Adab Aur Fiqh Ders 🕋
2021/08/17, Ders 16
Fehrist:
★ Al-Hurum Al-Ashur اﻟﺣرم اﻷﺷﮭر
★ Umrah اﻟﻌﻣرة
★ Hajj ki duayein
★ Shawt اﻟﺷوط
★ Sa’i اﻟﺳﻌﻲ
★ Arafat Waqfat ﻋرﻓﺎت وﻗﻔﺔ
★ Muzdalifah – اﻟﻣزدﻟِﻔﺔ
★ Muzdalifah el Waqfat – مزدلفة الوقفات
★ al-Aqaba- Jamrat Rami العقبة- جمرة رامي
★ Tawaf al Qudoom
★ Tawaf al Ifadhah
★ Mina -ﻣﻧﻰِ
★ Jamrat
★ Hajj ke dauran khawateen ko haiz aana
★ Bina wazu ke tawaf karne ki ijaazat nahi
★ Haram Sharif mein dakhil hona aur haiz ya janabah ki halat mein tawaf karne ka jurmana
Hum Hajj ke baare mein baat karenge. Al-Ashur A-Hurum اﻷﺷﮭر اﻟﺣرم yeh teen mahine hain, ek ke baad ek aur ek alehda, Rajab ka mahina. Yeh teen Muqaddas mahine hain: Dhul Qi’dah, Dhul Hijjah, aur Muharram. Inhe Ashur Al-Hajj yaani Hajj ke mahine bhi kaha jaata hain. Pichlay zamane mein log, Ramzan khatm hone ke baad, Hajj ki tayyariyan shuru kar dete the. Allah Azza Wa Jalla ne Ashur Al-Hurum ka zikr Quran Al-Kareem mein bhi kiya hain. Inn mahino mein jung/jihad karna mana hain, hamla hone pe aap khud ki hifazat kar sakte hain.
Zindagi mein ek baar Hajj ka farz ada karna lazmi hain. Hajj ke liye Baytullah, yaani Ka’bah Sharif jaya jata hain. Kyun ki Ka’bah ek hain isliye farz bhi ek hain. Aur kyu ki Ramzan har saal aata hain isliye roze rakhne ka farz bhi har saal hota hain. Aur yunhi Namaz ke liye bhi hain, jis tarah azaan har roz hoti hai waise hi Namaz adaa karne ka farz bhi roz hota hai.
Hajj ke liye Quran Al-Kareem mein huqm hain ki,‘li man astata’a ilayhi sabila لي من أستاتا إليه سبيلا; [woh jo pahuch saktay hai aur Hajj par jaa saktay hain]. RasulAllah ﷺ farmatay hain ‘Inna Allaha amarakum bil Hajj, fa hijju إن الله أمركم بالحاج فا الحجو
Sahaba ne Nabi e Paak ﷺ se sawal kiya, “Har saal ya Rasool’Allah”. Aap ﷺ ne farmaya,”Nahi zindagi mein sirf ek martaba.”
(aw kama qaala alayhi salatu wa salam او كاما قال عليه الصلاة والسلام /ya jaise Aap ﷺ ne farmaya)- ki ‘Allah ne tumhe Hajj ka huqm diya hain, toh Hajj ko jao’. Aur yeh tum jitna jaldi karte ho utna tumhare liye behtar hai. Agar tumhare liye Hajj karna mumkin hain aur tum isse taal rahe ho toh yeh munasib nahi, aur yeh ek gunah bhi hain. Insha Allah agle saal darwaze khulenge aur jis kisi ne Hajj nahi kiya hain woh Insha Allah ja saktay hai, pur sukoon hokar aur sehat tandroosti ke sath aur khushi se.
Umrah– اﻟﻌﻣرة sunnat muakkadah hain. Jo shaqs Umrah karne jata hain, uss pe Hajj karna fauran farz hojata hain. Yehi qaida hai agar aap Hajj se pehle Umrah karne jatay hain. Kuch log kehte hain ke agar hum do Umrah karte hai toh isska sawab Hajj ke sawab barabar hota hain. Haan, sawab Hajj ka milta hai lekin isse uss shaqs pe se Hajj ki zimmedari nahi hatti. Aap 100 Umrah kar sakte ho lekin yeh Hajj ke barabar nahi hota. Toh, agar aap Umrah karte hain, isska matlab aap Hajj bhi kar sakte hain, isliye aapka Hajj karna zaroori ho jata hain. Aur agar aap Hajj kar rahe hain aur Umrah nahi karte – toh jab aapka Hajj mukammal hojaye uss ke baad aapko ek Umrah karna zaroori hai taake woh dono ek dusre se jude hue ho.
Umrah pure saal kabhi bhi kiya jaa sakta hain, siwaye Arafah ka din aur Eid ke 4 din. Inn 5 din pe Umrah karne ko makruh e tahrimi mana jata hain, jiska matlab taqreeban haram hota hain. Lekin koi bhi dusray dino ya raato ko, aur pure saal mein kabhi bhi Umrah kiya jaa sakta hain. Umrah karna bohat aasaan hain. Kam az kam ek baar Umrah karna sunnat muakkadah hain. Lekin aap jitna chahein utna kar sakte hain, yeh mamnuh nahi, yeh sawab hain. Aap dusre logo ke naam ka bhi Umrah kar saktay hain.
Umrah kaise karein? Aapko Ihram baandhna hai aur miqat mein jana hai, who jagah jahan se ihram ki neeyat shuru karni hoti hai. Aap ghusl karkey, 2 rak’at namaz padhlay ihram ki aur neeyat karein: “Ya Rabbi, mai neeyat karti hu Umrah ke liye”. Aur aap apna naam aur apni walida ka naam lekar, Umrah ki neeyat karlein. Aur phir aapko dua padhna hain – yeh dua miqat mei har jagah likhi hui mil jaegi. Hajj aur Umrah ke har kadam pe ek dua hai aur yeh sari duaein kitaab mein mil jaegi jo woh wahan baat-te hain. Agar aap wahan kisi ko nahi jaante ya aapko padhna nahi aata, toh Nabi e Paak ﷺ ne yeh padhne kae liye farmaya,
Subhanallah wa alhamdulilah wa la ilaha illa Allah wa Allahu Akbar, wa la hawla wa la quwwata illa billahil Aliyyil ‘Adheem
”.ﺳﺑﺣﺎن ﷲ واﻟﺣﻣد وﻻ إﻟﮫ إﻻ ﷲ و ﷲ اﻛﺑر و ﻻ ﺣول وﻻ ﻗوه إﻻ ﺑﺎ اﻟﻌﻠﻲ اﻟﻌظﯾم –
Aur jab aap Ka’bah ki taraf badhne lagey toh yeh padhna hai –
“Labbaik Allahumma labbaik. Labbaik la sharika laka labbaik. Inna al hamda wa ni’mata laka wal mulk la sharika lak.
لَبَّيْكَ ٱللَّٰهُمَّ لَبَّيْكَ، لَبَّيْكَ لَا شَرِيكَ لَكَ لَبَّيْكَ، إِنَّ ٱلْحَمْدَ وَٱلنِّعْمَةَ لَكَ وَٱلْمُلْكَ لَا شَرِيكَ لَكَ”.
Jab tak aap Haram ke darwaze tak nahi pohch jate aur Ka’bah na dekh lete . Aur jo log Ka’bah ko pehli martaba dekh rahe ho, unpe sunnat hai ke woh Haram Sharif jayein, Al-Masjid Al- Makki اﻟﺣرم اﻟﻣﻛﻲ, Ka’bah ki taraf, Baab As-Salaam ﺑﺎب اﻟﺳﻼم se hote hue. Lekin aaj ke duar mei waha hazar darwaze hain, aap ko pata nahi chal paega ke un mei se konsa hain, toh aapko neeyat karna hain jis bhi darwaze se aap jaa rahe hain ke who Baab As-Salaam hai, Salaam ka darwaza, Salaam/aman dene ki neeyat se.
Aur jab aap Ka’bah ko pehli martaba dekho toh, gunaho ki maafi ki dua mango, duniya wa akhirat mei hifazat ki dua mango, duniya wa akhirat mein imaan ki dua mango, aur jo bhi aap chahte ho who dua maango, Ka’bah ki taraf. Phir Umrah ke liye, Hajar Al- Aswad se shuruwat karo, aur padho ‘Bismillah, Allahu Akbar’. Agar aap Hajar Al-Aswad tak pahuch sakte hain, aaj ki bheed mein yeh mumkin nahi – lekin usoolan, Hajar Al-Aswad ko choo kar shuru karna hain. Apna baaya bazu Ka’bah ki taraf, aur daaya baazu bahar ki taraf ghadi ki simt mukhalif chakkar lagae, 7 martaba. Har ek chakkar hota hain shawt -اﻟﺷوط/Ka’bah ke atraf ek pura chakkar, aur har chakkar ki ek khusus dua hain.
Aur jab aap Rukn Al-Yamani اﻟرﻛن اﻟﯾﻣﺎﻧﻲ (Yemeni gosha), waha salam karna hota hai kyun ke Nabi e Paak ﷺ ne iss rukn (goshe) ko salaam diya, Hajar Al-Aswad se pehla kona. Aapko salaam ke baad padhna hai ‘Bismillah, Allahu Akbar’, aur Rukn Al- Yamani aur Hajar Al- Aswad ke darmeeyan mein yeh padhtay hain:
“Rabbana ‘atina fid dunya hasanatan wa fil akhirati hasanatan waqina ‘adhab an-naar
”.رﺑﻧﺎ آﺗﻧﺎ ﻓﻲ اﻟدﻧﯾﺎ ﺣﺳﻧﺔ وﻓﻲ اﻻﺧرة ﺣﺳﻧﺔ وﻗﯾﻧﺎ ﻋذاب اﻟﻧﺎر
7 shawt mukammal karne hote hain, har shawt mei alag dua hoti hain. Aur jab mukammal hojaye toh padhna hain “Bismillah, Allahu Akbar”, aur yeh padh kar Maqam Ibrahim ya uss ke nazdeeq kisi jagah pe jaa kar kisi bhi waqt do rak’at sunnatu-l tawaf padhna hain. Ka’bah mein kisi bhi waqt namaz adaa karna mamnu nahi hota.
Shawt Ka’bah ka atraf ka ek chakkar lagana hota hai, Kaala Patthar – Hajar Al- Aswad se lekar Hajar Al- Aswad tak wapis aane ko kehte hain – yeh ek shawt hota hain. Toh 7 martaba, humay Hajar Al- Aswad se shuru kar ke Hajar Al- Aswad pe mukammal karna hain.
Yeh mukammal hone ke baad, hum sa’i – اﻟﺳﻌﻲ karenge, yeh Umrah ke liye hain. Sa’i ke liye, hum Safa Pahad se shuruwat kartay hain aur hum neeyat kartay hai Umrah ke sa’i ki – phir hum Ka’bah ki taraf hojatey hai aur dua kartay hain, hum padhtay hain ‘Bismillah, Allahu Akbar’, aur phir pahad se neeche utarna shuru kartay hai – jo log gaye hai woh yeh jantay hain. Wahan ek jagah hain jaha sabz/hari rang ki roshni hain, mardon ko iss hisse mein bhaagna hain aur khawateen ko jaldi jaldi chalna hain, bhaagna nahi hain tez chalna hain. SubhanAllah, iss jagah ki yeh hiqmat hain ke Hazrat Hajar (Hazrat Ismail ki walida mohtaram), jab unhay paani ke talaash thi, tab yeh hissa bahot neeche tha, aur woh apne bachhe ko nahi dekh paa rahay thay. Isiliye woh jab iss jagah mein pohchay, tab woh iss hisse mein daod rahey thay.
Hazrat Hajar iss hisse mei daod rahay thay, isiliye Allah Azza Wa Jalla ne tamaam Hajj aur Umrah karne walo ko huqm diya ki woh Hazrat Hajar ki Sunnat par amal karein aur iss hisse mein daod lagaye. Mard Hazrat ko bhaagna hota hai aur khawateen ko tez chalna hai. Aur unhe yahan yeh padhna chahiye,
“Rabbi ighfir wa arham wa tajawaz amma ta’lam fa innaka ta’lam ma la na’lam wa Antal A’az Al-Akram-
.”رﺑﻲ إﻏﻔر وارﺣم وﺗﺟﺎوز ﻋﻣﺎ ﺗﻌﻠم ﻓﺈﻧك ﺗﻌﻠم ﻣﺎ ﻻ ﺗﻌﻠم وأﻧت اﻷﻋز اﻷﻛرم
Aur jab aap Marwah kay pahad par pahocho, toh waha kuch der khade hoke Ka’bah pe salaam bhejo yeh padh kar ‘Bismillah, Allahu Akbar’ aur wapis aajao. Aur jab aapki dua mukammal hojaye to phir yeh padho – “Subhanallah wa alhamdulilah wa la ilaha illa Allah wa Allahu Akbar, wa la hawla wa la quwwata illa billahil ‘Aliyyil Adheem سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إلا بيلا هيل علييل عظيم”.
Aur jab aap Marwah ke pahad pe pahocho toh wo sa’i ka ek shawt/chakkar hota hain. Iss tarha Safa ke pahad se lekar Marwah ke pahad tak ek shawt hota hain; aur phir wapsi mein Marwah pahad se lekar Safa ke pahad tak dusra shawt hota hain; aur aisehi jab tak sa’i ke 7 shawt mukammal hojayein. Jab aap 7 martaba mukammal karlein, aapko yaha dua maangni hain, aur do rak’at Sa’i ki sunnah namaz padhni hai, Sunnat-as Sa’i. Phir aapka Umrah mukammal hojata hain, aur phir aap baal kaat-tey hain aur ihram se bahar aatay hain.
Mard hazrat ke liye, unhay sar ke pure baal nikalney hain ya kam-az-kam ek chauthai (¼) baal ka hissa. Agar koi ganja hain, toh ustara sar pe phira le, sunnat ke taur par, ke unhone apne baal kaat liye hain. Khawateen ke liye, unhein sirf ek latt ungli pe leke usay kaatna hain. Unhein sirf chota sa tukda kaatna hain baal ka. Phir Umrah mukammal hua, yehi Umrah hain. Taqabbal Allah.
Ab hum Hajj par aatey hai. Miqat mein, aap Ihram baandhengay aur neeyat karengay Hajj ke liye. Hajj ki teen qism hoti hain aur neeyat karte waqt aapko yeh zikr karna hai ke aap konsa Hajj karney ja rahey hain.
Pehle hum baat karengay sirf Hajj ki neeyat ke barey mein. Jab aap Ka’bah mein aatey hain, pehle aap salaam
bhejtey hai aur neeyat kartay hain Tawaf Al-Qudoom طواف اﻟﻘدوم
ki, Tawaf-e- Aamad (pahuchney par tawaf).
Aapko 7 shawt/tawaf ka chakkar lagana hai, aur phir aapko do rak’at namaz padhni hai, aur phir aap ko sa’i karna hai, sa’i ke 7 shawt, aur phir aap ibadat bhi kartay hain lekin aap ihram se bahar nahi aatay. Aapko Eid ke din tak ihram mein rehna hain. Mawlana Sheikh Mehmat jab kuch arse pehle Hajj par gaye the, unhone yeh kiye tha. Woh waha Pehli Dhul Hijjah ko pohchey, Hajj ki neeyat ke sath, toh woh 10 din tak ihram mein rahey. Roz wo ek ihram pehentay aur dusre ko dhoya kartay. Ihram ki halat mein, aap naha kar saaf ihram pehen sakte hai lekin koi bhi khushbu wale deodorants, saboon ya kapde dhonay ka powder ayesi koi bhi cheez istemaal karna mana hain.
Jab hum ihram ki neeyat karte hain, jab tak hum Ka’bah nahi pahoch jaaye, tab tak humein yeh kehtay rehna hai: ‘Labbaik Allahumma labbaik. Labbaik la sharika laka labbaik. Inna al hamda wa ni’mata laka wal mulk la sharika lak’
لَبَّيْكَ ٱللَّٰهُمَّ لَبَّيْكَ، لَبَّيْكَ لَا شَرِيكَ لَكَ لَبَّيْكَ، إِنَّ ٱلْحَمْدَ وَٱلنِّعْمَةَ لَكَ وَٱلْمُلْكَ لَا شَرِيكَ لَكَ
Yeh aapko padhtay rehna hai jab jab aapko yaad aae aur jab tak aap Ka’bah na pahoch jayein. Jab aap Ka’bah pahoch jaye toh ruk kar Ka’bah ko salam karna hain.
Jab aap sirf Hajj ki neeyat karte hai, toh aap jitni martaba chahay utna tawwaf karte sakte hain. Lekin aap Umrah nahi kar sakte jab tak aap Hajj pura nahi kar lete, aur Hajj ke ihram se bahar nahi aajate. Aur uske baad aap Umrah kar saktey hai lekin ek naye ihram ke sath aur Umrah ki neeyat se.
Tarwiyah– 8th Dhul Hijjah ke din Mina jana sunnat hain. Lekin agar aap Mina nahi jaa sakte toh aap Makka mein reh sakte hain. Zaydatar aajkal woh Hajji logo ko Tarwiyah ke din seedha Arafah le jaate hain raat guzarne ke liye. Arafah mein, hum padhna jaari rakhtay hai ‘Labbaik Allahumma labbaik’ aur hum takbeer detay hain. (Allahu Akbar Allahu Akbar la ilaha illa Allah, Hu Allahu Akbar, Allahu Akbar wa lillahi al-hamd).
9th Dhul Hijjah Arafat mein guzaarni chahiye. Aapko wahan pura din guzaarna hain. Aapke Hajj ko Hajj mana jaaney ke liye, aapko 9th Dhul Hijjah ko Arafat mein rehna hain phir yeh ek ya do minute ke liye hi kyu na ho. Jaise Nabi e Paak ﷺ farmatay hai, “AL Hajj Arafat”. Isiliye aapke Hajj ko Hajj mana janey ke liye aapka 9th Dhul Hijjah ko Arafat ke pahad par maujood hona lazim hain. Toh waqt aur jagah Hajj ke satoon mein se hain. Aur yeh waqt Waqfat Arafat ya Waquf Arafat 9th Dhul Hijjah ke zawal/dopahar 12baje se lekar 10th Dhul Hijjah ki pehli roshni tak hisab kiya jata hain.
Arafat mein Zohar ke waqt, hum Zohar aur Asr ek hi azaan aur do iqamat se padhte hain, imam ke sath. Hum qasr bhi padhtey hain, jaise Salat Al- Musafir. Woh Zohar ki azaan dete hain, phir zohar ke liye iqama hota hain aur phir hum 2 rak’at padhte hain imam ke sath. Humarey yeh mukammal karney ke baad, woh dusri iqaamat dete hai Salatul Asr ki, Asr ki namaz ke liye. Phir hum 2 rak’at padhte hain imam ke sath, Asr ki farz namaz Zohar ke waqt mein.
Usske baad, Waqfa hota hain, Waqfat Arafat – ﻋرﻓﺎت وﻗﻔﺔ woh khade ho kar dua maangtey hain. Zyadatar Hajji Jabal Ar- Rahman pe jaakar wahan dua karte hain. Agar nahi, toh aap Arafat ke pahad pe jaha bhi ho, aap waha khade hokar dua kar sakte hai, yeh baithne se behtar hain. Yeh din dua ke liye hain, maghfirat maange ke liye.
Maghrib ke baad, ghuroob e aftab, saarey Hajji Muzdalifah jana shuru karte hain. Muzdalifah Waqfah ke liye dusri jagah hain, Waqfat el Muzdalifah – اﻟﻣزدﻟﻔﺔ وﻗﻔﺔ jahan hum khade hote hain. Muzdalifah mein rukna wajib hain Maddhab Al- Hanafi mein aur yeh bhi, Muzdalifah mein Waqfa karna. Deegar madhhab ke liye aap Muzdalifah mein kuch waqt ruk saktey hai aur kisi bhi waqt mein Waqfa karke Mina ke liye safar jaari rakh sakte hain-Muzdalifah mein qayam karney ki koi zarurat nahi. Lekin Mina mein qayam karna, Madhhab Al- Hanafi mein, yeh sunnat hain lekin Madhhab Ash- Shafi’i, mein yeh wajib hain, toh aapko wahan rukna hain.
Muzdalifah mein, hum 70 kankar jama karte hain shaytan ko kankar maar ne ke liye, Rami Jamrat al- Aqaba
–اﻟﻌﻘﺑﺔ ﺟﻣرة رﻣﻲ ke liye. Yeh naam shaitan ke patthar ko kankar maarne ka hain. Toh Muzdalifah pohchne ke baad, hum Maghrib ki namaz Isha ke sath padhege Isha ke waqt mein – ek azaan aur ek iqama se. Pehle hum Maghrib padhenge imam ke sath, phir hum uth kar Isha padhenge – do rak’at Salat-ul Musafir/ qasr bhi imam ke sath. Ek iqama ke sath, pehli namaz se pehle. Aur yeh Muzdalifah ki jagah hain. Aap waha thoda aaram karte hain, aur agar mumkin hai toh waha fajr tak ruk jaye, aur waha subah ki namaz padhey. Aur jab hum Muzdalifah mein hain (behtar hain fajr ki namaz ke baad, agar aap kar sakey toh), humein Ka’bah ki taraf khade hokar Waqfa karna hai aur humein dua karni hai.
Arafat ke din, Rasool’Allah ﷺ khutbah/sohbah (taqreer) irshaad farmaate hai Khutbatul Wada –ﺧطﺑﺔ اﻟوداع (Alwida Khutbah)- aur Ummat ke liye dua pesh ki. Phir jawab mein aaya: ‘Aap ﷺ ki ummat ko baksh diya gaya hain, siwayein unke jinhone dusro ka haq liye hain / Haqqul’ Abd, [wo log jinpe dusron ka haq nikalta hain]’. Phir Nabi e Paak ﷺ thoday gumgeen hogaye. Aur phir jab Aap ﷺ Muzdalifah pahuche, waha Waqfah ke baad, Nabi e Paak ﷺ ko Hazrat Jibril ke zariye ek mubarak basharat pesh huye ke tamaam ummat ko baksh diya gaya hain, Alhamdulillah. Hum sab bahot hi khush kismat hain ke hum Ummat Muhammad ﷺ mein se hain.
Usske baad, aap Mina– ﻣﻧﻰِ ki taraf chalte hain. Mina mein hum shaytan ko kankar maarte hain, Jamrat/اﻟﺟﻣرات. Woh 3 hain. Pehle din mein, subah ki namaz ke baad, tulu-e-aftab ke baad, hum Jamrat al Aqabah karte hain, teeno Jamrat mein se sabse bada. Hum 7 kankar maarte hain bade shaytan ki jagah. Jab tak hum uss jagah pe nahi pahuch jaate, tab tak hum padhte hain ‘Labbaik Allahumma Labbaik; lekin jab hum waha pahuch jaate hain toh humein padhna hain: ‘Bismillah, Allahu Akbar’. Humein ‘Labbaik ’ padhna bandh kar dena hain.
Wahan, hum pehli martaba shaytan ko kankar maarte hain: Jamrat al-Aqaba, 7 kankar se aur har baar jab hum ek ek karkey phekte hain, humey kehna hai : ‘Bismillah, Allahu Akbar khizyan lish-shaytan wa ‘aawanih –
بسم الله الله أكبر خزيان ليش الشيطان وعواناه Aapko 7 kankar har baar yeh padh kar phekna hain ho sake toh. Aapko usay gusse se ya zor lagake(jar-hana taur pe) nahi phekna hain, yeh Makruh hain; yeh acha nahi hota. Kankar ko sirf itni taqat se phekna hai ke woh satoon tak pahuch jaye, 7 martaba. (Baqi ki Jamrat agli dafa samjhaya jayega Insha Allah).
Aur phir aap neechay jaatey hai Mina ki taraf qurbani ke liye, agar aapko qurbani karna hain, aap qurbani karte hain. Agar aapko qurbani nahi karna hain, aap aapke baal kaat-te hai aur phir aap ihram se bahar aa jaatey hain. Humne pichli baar qurbani ke baare mein baat ki hai toh humein uss ke baare mein malum hain.
Agar aapko qurbani nahi karna hain, aap sirf baal kaat sakte hain aur phir aap ihram se bahar aa jayein. Phir aap aam taur pe reh sakte hain, aam taur par libas pehen saktey hain aap khushbu/ attar laga saktey hain, aap baal dho sakte hain, nakhun kaat sakte hain, aur dusra kuch bhi kar saktey hai siwaye apney sharik-e-hayat ke sath sohbat ikhteyaar karne ke ilawa. Isski abhi filhal ijazat nahi hain. Aur phir aane wale 3 dino mein (Eid Al-Adha ka pehla, dusra, aur teesra din) aapko Tawaf Al- Ifadhah, Tawaf Az-Ziyarah karna hain. Isska matlab Hajj ka tawaf, agar aap yeh nahi karte hain toh aapka Hajj mukammal nahi hoga. Toh aapko Tawaf Al- Hajj karna hain.
Aur agar aap Hajj Al-Qiran ki ya sirf Hajj ki neeyat se aaye hain – toh aapko sa’i karne ki zarurat nahi kyu ke aap sa’i kar chuke hain jab aap pehli dafa aaye thay tab, Tawaf Al- Qudoom ke baad, aamad ka tawaf. Toh yeh doo neeyaton ke liye sa’i ki zarurat nahi hain. Lekin Hajj Al- Tamattu’ ke liye aapko lazmi ek tawaf aur ek sa’i karna hoga Hajj ka tawaf aur Hajj ka Sa’i ki neeyat se. Phir aap ek mukammal Haji ho gaye, Mabrook.
Dusri baat, Hajj Al-Tamattu ﺗﻣﺗﻊ ﺣﺞ ke liye, miqat pe hum neeyat kartey hai sirf Umrah ke liye. Jab hum apna Umrah mukammal karte hain, toh hum ihram se bahar aa jaate hain. Agar aapke paas ihram nahi hain, tab bhi aapko tawaf (7 shawt) Ka’bah ke atraaf karna hai kam-az-kam 24 ghanto mein ek baar ya jitni baar aap chahte hain aap kar saktey hain. Yeh ibadat hain, aur jab aap wahan hotey hain, toh isska sawab namaz padhne se bhi zyada hain.
Hajj Al-Tamattu’ ke liye, Hajj ke liye naya ihram bandhne se pehle aap jitni baar chahey Umrah kar sakte hain. Arafah se ek din pehle, roz-e-Tarwiyah اﻟﺗروﯾﺔ ﯾوم – aapko Hajj ke ihram ki neeyat karna hain. Yeh din, aap nahate hain, aap khud ko saaf karte hain, aap aapke nakhoon kaat-te hain, aap apne baal kaat-te hain, aap apni achhi cheeze karte hai, aur phir aap apna ihram pehentey hain aur Hajj ki neeyat karte hain.
Aur phir aap Arafah janey ke liye Mecca se nikaltey hain, Tawaf Al- Qudoom ki zarurat nahi. Phir hum wohi Hajj ki saari cheezay karna jaari rakhtay hain jiska humne upar zikr kiya.
Hajj Al- Qiran اﻟﻘران ﺣﺞ ke liye, aapke neeyat karney ke baad Hajj aur Umrah ki ihraam ki: ‘Mai beti ya beta hu fulah-fulah shaqs se ek khatoon neeyat karte hue Hajj aur Umrah ki ek sath’- aapko neeyat iss tarha se karni hain. Aur phir aap Ka’bah mein aate hain aur raste mein aatey huye aap padhte hain ‘Labbaik Allahumma labbaik’. Pehle aap Umrah karengey aur jab aapka Umrah mukammal hojaega, tab aap apney baal nahi kaatengey kyuke yeh Hajj Al- Qiran hain, aapko apna ihram pehne rakhna hai jab tak aapka Hajj mukammal nahi hojata. Baad mein, aapko aapka Hajj jaari rakhna hain. Phir aapko tawaf karna hain – Tawaf Al- Qudoom, yeh Hajj mein aamad ka tawaf hain, aur phir aap Hajj ke liye sa’i kartay hain. Phir Eid ke din, aapko dobarah sa’i nahi karna hain. Tab uss waqt, aapko sa’i karne ki zarurat nahi, aapko sirf Tawaf karna hain aur aapka Hajj mukammal hojaega. Lekin Hajj Al-Tamattu’ ke liye aapko sa’i karna hain, aapko pata hain, aapko tawaf karna hain aur sa’i karna hain jab aap Arafat se Ka’bah mein laut/waapis aatey hain. Phir hum wohi Hajj ke baaki taur tarikey jaari rakhengey jaisa humne upar zikr kiya hain.
Bahot saari cheezey hai Hajj ke baarein mein bataney ke kiye, lekin mujhe lagta hain abhi ke liye yeh kaafi hain.
Woh Khawateen jinhe Hajj ke dauraan haiz aajae, yeh maalum hona zaruri hain. Jab khawateen ko haiz aata hain, toh who Hajj mein sab kuch kar sakti hain, siwaye tawaf ke, Ka’bah ke atraaf mein aur woh masjid mein bhi dakhil nahi ho sakti. Lekin wo gusul lekar Hajj ke liye ihram ki neeyat kar sakti hain. Wo Hajj ke tariqe/arkaan adaa kar sakti hain – yeh khaas kar ke Hajj ke liye hain.
Hazrat Aisha haiz ki halat mein thi jab Nabi e Paak ﷺ Hajj pe jaa rahe the. Unho ne farmaya: “Mai kya karu?”
Aap ﷺ ne farmaya: “Aap gusul lekar Hajj ke liye ihram ki neeyat karein. Aur phir aap sab kuch karein; aap Arafah pe jaayein, aap wahan khade hokar dua karein; aap Muzdalifah jaayein, aap apne kankar le le, aap shaytan ko kankar maarein. Lekin tawaf nahi karna hain jab tak aap paak nah hojayein. Toh jab aap paak ho jaayein, tab aap Hajj ke liye apna tawaf aur sa’i kar lijiye.”
Yeh ijazat sirf un khawateen ke liye hain jinhe Hajj ke dauran haiz aajae. Zyadatar khawateen aajkal dawa khaa leti hain. Aam taur pe, yeh nahi hona chahiye. Lekin aaj kal, saare Hajj ke safar ekdum tang waqt pe hote hain, aur aap diye gaye tareeqay (program) ke ilawa kuch nahi kar sakte, isliye khawateen ke pass yeh bahana hain dawai khaa kar iss dauran haiz ko rokne ka, kyu ke unke pass aur koi raasta nahi hain. Toh isliye yeh theek hain, agar aapko pata hain, ke aapka yeh waqt hain, Hajj pe jaane ka.
Lekin aapko ijazat nahi hain agar aapka wudhu nahi hain toh – mard aur khawateen – Ka’bah ke atraaf tawaf karne ke liye. Aur agar aap janabah ki halat mein hai, ya aapko haiz ya nifs jaari hain – toh Ka’bah ke atraaf tawaf karne ki ijazat nahi hain. Jurmane/Kaffarey ki taur pe ek bhed ki qurabani karni hoti hain. Kabhi kabar Tawaf Al-Hajj ke liye bhi, ek gai ya oonth, ki qurbani karni hoti hain, yeh isska jurmana/kaffara hain. Toh agar aap ka wazu nahi hain, ya aap haiz ki halat mein hain, ya aap nifas (abhi bachha paida hua ho) ki halat mein hain, aap sab arkan/tariqay kar sakte ho siwae tawaf ke aur Haram ki masjid mein dakhil hone ke. Aap bina wazu ke dakhil ho sakte hain, lekin janabah ya haiz ki halat mein nahi, jurmane/kaffare ki taur par aapko ek oonth ki qurbani karni hogi. Iska jurmana sab se badey jurmano mein se hain, kyu ke yeh manaa ki gayee cheez/amal ko karna hai ihram ki halat mei aur Haram mein!
Astaghfirullah!
Wa min Allahi at-tawfeeq Fatiha
🕋