Adab Ders 32

      Comments Off on Adab Ders 32

Adab Aur Fiqh Ders

2022/09/14, Ders 32 – Islami Alfaaz

Fehrist:

BismillAhi-r Rahman-ir Raheem –

A’udhu billAhi mina-sh shaytan-ir rajeem

Bura Khwab dekhna

Insha’Allah, Alhamdulillah

ash Shukru lillah

Masha’Allah

SubhanAllah

La hawla wa la quwatta illa billah

Inna lillahi wa inna ilayhi raji’oon-

A’udhu billahi min ash-shaytaan ar-rajeem. Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim. Tariqatuna as-sohba wal

khayru fil jam’iyya. Bismillahi

Ar-Rahman Ar-Rahim. Madad Ya Sayyidi, Ya Rasul Allah, Ya Sheikh Nazim Adil Al-Rabbani…

Aaj Humein kuch Islamic alfaaz ke barey mein baat karni hai jinhe Musalman bhool rahein hai. Aaj kal jaded tariko se baat karna aur Islami arabi alfaaz ko chodhna ek fashion hai. Islam saarey mulkon ke liye hai, naa ki sirf Arabs ke liye. Musalmano mein bahot si aqwam duniya apni zaban ko jaded bana rahi hai aur Islami arabi alfaaz ki jagah le rahi hai. Toh hum is barein mein baat karna chaheinge. Aur humein aur aapko yaad dilane ke liye ke hum apni zabano ko Islami alfaaz ka aadi rakhein. Har cheez jo hum karey, hum uski shuru’at Bismilla hIr Rahman Nir Raheem se karey. Khaana, peena, sona, likhna, padhna ya kuch bhi hum karey, humein koshish karna hai ki humari zaban par Bismilla Ir Rahman Nir Raheem Jaari rahey. Ye hadees e mubaraka hai ki sab kuch jo Bismilla hIr Rahman Nir Raheem Se shuru nahi hota wo poora nahi hoga ya uska phal ya natija nahi milega. Dusri cheez, jab hum Quran e pak ki tilawat karey ya hum kisi cheez ke barey mein baat karey, humein Audhu billahi minash shaitan nir rajeem Bismillah hir Rahman nir Raheem kehna chahiye. Mai Allah ki panah leti hu shaytan mardood se.

Jab aap koi bura khwab dekho, uska zikr mat karo; aap apni dayi taraf mu phere aur Audhubillahi minash shaitan nir rajeem padhey aur aap thookein. Agar iski tashree na ki jaye toh aisa nahi hota. Aur iske alawa khwab ke liye aap jo bhi dekhe aapke pas roohaniyat ka haamil koi shaks hona chahiye jo iski tashreeh karne ka mijaz ho. Ye ek alag mauzu hai; hum iske barey mein baad mein baat karege. Lehaza, humein apni zaban ko in alfaaz ka aadi rakhna hoga In Shaa Allah.

Aaj kal kehtey hai mujhe umeed hai, kaash aisa ho jaye. Aisa mat kaho ki mai kal ye kar raha hoon, jab tak Allah wo chahey, phir wo hota hai. In Shaa Allah ek bahot accha alfaaz hai, aur Alhamdulillah bhi ek bahot accha alfaaz hai. Humein Alhamdulillah kehna chahiye, Uska Shukr ada karna chahiye. Ye acche ke liye aur burey ke liye, aapke sath jo bhi ho, aapko Alhamdulillah kehna chahiye, ye jo bhi burayi ho usey rokta hai kyunki aap Allah Azza wa Jalla ki tareef kar rahe ho aur Alhamdulillah keh rahe ho.

Aur ash Shukru lillah, humein Allah ka shukr ada karna chahiye har cheez ke liye jo usne humein ata ki. Iske alawa, humein apni zaban ko iska aadi bhi karna hai.

Aap Ma Shaa Allah kahey jab bhi aap kuch accha dekhey. RasoolAllah ﷺ ne nazar ka zikr farmaya. Lehaza acchi aur buri tawanaee hoti hai. Aur jab hum koi achchi cheez dekhte hai toh humein Maa Shaa Allah kehna chahiye, phir ye aankh ki buri tawanaee ko todti hai. Makkah ke mushriko ne ek aadmi ko RasoolAllah صلاله عليه وسلم ke pas laaya, jo jab wo ek pahad dekhta uski aankho ki buri tawanaee ki wajah se wo pahad gir jaata. Wo log ne is shaks ko RasoolAllah صلاله عليه وسلم ko apni buri aaankhon se dekhne laaya tha. Sayyiduna Gibril Alaihisalam ne apney parr pardey ki taur par RasoolAllah صلاله عليه وسلم par daala Aap sallalahu alaihi wa sallam ki hifazat farmaney, aur is shaks ko baad me andha kar diya gaya taaki Allah azwajal iski buri nazar ko door karey. Ye hua!

Bahot se log kehte hai “ye bahot khoobsurat hai” lekin aapko Maa Sha Allah kehna hai.

Jis cheez ka aap tasavvur bhi nahi kar saktey, uske liye jo gair mamuli hai, “Sub Haan Allah” kahey. Ye Allah azwajal ki tareef hai, ye aala tareen zikro me se ek hai.

Mushkila’at ke liye hum “La hawla wa la quwatta illa billah” kehte hai. Hum bhool jatey hai aur bahot se mazaki khair hamare khubsoorat alfaz ki jagah le rahe hai. Aapko har mushkil ke liye La hawla wa la quwatta illa billah kehna chahiye. Aur jab koi marta hai toh aap kahein “Inna lillahi wa inna ilayhi

raji’oon”. Ye humein yaad dilane ki hum Allah ki taraf se hai aur Allah hi ki taraf lautne wale hai.

Aur aakhri baat ye hai ki RasoolAllah صلاله عليه وسلم par salawat padhey, din mein kum se kum 100 martaba RasoolAllah صلاله عليه وسلم ki tareef karey. Quran mein hukm hai ki hum musalsal apne nabi par durood padhey aur humarey Naqshbandi wird mein hum 10 durood padhna hai lekin Nabi e kareem صلاله عليه وسلم par durood badhaye aur isey humarein dilo mein parwaan chadaye. Humein Shafa’at ki umeed hai (RasoolAllah ﷺ ki shafa’at Qayamat ke din). Ye aakhri daur hai aur hum pahadi se neeche jaa rahe hai, lehaza hum bas choti choti cheezo ko talash karne ki koshish karey taaki hum raah-e-raast par rahey taaki hum Qayamat mein RasoolAllah ﷺ ke sath ho.

Wa min Allahi at-taufiq Al Fatiha