Salah Ders 11

      Comments Off on Salah Ders 11

بسم الله الرحمن الرحي م


Ders FiqhAur Adab


2021/05/25, Ders 11- Giran ki namaz


Kisine bataya ki kal raat ko giran hain inshaa allah. Is raat ko khaas namaz padi jaati hain. Ye RasoolAllah صلى الله عليه وسلم ki Sunnah hain. RasoolAllah صلى الله عليه وسلم Logo ko jamaa kar rahe thain suraj giran aur chand giran ke din (Salat ul Khusuf) namaz padhne ke liye bula rahe thain. Yeh sunnah mu’akkadah hain aur yeh bohot lambi namaz hain.


Tum niyyat karo- Aap Akele namaaz padh sakte hain ya jama’a mein padh sakte hain.. Is namaz ka koi iqaamat إقامة nahi hain. RasoolAllah صلى الله عليه وسل م Surah Fatiha padte thain aur suraj ya chaand giran ke saaf hone tak, RasoolAllah صلى الله عليه وسلم Surah Fatiha ke baad Quran Al- Kareem se lambi Surah padte thain. Toh, Pehli rakat mein aap Surah Fatiha padhe aur agar Surah Yaseen aapko mooh zabani yaad hain toh aap Surah Yaseen padh sakte hon – aur dusri rakat mein 1 baar Surah Fatiha aur Surah Al Mulk aur Surah Naba; ya joh bhi Surah aapko mooh zabani yaad hain aap padh sakte hon.
Agar aapko Surah yaad nahi hain toh aap pehli rakat mein 1 martaba Surah Fatiha aur 100 martaba Surah Al Ikhlas padh sakte hain aur dusri rakat mein 1 baar Surah Al Fatiha aur 50 martaba Surah Al Ikhlas padh sakte hain.


Mawlana Sheikh hum sab ko jamaa karte thain aur pehli rakat mein Surah Fatiha ke baad Surah Yaseen; Surah Tabaraka padte thain aur uske baad dusri rakat mein lambi Surah padte thain. Lambi Surah padhna in dono rakat mein sunnah hain. Aur jab namaz padh kar khatam hojati to hum ” Astagfirullah Al – Adheem wa atubu illayh “استغفر الله العظيم واتوب اليه 100 martaba padhte thain aur fir hum dua karte thain, hum sab ke liye aur tamam Ummah ki Tahaffuz aur Hifazat ke liye dua karte hain kyunki RasoolAllah صلى الله عليه وسل م batate hain ki suraj aur chaand giran joh hain woh Allah ki kudrat ki nishaaniyon mein se ek nishaani hain.
Dar hakikat is mein bohot zyaada waqt lagta hain, aadha ghanta ya iss se zyaada ho sakta hain, jab tak ke chaand ya suraj giran saaf na hojaye.

In Shaa Allah, Allah hamare liye asaaniyan paida karein. Aapko Salat ul Khusuf padhne ki niyyat karni chahiye kyunki yeh RasoolAllah صلى الله عليه وسل ki sunnat hain. Shafi’i mazhab المذهب الشافعي mein Salat ul Khusuf padhne ka tareeqa mukhtalif hain. Usme har do rakat ki namaz mein do ruku hote hain. Hamare mazhab mein, Hanafi mazhab meinالمذهب الحنفعي hum sirf ek ruku karte hain har rakat mein lekin hum lambe waqt ke liye khade rehte hain aur Quran se lambi Surah padte hain ya fir mutadid Surah Al Ikhlas padhte hain. Shafi’i mazhab mein woh ruku mein jaate hain aur uth kar padhte hain aur phir ruku mein jaate hain aur giran ke saaf hone tak lambi namaz padhte hain.

Yeh sunnah mu’akkadah hain سنة مؤكد ة Ek khatun pooch rahi hain ki namaz Khusuf kab hain? Suraj ya chaand giran ki namaz. Jab aap suraj ya chaand giran ko aasman mein dekhe toh aap namaz padhe. Aap niyyat karey aur padhey. Zyaada tar log isse jamaat mein padhte hain par aap isse infaaridi taur par bhi padh sakte hain. Agar aap ko maloom hain ki aap ki jagah giran hain toh aap namaz padh sakte hain In Shaa Allah.


Wa min Allahi at- tawfeeq
Fatiha