Hajj Ders 18

      Comments Off on Hajj Ders 18

Adab Aur Fiqh Ders 🕋

2021/09/14, Ders 18

Fehrist:

Ziyarat Nabi

★ Tawaf Al- Wada’ (Alwida’i – Tawaf)

Ziyarat Nabi mein jo duayein aap padhtey hai

★ Ziyarat S. Abu Bakr & S. Umar

★ Al Rawdhah

★ Rawdah mein khusoosi sutoon

★ Jannatu-l Baqi’

Masjid Quba

★ Ziyarat ke liye Madinah mein deegar muqaddas maqama’at

★ Maqama’at ki ziyarat ke Adab

Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim. Insha’Allah, iss haftay hum Ziyarat Nabi زﯾﺎرة اﻟﻧﺑﻲ ﷺ ke barey mein baat karenge. Jab hum Hajj mukammal kartey hai aur Madinah ya apney mulkon ki taraf bahar jaaney ka iradah kartey hai, toh

hamein Tawaf Al- Wada’  طواف الوداع Alwida’i Tawaf karna chahiye. Alwida’i Tawaf karna wajib hai. Rasool’Allah ﷺ ne hukm farmaya hai ke Makkah se nikalne ke pehlay yeh aakhri fariza hai jisey aapko karna chahiye. Kyunkay baaz-dafa Hajji log pehlay Madinah atay hai aur phir Makkah jatay hai Hajj karney ke liye, baaz-auqaat woh seedhay Makkah atay hai, aur Makkah mein jab woh apney Hajj ke farizay se farigh hotay hai, woh Madinah jatay hai.

Makkah se bahar nikalney ke pehle sabse aakhri fariza joh aapko karna hai woh hai Tawaf Al- Wada’ (Alwida’i Tawaf). Aap tawaf kartey hai – 7 martaba Ka’bah ke atraf dua ke sath. Iss ke baad aap ko ek khaas dua padhni hai ke Allah iss dafa aapke waha aaney ko aakhri martaba na banayein – yeh tama’am duayein kitaabon mein maujood hai. Aap dua bhi kartey hai – apne liye, apne ahl- o-ayal ke liye, jisne bhi aap se unkey liye dua karne ki guzaarish ki hai. Aur aap yeh bhi dua kartey hai ke yeh aapka waha aaney ka aakhri martaba na ho, aur aap dua mangtey hai Ka’bah aur Rasool’Allah ﷺ ki dobarah ziyarat karne ke liye.

Jab aap Tawaf Al- Wada’ kar letey hai, toh aap apni qayam ki jagah ko laut jayein, aap sirf apna samaan lekar Makkah se bahar nikal jayein. Aur kuch nahi. Koi kharidari nahi, koi ghumna-firna nahi, baithna nahi. Agar aap ne samaan nahi baandha tha, toh aap sirf samaan baandhley aur nikal jayein, aur kuch nahi. Jo tawaf aap kartey hai sirf wohi Makkah Al-Mukarramah mein aapka aakhri kaam hona chahiye. Tawaf Al- Wada’, Alwida’i Tawaf sirf Hajj ke hi waqt zaruri hota hai. Agar aap Umrah mein hai, toh Tawaf Al- Wada’ nahi hai. Umrah kartey waqt Tawaf Al- Wada’ karna mustahab nahi.

Ek Hadees Sharif hai, Rasool’Allah ﷺ farmatey hai: “Jisne bhi Meri masjid mein 40 martaba namaaz adaa ki, Meri shafa’ah, shafa’at/bakshish, unkey liye hai.” Isskey maeney hai 8 roz tak Madina mein. Aajkal Madina mein 8 roz ke liye rehna bahot mushkil hogaya hai, woh log aapko rehney nahi detay. Baharhaal agar aap Madina mein kuch dino ke liye qayam kartey hai, koshish karey ke apna waqt aap Haram Al Sharif mein guzarey. Koshish karey ke har namaaz aap jama’at ke sath Masjid mein padhey. Aur agar aapke paas waqt nahi hai tama’am 40 namaazey Masjid An-Nabawi ﻣﺳﺟد اﻟﻧﺑوي mein padhney ke liye, toh aap apni qada’ ﻗﺿﺎء (qaza) namaaz padh saktey hai, unn 40 namaazoh ko Masjid An-Nabawi mein mukammal karney ki niyyat se. Kyukay Masjid An-Nabawi, Rasool’Allah ﷺ ki Masjid, mein ibaadat ka sawaab, dus hazaar (10,000) namaazey mukhtalif jagah mein padhney ke barabar hai. Isiliye jab aap niyyat kartey hai, Insha’Allah uska ajr milta hai.

Madina, iss ki muqaddas deewarey dekhiye, hamey Rasool’Allah ﷺ ki ijaazat talab karni chahiye, apney qalb/dil mein, aur Allah Azza Wa Jalla ka shukar-guzar hona chahiye, ke Allah ne hamey Hajji martaba atah farmaya aur abhi Rasool’Allah ﷺ, Uss ke Mehboob, ki ziyarat ki ijaazat di, Uss ki jagah mein. Aur hum Rasool’Allah ﷺ ke sheher, Aap ﷺ ki jagah, mein aaney ki ijaazat bhi talab kartey hai. Toh hum mangtey hai ‘Ya Rasool’Allah ﷺ, Dastur (Madad), Ya Rasul’Allah ﷺ, Aap ﷺ ki ijaaat se hum Aap ﷺ ki jagah, Aap ﷺ ke sheher mein daakhil horahey hai’.

Aur jab hum sheher mein pahochtey hai, hum apni qayam ki jagah par jakey ghusl letey hai, aur achha libaas pehentey hai, itr/khushboo lagatey hai, aur hum Haram An-Nabawi, Rasool’Allah ﷺ ki Masjid, mein jaatey hai. Aur hum andar daakhil hotey hai, agar aapse ho sakey toh, daakhil hotey hai Baab As-Salaam اﻟﺳﻼم ﺑﺎب se guzar ke, Baab As-Salaam Madina mein bhi hai.

Aajzi ke sath, dheron salawat/durud sharif ke sath, hum daakhil hotay hai aur masjid ko salaam ke taur per 2 rak’at tahiyyatu-l Masjid اﻟﻣﺳﺟد ﺗﺣﯾہ ki namaaz adaa kartey hai. Aaj kal ziyarat karna thoda mushkil hota hai, mardon aur khawateen ke liye bhi. Khawateen ke liye, woh aap ko ziyarat karne dete hai lekin aap ko kuch nazar nahi aata. Rasool’Allah ﷺ ki ziyarat ka adab, yeh hai ke: aap 2 rak’at Salat Al-Shukr namaaz padhtey hai aur phir Rasool’Allah ﷺ ke rozay mubarak ke samnay jaakar Huzur ﷺ ki bargaah mein aapna salaam pesh kartey hai. Aur Hadees Sharif mein hai :

Man zaarani ba’da mamati, fa ka’annama zaarani fi hayati من زاراني بادا ماماتي، فا كاناما زاراني في حياتي- jis kisi ne bhi pardah karney ke baad Meri ziyarat ki, aisa hai jaisey ke zahir-i-zindagi mein Meri ayadat ki, aw kama qaala alayhi salatu wa salam او كاما قال عليه الصلاة والسلام.

Yeh wajib hai. Rasool’Allah ﷺ ki ziyarat karna mustahab aur wajib hai. Yeh farz/laazmi honay ki tarah hai. Humein Rasool’Allah ﷺ ke maqam par Aap ﷺ ki ziyarat karni hai. Aur jab aap daakhil horahey hotey hai Masjid An-Nabawi mein, aap padhtey hai:

Bismillah wa ‘ala millati Rasul Allah salla Allahu alayhi wa sallam – بسم الله وعلى ملتي رسول الله صلى الله عليه وسلم – Allah ke naam se, aur Rasool’Allah ﷺ ke ummat ki haisiyat se (hum daakhil hotey hai).

Aur aap yeh ayat padhtey hai: ‘Rabbi adkhilni mudkhala sidqin wa akhrijni mukhraja sidqin wa ij’al li min ladunka sultanan naseera’

رَّبِّ أَدۡخِلۡنِي مُدۡخَلَ صِدۡقٖ وَأَخۡرِجۡنِي مُخۡرَجَ صِدۡقٖ وَٱجۡعَل لِّي مِن لَّدُنكَ سُلۡطَٰنٗا نَّصِيرٗا”

Aur: ‘Allahumma salli ‘ala Muhammadin wa ‘ala ‘aali Muhammadin wa-ghfir li dhunubi waftah li abwaba Rahmatik

اللهم صل على محمد وعلى آل محمد وغفير لي ذنوبى وفتح لي أبواب رحمتك

Iskey maeney ke: ‘Allah Rasool’Allah ﷺ ke liye salawat/durud sharif banayein aur Ahl-Bayt ke liye aur mere gunaho ki maghfirat farmayein, aur apney rehmat ke darwazey mere jaanib khol dey.’

Aur phir jab aap Rasool’Allah ﷺ ke rozay mubarak ke saamney pahuchtey hai, aap padhtey hai:

Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim. As-salatu was salamu alayka Ya Rasul Allah. As-salamu alayka Ya Rasul Allah. As-salamu alayka Ya Nabi Allah. As-salamu alayka Ya Safi Allah. As-salamu alayka Ya Habib Allah. As-salamu alayka Ya Nabi ArRahma. As-salamu alayka Ya Shafi’ Al-Ummah. As-salamu alayka Ya Sayyid Al-Mursaleen.’

’ﺑﺳم ﷲ اﻟرﺣﻣن اﻟرﺣﯾم، اﻟﺻﻼة واﻟﺳﻼم ﻋﻠﯾك ﯾﺎ رﺳول ﷲ، اﻟﺳﻼم ﻋﻠﯾك ﯾﺎ رﺳول ﷲ، اﻟﺳﻼم ﻋﻠﯾك ﯾﺎ ﻧﺑﻲ ﷲ، اﻟﺳﻼم ﻋﻠﯾك ﯾﺎﺻﻔﻲ ﷲ، اﻟﺳﻼم ﻋﻠﯾك ﯾﺎﺣﺑﯾبﷲ، اﻟﺳﻼم ﻋﻠﯾك ﯾﺎ اﻟﻧﺑﻲ اﻟرﺣﻣﺔ، اﻟﺳﻼم ﻋﻠﯾك ﯾﺎ ﺷﻔﯾﻊ اﻷﻣﺔ، اﻟﺳﻼم ﻋﻠﯾك ﯾﺎ ﺳﯾد اﻟﻣرﺳﻠﯾن‘

Agar aap nahi kar saktey, toh sirf yeh padhey; ‘As-salamu alayka Ya Rasul Allah. As-salamu alayka Ya Habib Allah. As-salamu alayka Ya Nabi Allah’

السلام عليك يا رسول الله. السلام عليك يا حبيب الله. السلام عليك يا نبي الله .

Aur: ‘As-salamu alayka wa ‘ala ahli baytika at-tayibeen at-tahireen wa sahbika ajma’een’.

“السلام عليك وعلى أهل بيتك الطيبين الطاهرين وأصحابك جميعين”

Aur aap yeh dua padhtey hai:‘Ash-hadu annaka qad ballaghta risala wa addaytal amana wa nasahtal ummah, wa awdhahtal hujja wa jahadta fi sabilillah wa qaatalta ‘ala deenillah hatta atakal yaqin. Fa salla Allahu ‘ala ruhika wa jasadika wa qabrika salatan da’imatan illa yawm ad-din Ya RasulAllah.

أﺷﮭد أﻧك ﻗد ﺑﻠﻐت اﻟرﺳﺎﻟﺔ وأدﯾت اﻷﻣﺎﻧﺔ وﻧﺻﺣت اﻷﻣﺔ ، وأوﺿﺣت اﻟﺣﺟﺔ وﺟﺎھدت ﻓﻲ ﺳﺑﯾل ﷲ ﻗﺎﺗﻠت ﻋﻠﻰ دﯾن ﷲ ﺣﺗﻰ أﺗﺎك اﻟﯾﻘﯾن. ﻓﺻﻠﻰ ﷲ ﻋﻠﻰ روﺣك

وﺟﺳدك وﻗﺑرك ﺻﻼة داﺋﻣﺔ إﻟﻰ ﯾوم اﻟدﯾن ﯾﺎ رﺳول ﷲ.

Aur phir aap kehtey hai: ‘hum Aapke ﷺ mehman hai aur hum Aapke ﷺ roza sharif ki ziyarat kar rahey hai, hum Aapki ﷺ bargah mein hazir hai, hum dur-daraaz ki jagahon se aaye hai aur hum Aapki ﷺ shafa’at ke liye aur Aapse ﷺ hamari maghfirat mangney ke liye roh rahey hai.’ Aur agar aap kar saktey hai, aap yeh padh saktey hai: ‘Wa law annahum idh dhalamu anfusahum ja’uka fastaghfaru Allaha wastaghfara lahum arrasulu lawajadu Allaha Tawwaban Rahima’.

وَلَوۡ اَنَّهُمۡ اِذْ ظَّلَمُوۡۤا اَنۡفُسَهُمۡ جَآءُوۡكَ فَاسۡتَغۡفَرُوا اللّٰهَ وَاسۡتَغۡفَرَ لَـهُمُ الرَّسُوۡلُ لَوَجَدُوا اللّٰهَ تَوَّابًا رَّحِيۡمًا‏

Yeh hai Surah An-Nisa, (ayah-64). Rasool’Allah ﷺ ke paas yeh ayat aayi ke jo koi bhi Aapﷺ ke paas aayein aur Allah se maghfirat mangey, unkey kiye Istighfar (maafi) talab kijiye, aur woh malum karengey ke Allah Azza Wa Jalla bahut Rehem karney wala aur Maaf karney wala hai. Aur yeh Rasool’Allah ﷺ ke liye hai.

Aur phir aap maafi talab kartey hai aur salawat/durud sharif padhtey hai, aap apni duayein mangtey hai, khususi duayein apney aap ke liye. Aur yeh bhi, Rasool’Allah ﷺ ke liye jis kisi ne bhi salam bheja hai, aap unkey jaanib se salaam pesh kartey hai. Aap kehtey hai: ‘yeh ek, beta [falah-falah ka], aur merey padosi, merey dost, merey ahl-o-ayal…’, naam lekar agar aapko yaad hai. Agar aapko yaad nahi hai, aap kehtey hai: ‘Ya Rasool’Allah ﷺ, Aap behtar janne waley hai lekin yeh salaam unkey jaanib se hai. Yeh iltija hai unn sabke tamaam salaam qubool farmayein, Aap ﷺ se shafa’at ke liye, unki shafa’at ki darkhwast qubool farmayein.’ Aur aap dua mangtey hai jitna aap chahey.

Aur aap aadha meter bazu ki taraf hojatey hai aur Hazrat Abu Bakr As-Siddiq ko salaam pesh kartey hai : Aur kehtey hai: ‘Assalamu alayka Ya Abu Bakr As-Siddiq. As-salamu alayka Ya Khalifata Rasul Allah. As-salamu alayka Ya Sahib Rasul Allah fil ghaar. Jazak Allahu anna afdhala ma jaza imaman ‘an al-umma. Jazak Allah afdhal khayr –

السلام عليك يا أبا بكر الصديق. السلام عليك يا خليفة رسول الله. السلام عليكم يا صاحب رسول الله في الغار. جزاك الله أنا أفضل ما جازا الإيمان عن الأمة. جزاك الله افضل خير –

Yeh salaam hai Abu Bakr As-Siddiq ke liye.

Phir aap aur aadha meter bazu ki taraf hojatey hai, aur Hazrat Umar ibn Al-Khattab ko salaam pesh kartey hai. Aur phir aap kehtey hai: ‘As-salamu alayka Ya Umar ibn Al-Khattab. As-salamu alayka Ya Amir Al-Mu’mineen. Assalamu alayka wa Rahmat Allahi wa Barakatuhu Ya Sahib Rasul Allah.

السلام عليك يا عمر بن الخطاب. السلام عليك يا أمير المؤمنين. السلام عليكم ورحمة الله وبركاته يا صاحب رسول الله.

App teeno ko salaam pesh kartey hai, aur dua mangtey hai aur namaaz padhtey hai Rasool’Allah ﷺ ke mimbar ﻣﻧﺑر aur roza shareef ke darmiyaan mein.

Iss hissey ko Rawdatun min Riyadh Al-Janna روضة من رياض الجنة,Jannat ka ek baag kaha jata hai. Aap apney liye 2 rak’at namaaz padhtey hai, Allah ka shukr adaa kartey hai ke aapka waha jana aur jitni chahey duayein maangna mumkin hogaya, aap namaaz padh saktey hai aur dua maang saktey hai.

Aur yeh bhi, Masjid An-Nabawi ke kuch sutoono par likha hua hai, jisay aap dekh saktey hai, khawateen ke hisse ki taraf se bhi. Yeh woh jagah hai jaha Rasool’Allah ﷺ apni peeth mubarak khajoor ke tanay par tekk kar khutbah bayan farmatey. Aur jab Sahaba’o ne mimbar tameer kiya, Aap ﷺ khutbah deney waha chaley gaye. Phir yeh khajoor ke dharakht ka tanaa Rasool’Allah ﷺ ki yaad mein roney laga aur masjid mein maujood tamam logo ne isske ronay ki aawaz suni. Isliye, Rasool’Allah ﷺ uss ke paas gaye, usay sehlaya, aur farmaya ke gham na karo. Waha yeh ek jagah hai, jahan aap bhi ja saktey hai aur tabarruk bana saktey hai aur 2 rak-at namaaz padh saktey hai.

Aur dusra bhi ek hai jahan Rasool’Allah ﷺ apney dast-e mubarak rakhtein aur kabhi kabhi baatein kartey. Dusra sutoon hai jisey ‘Sutoon-e Abu Libaba ستون أبو لبابة kaha jata hai. Abu Libaba ne apney aap ko waha baandhey rakha jab tak ke yeh aayat nah aayi ke unhey maaf kar diya gaya hai. Ek sahaba mein se hai, yeh lambi kahani hai. Aap un jagahon par bhi namaaz padh saktey hain aur barkat haasil kar saktey hai.

Aur kuch na suney joh bhi waha kaha jata hai, (agar) woh kahey ke ‘yeh haraam hai, yeh haraam hai’, yeh durust nahi hai. Woh galat hai, hum durusth hai, Insha’Allah. Alhumdulillah. Aur jab tak waha hai, jitna zyada ho sakey Masjid mein rehney ko koshish karein. Namaaz’o ko unkey waqt par adaa karein aur ziyarat ke waqt ka intezar karein, aur ziyarat karein Rasool’Allah ﷺ aur Aapﷺ ke do dosto ki, Aapﷺ ke sahaba’o ki.

Aur khawateen ke liye, dhakka nah dey, kheecha-taani nah karein, behes nah karein. Yaad rakhey ke aap Rasool’Allah ﷺ ke bargaah mein pesh hai aur munasib sulook ikhtiyar karein, aur apna Adab qayam rakhein. Aapko Rasool’Allah ﷺ ki maujoodgi ki ehmiyat jan’na zaruri hai.

Aap ﷺ sab jagah hai. Joh bhi Madina gaye hai unhey yeh malum hai, agar aap masjid mein nah bhi ho, aap Rasool’Allah ﷺ ki maujoodgi ko mehsus kartey hai. Agar hum qaabil hai, hum Aapkoﷺ har taraf mehsus kartey hai lekin Subhan’Allah humari roohaniyat uss mayaar par nahi hai, humarey qalb/ dil’on mein bahut saari dunya baaqi hai.

Madina mein apna Adab qayam rakhey. Ziyarat ke waqt, khawateen dhakka detey hai, kheecha-taani aur ladaayi kartey hai Rasool’Allah ﷺ ke saamne. Yeh adab nahi! Humein apna adab qayam rakhna hai aur munasib tarikey se pesh aana hai, koi dhakka nahi, koi kheecha-taani nahi. Aap thoda intezaar kar saktey hai, aap 2 rak’at namaaz padh saktey hai, aap bazu ki taraf hokar baith saktey hai. Bhaagney ki zarurat nahi hai, woh aapko ek chota sa hissa detey hai Rawdah mein. Agar aap thoda sa intezaar karengey, toh woh khali mil jayega.

Barae-meherbaani, khawateen, adab qayam rakhein jab aap Rasool’Allah ﷺ ki ziyarat kartey hai. Yeh koi choti baat nahi hai. Yeh bahut bahut badi baat hai aur bahut ehmiyat rakhti hai. Humein waqt nikal kar Rasool’Allah ﷺ ki bargaah mein honay ki ehmiyat ko samjhna chahiye.

Jannatul Baqi’ ﺟﻧﺔ اﻟﺑﻘﯾﻊ ki ziyarat karney ka bhi mashwara diya jata hai, jaha bahot se sahabi’yo ko dafnaya gaya hai. Hazrat Uthman ibn Affan bhi yaha daf’n hai, aur Hazrat Hasan bhi, Rasool’Allah ﷺ ke nawaase hazrat. Ek jagah se riwayat hai Hazrat Fatima Rasool’Allah ﷺ ke bagal mein daf’n hai, unkey liye waha kamra hai, aur dusri jagah se yeh riwayat hai ke woh Jannatul Baqi’ mein hai. Rasool’Allah ﷺ ki kuch zawjaayein bhi waha daf’n hai. Isliye yeh mashwarah hai ke Jannatul Baqi’ ki ziyarat karein subah ki namaaz ke baad. Woh khawateen ko andar nahi jaaney detey. Aap bahar deewar ke nazdik jakar Yasin sharif, Tabaraka, padh saktey hai, aur sahaba’o ko salaam bhej saktey hai. Jannatul Baqi’ ki ziyarat karna bhi sunnat hai.

Ziyarat karna Shuhada’ e Uhud ﺷﮭداء أﺣد[Uhud ke shuhada], Jabal Uhud ﺟﺑل أﺣد [Uhud ka Pahad] aur shuhada’, Hazrat Hamza aur deegar shuhada uss jagah jaha woh shahid hogaye. Aur, isska bhi mashwarah hai, ziyarat karein Masjid Quba ki, Masjid Qiblatayn ki ziyarat karna, Khandaq ki ziyarat karna. Aur bhi bahut chotey chotey maqama’at hai, kuch log yeh jaantey hai, kuch log yeh nahi jaantey hai. Yeh sab zyada mashoor hai, agar aap ja saktey hai, waha ki ziyarat karein aur 2rak’at namaaz padhein.

Yeh bataya jata hai ke Rasool’Allah ﷺ Masjid Quba ki har Sanichar ko ziyarat kartein aur namaaz adaa kartein. Isliye yeh Sunnat hai ke waha Sanichar ke roz jayein aur kam-az-kam 2rak’atein namaaz ada karein. Iska sawab Umrah ke barabar hai. Yeh hai ziyarat ke baarey mein Rasool’Allah ﷺ ke maqam ki, Aapﷺ ke sahabi’yo ki, aur Aapﷺ ke sheher ki .

Aur maqama’at pe ziyarat ke silsiley mein, yeh mashwarah hai ke munasib tarikey se pesh aayein aur wahi sulook ikhtiyaar karein jo Rasool’Allah ﷺ ki ziyarat ke waqt karni hai. Humein waha adab ke sath, ba- wuzu, achey libas mein jaana hai; hum apna salaam pesh kartey hai, salawat /durud sharif padhtey hai aur ibadat kartey hai.

Jab kisi maqam ki ziyarat kartey, Mawlana Sheikh Nazim aur Mawlana Sheikh Mehmet Effendi, pehlay salaam pesh kartey aur phir apne aapke liye ek shahadat padhtey hai, phir ek shahadat apne ahal-o- ayal ke liye, aur jis kisi ne bhi unhey iss maqam par dua maangney ke liye kaha uske liye, aur phir teesri shahadat unn logo ke liye jinki zubaan ne abhi tak usay padha nahi hai. Aur hum kehte hai :‘Awda’na hadhihil kalimatayn ash-shahadatayn ’, hum apni shahadat detey hai, hum iss maqam par usay amanat /zaamin ke taur par rakhtey hai, iss maqam par taakay qayamat ke roz, aap gawah rahein ke hum ne yeh kaha hai. Aur phir aap jo chahey duayein maang saktey hai lekin adab ke sath, achhey sulooq ke sath InshaAllah. Jab aap maqam par jayein to sadqa dena afzal hai, kisi bhi zariyeh mein. Aur, Makkah aur Madina mein bhi, aapko sadqa dena hoga,  

Wa min Allahi at-tawfeeq. Fatiha