Hajj Ders 17

      Comments Off on Hajj Ders 17

Adab Aur Fiqh Ders 🕋

2021/09/01, Ders 17

Fehrist:

Muzdallifah اﻟﻣزدﻟِﻔﺔ

★ 70 kankar jama karna

★ al-Aqaba Jamrat ﺟﻣرة اﻟﻌﻘﺑﺔ

Mina mein Qurbani

Al-Ziyarah ya Al-Ifadhah Tawaf الزيارة يا طواف الإفاضة

At-Tashreeq Ayyam اﻟﺗﺷرﯾق أﯾﺎم

Muzdalifah el Waqfat – مزدلفة الوقفات

Aisha Masjid ﻋﺎﺋﺷﺔ ﻣﺳﺟد

Hum dobarah kankar-marney/ jamrat اﻟﺟﻣرات ke baare mein baat karenge, Hajj mein. Jab hum neeche aatey hain Arafah se, Arafah ka din khatam hone ke baad, shaam mein tamaam Hajji Muzadalifah ِدﻟﻔﺔ اﻟﻣز jana shuru hojatey hain. Aur Muzdalifah mein, jaisa hum ne kaha, hum waha 70 chotey kankar jama karte hain. Yeh kankar shaytan ko maarne ke liye hain aane wale 4 dino mein. 70 chotey kankar, hum jama karke apne thailey mein daal denge. Aur woh raat hum Muzadalifah mein guzartey hain subah ki namaz tak. Muzdaalifah mein raat guzarna Madhhab Al-Hanafi mein wajib hain aur Madhhab Al-Shafi’i mein sunnat hain. Aaj ke daur mein woh Hajjiiyo ki jamat ko Muzdalifah mein zyada waqt rukne nahi dete. Lekin zyati taur pe, bahot se hajji waha rukte hain. Toh agar aap rukh saktey hai toh aapko Muzdalifah mein subha ki namaz tak rukna hain. Aap waha subah ki namaz padhte hain aur phir wahan ek dusra chota Waqfa hain: aapko waha khade hokar Ka’bah ki taraf rukh kar ke dua maangni hain. Phir aap Mina ka safar jaari rakhte hain.

Pehle din, Mina mein, humey sirf 7 kankar lena hai Jamrat Al- Aqabah ﺟﻣرة اﻟﻌﻘﺑﮫke liye aur phir hum badey shaytan ko kankar maarney/sangsar karne jaatey hain – isay Jamrat al-Aqabah kehte hain. Toh har ek kankar jab hum lenge tab humey padhna hain- ‘Bismillah, Allahu Akbar khizyan lish-shaytan wa ‘aawanih

’ﺑﺳم ﷲ ﷲ اﻛﺑر ﺧزﯾﺎن ﻟﻠﺷﯾطﺎن وأﻋواﻧﮫ

Humein chillana/zor se bolna nahi hain. Wahan, humein hamesha adab mein rehna hain. Wahan aap bahot se logo ko dekhengey wo apne jootay/chappal phek rahe hotey hain gaaliyan/na-munasib alfaaz bol rahey hotey hain. Yeh munasib nahi hain.

Qaida yeh hai ke waha 7 kankar phekna hain, yeh padhtay huye ‘Bismillah, Allahu Akbar…’. Aapko sirf ek hi taraf se kankar phekna hain, jab tak ke woh shaytan ki deewar tak nahi pahuch jata. Kankar sirf ek hi taraf se phekna hota hain; lekin ab, pehle waqt mein bohat se haadse hone ki wajah se un logo ne wahan baizvi (baida-numa) daaira jaisey aur ek bahot badi jagah kankar maarne ke liye banayee hai. Toh, ab aap har taraf se phek saktey hain.

Jamrat al ‘Aqaba ka waqt Mina mein pehle din hain, subah ki namaz ke baad, Ishraq ke baad, seher ke baad. Hum 7 kankar maartey hain, aur phir agar aapki neeyat sirf Hajj ki hain toh aap aapke baal kaat kar ihram ke bahar aajaatey hain. Kankar maarney karne ke baad aap ihram ke bahar aajate hain, aap woh har cheez kar sakte hain jiski iss dauran manayee thi, siwaye miyan-biwi ke sohbat ke; yeh fil-waqt mana hain. Agar aapki neeyat Hajj Al-Tamattu’ ki hain’ ya Hajj Al-Qiran ki hain, toh aapko qurbani karni hain, ihram se bahar jaane se pehle. Aap har shaqsh ke liye ek qurbani kar sakte hain, ya toh ek bakra ya ek dumba. Ya aap ek badi qurbani mein hissa le sakte hain, 7 log qurbani kar sakte hain ek oonth ya gai ki.

Agar aapke paas paise nahi hain ya aapke paas waqt nahi hain, ya aapke liye qurabni karna mumkin nahi, toh usool yeh hain ke Hajj ke dauran 3din ka roza rakhna hain aur Hajj ke baad 7din ka roza rakhna hain. Yeh 3 din Arafah se pehle honey chahiye. Bahot waqt pehle, jab main Hajj mein thi Hajja Anne ke sath, humne yeh kiya tha. Humney wahan 3din roza rahey aur 7din jab hum ghar wapis/laut aayein. Agar aap jyada waqt ke liye qayam/rehne waley hain Hijaz mein Hajj ke baad, toh aap woh 7din roza waha bhi rakh saktey hain. Toh Hajj ke sarey arkan/sharait mukammal hone ke baad, aap woh 7 din ke roza rakh saktey hain. Ya toh phir, aap yeh apne mulk mein bhi kar sakte hain, yeh pasand kiya jayega agar aap aisa kartey hain. Aur yeh roza-y 7 din lagatar rakhne ki zarurat nahi. Lekin aapko yeh pura karna hain Hajj ki neeyat mein hi Qurbani ki neeyat mein nahi. Aur yeh hain Mina mein Qurbani ke liye.

Agar aapki neeyat qurbani karney ki hain, toh phir aap qurbani karengay, aur aap apne baal kaatengay aur aap ihram se bahar aajayengey. Phir aap woh sab kaam/cheeze kar sakte hain jo pehle aap ihram ki halat mein honay ki wajah se nahi kar sakey, siwaye miyan-biwi ki sohbat karney ke; jab tak aap Ka’bah nahi jaate aur tawaf nahi kar letey, Tawaf Al-Ifadhah ya Al-Hajj طواف اﻹﻓﺎﺿﺔ . Aapke Hajj ko mukammal karney ke liye aapko Ka’bah jana aur tawaf karna zaruri hain- 7 martaba Ka’bah ke atraaf Tawaf Al-Hajj ya Tawaf Al-Ifadhah ki neeyat se karna hain. Iss hi ke sath aapka Hajj mukammal hojaega.

Jab aap Hajj ki neeyat karte hain- sirf Hajj- ya jab aap Hajj Al-Qiran ki neeyat karte hain – isska matlab Hajj aur Umrah ek sath hain – aapko sa’i karna hain jab aap pehli baar Mecca aur Ka’bah pahuchtey hain. Agar aap sirf Hajj ki neeyat karte hain, jab aap pehli baar Mecca aatey hain toh aapko Tawaf Al-Qudoom aur sa’i karna hota hain. Phir jab Arafah ke baad ka din ho toh, yaani isska matlab Eid ka din, Eid ka pehla din, aap sirf tawaf kar sakte hain.

Hajj Al-Tamattu’ ke liye, aapko tawaf aur sa’i karna hain.

Hajj Al- Qiran ke liye – kyu ke aap ne sa’i shuru mein hi kar liya hain – toh aapko sirf tawaf karna hai phir aapka Hajj mukammal hojaega.

Hajj ya Ifadah اﻟﺣﺞ أو اﻹﻓﺎﺿﺔ طواف ka Tawaf mukammal kar lena chahiye Eid ke teesre din mein Asr ke waqt tak. Iss-say zayda waqt lena ya der karna Madhabh Al-Hanafi mein yeh makrooh hota hain, makrooh tahrimi. Toh aane wale teen dino mein kisi bhi waqt aap Mina se Ka’bah jaa kar tawaf kar sakte hain. Phir aap Mina wapis aakar Mina mei raat guzarte hain.

Eid ke dusre din, humarey liye Madhhab Al-Hanafi mein, yeh sunnat hai Mina mein rehna/qayam karna. Madhhab Ash-Shafi’i mein yeh wajib hain. Humarey liye, Muzdalifah mein rukna wajib hain, aur Shafi’i mazhab mein yeh sunnat hain. Yeh ulta hain. Humein Mina mein kam-az-kam ek raat rukna hain. Toh isliye agar aap tawaf kartey hai Eid ke pehle din ya agar aapke paas waqt nahi hain, toh aapko qurbani karni hain aur phir aaram kijiye, aap Mina mein aaram kar saktey hain, phir aapko Mecca jaana hain, Ka’bah ke liye, tawaf karna hain, aur waapis/laut jaana hai Mina ke liye aur waha raat mein rukna hai.

Eid ke dusre din – Ayyam At-Tashreeq أﯾﺎم اﻟﺗﺷرﯾق , jaise kaha jata hain – hum shaytan ko kankar maarte hain, iss dafa 3 shayateen ko, zohar ki namaz ke baad, zawal ke baad, yeh waqt hai kankar maarne ka. Kankar maarne kiye liye pehle hum shuruwat kartey hai chote shaytan se, phir darmiyaan wale ko, phir bade wale ko. Hum har ek ko 7 kankar maarengay yeh padhte hue:‘Bismillah, Allahu Akbar khizyan lish-shaytan wa ‘aawanih’- jiska matlab shaytan aur usske maanne walo par laanat ho. Jiska matlab 21 kankar: 7 kankar har ek shaytan ke liye.

Usske baad aap Ka’bah jaa sakte hain, Mecca mein, wahan rukne ke liye, ya phir aap wapis aakar Mina mein ruk sakte hain dobarah. Aapko dusri raat bhi Mina mein rukna hai. Eid ke teesre din, zohar ki namaz ke baad, humein kankar maarna hain. Peechle din ki tarha: chota wala pehle, humey 7 kankar maarna hain yeh padhkar: ‘Bismillah, Allahu Akbar khizyan lish-shaytan wa ‘aawanih’; phir aap dusre ko kankar maarenge, beech waley ko; aakhir mein, aap teesre wale ko maarengey, sabse bada wala shaytan. Yeh bhi 21 kankar hain. Toh 21+21 huye 42, aur +7 huye 49. Apke pass abhi aur 21 kankar baaki hai. Agar aap teesre din bhi Mina mein rukte hain, toh aapko Eid ke 4th din bhi dobarah se kankar maarne hain teeno ko: 7 kankar har ek ko, chote se shuruwat kar ke, phir darmiyaan wale ko, aur phir aakhir mein sab se bada wale ko.

Agar aap Eid ke teesre din ki raat nahi guzartey hain, toh aap Mina ke paas zameen par kankar rakh dijiye aur aap Mecca jaa sakte hai. Zayda tar log Eid ke teesre din kankar maarne ke baad Mecca laut/waapis chaley jaate hain. Kuch log rukte hain. Toh agar aap Eid ke teesre din rukte ho aur aap chauthe din Mina mein hain, toh aapko bachey huye kankar se jamrat/kankar maarna hain. Warna, aap bache hue kankar zameen pe rakh dey aur Mecca wapis jaa saktey hai. Phir Hajj ke sare arkan/sharait mukammal hogaye. Aap ihram se bahar aajaye, aap ne kankar maarna/sangsari mukammal ki, aap ne apna tawaf kar liya, aapka sa’i, aap ne baal kaat liye, aap ne qurbani mukammal ki….

Aap ihram se bahar kaise aate hain?

Mard apne sar ke saarey baal puri tarah nikal kar ya kam-az-kam ek chauthai (¼) baal kaat kar. Khawateen ke liye, baal ki ek latt kaatna hai, phir wo ihram ke bahar hai. Yeh Mina mein ho sakta hai. Lekin aapko ihram se puri tarha bahar aane ke liye, apna tawaf aur sa’i mukammal karna hai, Hajj ke sare arkan/sharait. Phir aap ihram se mukammal bahar hain. Jab aap apne baal Mina mein kaat-te hain, tab aap sirf jazwi/adha taur pe ihram se bahar hote hain. Mard apne bina-silay huye kapdo se bahar aa sakte hai aur khawateen apna libas tabdeel kar sakte hai, baal banana ya baal ko kaat sakte hai, woh naha sakte hai, wo khushboo ya deodrant laga sakte hai.

Toh, yeh Hajj ke arkan/sharait hai. Yeh iss waqt mein mukammal hota hai. Usske baad, agar aap Mecca mein ruk rahe hain, aap jaa kar Umrah kar sakte hain. Waha ek jagah hai jisey Masjid Aisha ﻣﺳﺟد ﻋﺎﺋﺷﮫ, kehte hai, yeh Mecca ka sab se qareeb tareen Miqat ﻣﯾﻧﻘﺎت hai jahan aap Mecca se bahar jaa sakte hai ihram mein hote hue, aur wapis aakar Umrah kar sakte hain. Aap jab Hajj mein hain tab aapko kam az kam ek Umrah karna laazmi hai. Ek Umrah zaruri hai. Aap jitna chahey utney Umrah kar sakte hain. Jab tak aap Mecca mein hain roz ek tawaf karna sunnat hai, Ka’bah aate hue. Ka’bah ke atraf mein tawaf karna ibadat hai.

Jab aap Mecca mein hain, Haram Al-Makki Al-Sharif mein ibadat karne jayein, jitna aapse ho sakta hain karein. Haram mein har ibadat – uskey maeinay hai Ka’bah ke atraf – yeh ek lakh (100000) dafa ibadat ke barabar hai Haram mein. Faida lijiye Ka’bah ke atraaf hone ka, tawaf karna ka, Umrah karna ka, waha ibadat karne ka. Aapko waha apna waqt guzarne ka faida lena chahiye. Ho sakta hai aap dobarah waha na ja sake. Yeh aapki zindagi mein sirf ek baar hota hai, toh issey jitna jyada faida ley saktey hai aapko lena chahiye. Isse thakan hogi, lekin yeh achi thakan hain, Alhamdulillah.

Wa min Allahi at-tawfeeq Fatiha

🕋