Rajab Ders 25

      Comments Off on Rajab Ders 25

بسم الله الرحمن الرحي م
Adab aur Fiqh Ders
22/02/2022, Ders25.
Fehrist:
★ ‘Aam-ul Huzn عام الحز ن
★ Lailatu Isra Wal Mi’raj ليلة الإسراء والمعرا ج
★ Rajab ke teen din jab Roza rakhna chahiye
★ 27th ki Raat: 2 rak’ats Isha ke bad
★ 27th ka Din: 4 rak’ats Dhuhr aur Asr ke darmiyan.
★ 30 rak’ats: Rajab ke Mahine ki Namaaz
★ Hazrat Umar ibn Al-Khattab
Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim. Tariqatuna as-sohba wal khayru fil jam’iyya.
Aaj, Hum Isra Wal Mi’raj, ليلة الإسراء والمعراج ki raat ke barey me baat karege. Rajab ke mahine ki ye dusri muqaddas raat hai.
Wo raat Nabi e Kareem صلى الله علي ه وسلم ke liye tohfa ki tarah thi. Ye Huzn ke saal ke bad hua, عام الحزن، udaasi ka saal, kyuki unke pyare chacha, Abu Talib, aur pyari biwi, Hazrat Khadija inteqal kar gaye the, shayad 40 din ek ke bad dusre. Isliye Nabi e Kareem صلى الله علي ه وسلم ye saal bahot udaas the aur Sub Haan Allah, Isra Wal Mi’raj aayi is waqt. Ye Rajab ki 27th ko thi.
Mahe Rajab ki tarif me bahot si ahadees sharif maujud hai aur khususan Isra Wal Mi’raj ke din aur raat. Rajab me rozey rakhne ki tarif bhi Nabi e Kareem صلى الله علي ه وس ne ki hai. Rajab me rakhe har din ke roze ka alag sawab hai. Agar aap poore Rajab ke roze na rakh sake toh kam az kam Teen rozey rakhe: Rajabka pehla din ya Rajab ki pehli Jummeraat (Thursday), aur Rajjab ke beech, 15th Rajab- kyunki ek Hadees se riwayat hai ke 15 Rajab Allah Azza Wa Jalla ka Mehboob tareen din hai. Aur Roza rehne teesra din hai 27th vi Rajab. Rajab me kam az kam ye teen din ke rozey rakhe.
Jo teen din roza nahi rakh sakte, ek din bhi uski tarif hai. Koshish karey ek din bhi roza rehne ki kyunki jo bhi Rajab ke ek din ka bhi roza rehta hai, uska sawab, uska ajar bahot zyada hai. Baaz Hadees me iska zikr hai – iska sawab 60 mahine ke rozey ke barabar hai. Ek aur Hadees me hai ki ye 100 saal ki ibadat ke mutraf(jaisa) hai aur Hazrat Ismail Alaihisalam ke aulad me se ek hazaar ya usse zyada gulam azaad karne ke barabar hai. Aur bahot sarey sawab Rajab ke rozo ke, khususan 27th ki raat aur din. Isliye, 27th ki raat ki ibadat karna kaafi kabil e tarif hai aur din ka roza rehna. Jo roza nahi reh sakte wo sadaqa de. Agar aapke pas koi wajah ho ya aap roza nahi rakh sakte, toh is din aap sadaqa de sakte ho roze ki bajaye. Iska bhi sawab hai.
Toh, Laylatul Mi’raj ki raat me Isha ke bad 2 ra’kaat hoti hai. Har ra’kaat me aap padhege: 1×Fatiha aur 20×Ikhlas. Aur jab aapki 2 ra’kaat mukammal ho jaye, aap Salawat sharifa, Durood Sharif 10× padhe –

اللهم صل ي على محمد و على آ ل محم د و سل م, Allahumma salli ala Muhammadin wa ala aali Mohammadin wa sallim.
Aur phir ye dua hai, Mai abh padhugi In Shaa Allah:
‘Allahumma inni as’aluka bi mashahadati asraaril muhibbeen wa bil khalwatil latti khasasta biha Sayyidul Mursaleen haythu asrayta bihi laylata as-sabi’ wal ‘ishreen an tarhama qalbi al-hazeen wa tujeeba da’wati Ya Akram Al-Akrameen. Wa salla Allahu ‘ala Sayyidina Muhammadin wa ‘ala ‘aali wa sahbihi ajma’een-

الله م انّي اسالُك بمشاهدة أ سرا ر المحبين وبلخلوة التي خصصت بها سيدى المرسلين حي ث أ سْرَيْتَ به ليلةَ
السابع والعشرين أ ن ترحم قلبي الحزين و تُجيب دعوتي يا أ كرم الاكرمين، وصلى الله على سيدنا محمدٍ و على اَ ل ه و صح ب ه أجمعين


Ye dua hai, iske bad aap jo chahe dua kar sakte hai kyunki dua karna apne aap me ibadat hai .
27th ko din ke me 4rak’at Zohar aur Asar ke darmiyan padhni hai. Har rak’at me aap padhe: 1x Fatiha, 1x Sura Al-Falaq [Quran 113], 1x Sura An-Nas [Quran 114], 3x Sura Al-Qadr [Quran 97] aur 11x Iklhas. Aur phir Asar ke waqt tak dua karey. Ye namaz ka waqt Asar ke waqt ke thoda qareeb hona chahiye aur ye 4 raka’at ki niyyat nafeel ki namaz Isra wal Mi’raj ki. Aur phir aap dua maange. Ye Sunnah hai Nabi e Kareem صل ى الله عليه وسلم se.Wo aisa karte the.
Aur apni 30 rak’at Rajab me padhna naa bhooley. Rajab ki 30 rak’at hai. Aap isey kabhi bhi padh sakte hai. Ab Rajab ka mahina takriban khatm ho gaya hai, hum ab aakhri dus din me hai. Aap isey 2 rak’at karke padhege, har rak’at me aap padhe: 1x Fatiha, 3x Ikhlas aur 3x Sura Kafiroon (Qul Ya Ayyuhal Kafiroon) [Quran 109]. Agar aapko Sura Kafiroon na aaye, toh aap padhe 11x Ikhlas har rak’at me. Aur aap niyyat karege Namaz e Rajab ki, nafil. Ye Nabi e Kareem صلى الله عليه وسل م, ki Sunnah hai. Nabi e Kareem صلى الله عليه وسلم ne iski bahot tarif ki hai. Har 10 rak’at ke bad iski khaas dua hoti hai lekin Mujhe lagta hai wo bahot lambi hai. Aap bas padhe: ‘La ilaha illa Allah wah-dahu la shareeka lahu lahul mulk wa lahul hamd yuh-yi wa yumeet wa huwa ‘ala kulli shay’in qadeer-
لا إ ل هَ إلا الله وحده لا شريكَ لَهُ لَ هُ الملك و لَهُ الحمد يُحيي و يُميت وه و على ك لّ شيءٍ قدير. Aap ye padhe har do rak’at ke bad, iska ek lamba version hai, lekin In Shaa Allah itna kaafi hai aap ke liye.
Aur bhi, Istighfar zyada karey, ye istighfar ka mahina hai (Astagfirullah, Astagfirullah, Astagfirullah…), 100 se 1000 tak. Agar aap zyada kar sakey, behtar hai, par 100 martaba se kum nahi In Shaa Allah.
Laylatul Mi’raj ki raat, Nabi صلى الله عليه وسل م Mecca se le gaye, wo apni jagah par soye hue the aur Jibril Alaihisalam aaye aur unhe zam zam ke pani se wuzu karwaya, aur Buraq pe jane le gaye safar karne Al-Quds Al-Sharif, Jersalem mein. Waha, Aap صل ى الله عليه وسلم ne 2 rak’at ada ki saarey Nabi ki arwah ke sath, 124,000 Nabi. Aap صلى الله عليه وسلم ne 2 rak’at saare Nabiyon ke Imam bankar ada ki waha jo aaj Masjid Al-Aqsa hai. [Ye jagah hai jaha wo padh rahe the].
Jab hum Jerusalem me the, toh kaha gaya the ke Hazrat Umar ibn Al-Khattab ne jab Jerusalem pe fateh ki toh wo jagah dekhne aaye jaha Nabi صلى الله عليه وسلم ne namaz ada ki thi. Unhe alag jagayein dikhayi gayi thi, fir unhe ilhaam hua ke wo pahad par hai jaha aaj Masjid Al-Aqsa aur Qubbas As-Sakhra[patthar ka gumbad] hai. Aur wo sahi hai. Phir unhone waha Masjid banyi aur jagah saaf ki taki wo badi masjid aur Haram Sharif bane Musalmano ke liye ibadat karne. In Shaa Allah, Allah hame dobara jana naseeb karey. Ye ek bahot accha dorah tha do saal pehle, Alhamdulillah iske liye.
Nabi صلى الله علي ه وسل م Mi’raj me apne jism aur rooh dono ke sath gaye. Un logon ka yakeen na karey jo kehte hai ki wo ek sapna tha ya sirf rooh ke sath, ya pata nahi kya. Allah Azza Wa Jalla Qadir hai, Muqtadir hai. Allah jaanta hai aur Allah jo chahta hai Karta hai. Hum sochte hai ye naa mumkin hai apne chote dimag se. Allah Azza Wa Jalla hamara khaliq hai, Wo jo chahe Kar sakta hai. Wo Kahega: ‘Kun fa yakoon- كن فيكن ‘ [Be, and it is]. Isliye jhootein daawo par yakin na karey.
Aur Mi’raj ke dauran, 50 namazo ke auqat ka huqum diya gaya tha. Aur phir Hazrat Musa Alaihisalam isey kum karne ka keh rahe the. Chunache hamare pas rozana 5 namazein hai Alhamdulillah. Lekin hamein sawab 50 martaba namaz ke barabar milta hai, kyuki ‘Al-hasanatu bi ‘asharati amthaliha’,
الحسناتو بعشرتي أمثالها ek neki ka ajar dus guna (dus bar) bada diya jata hai. Toh Isra wal Mi’raj ka din aur Muqaddas raat Mubarak. Isey mat chodiyein aur is raat aur din apni poori-poori koshish karein, In Shaa Allah.
Wa min Allahi at-tawfeeq
Fatiha
🕋