unko padhna hota hai. Aap ye jamat mein padh sakte hai, ya aap isey infiradi taur par padhe, ye theek hai. Khawateen bhi Salat Al-Janaza padh sakte hai.
RasoolAllah صلى الله عليه وسلم Peer ke din pardah farmaye, aur Peer se lekar Mangal ki dopahar tak Aap صلى الله عليه وسلم ka jism mubarak sittina Aisha RadiAllahu ta’aala anha ke kamrey me tha, Sayyidina Abu Bakr RadiAllahu ta’aala anhu ne logon se kaha: “Aap صلى الله عليه وسلم hamare Nabi hai, yaha aur aakhirat mein aur hamesha ke liye. Aap صلى الله عليه وسل م ke janazah ke liye koi bhi Imam nahi ho sakta.” Chunache, log infiradi taur par jakar Janaza namaz padhte aur chale jatey, mard aur auratein. RasoolAllah صلى الله عليه وسل م ke janazah ke liye koi imam nahi tha. Hazrat Abu Bakr RadiAllahu ta’aala anhu ne farmaya: “Aap صلى الله عليه وسلم aapke Imam hai yaha aur aakhirat mein aur hamesha ke liye. Aap صلى الله عليه وسل م ke Janazah ke liye koi bhi Imam nahi ban sakta.”
Bahot Shukriya aapka aur ummeed hai ye aap sabke aur mere liye faidemand ho.
Allah Azza Wa Jalla aap sab ki aur meri maghfirat karey.
Wa min Allahi at-tawfeeq
Fatiha