Adab Aur Fiqh Ders
2021/03/16, Ders 6 Fehrist:
- Salat Fard -الفرض صالة Farz namaz kaise padhey
- Sunnah aur Nafl – النوافل و السنة صالة Sunnat aur Nafeel namaz kaise padhey
- Jama’ah, Jamat e Namaz صالة الجماعة
- Witr wajib – وترواجب kaise padhey
- Ad’iyah jo hum namaz mein padhte hai.
Namaz, salah- الصالة teen qism ke hai. Pehli hai farz, jo hum par farz hai, jo humein karni hai, dusri hai sunnat, aur teesri hai Nafeel. Sunnat mein hai Sunnat e muakkadah aur sunnat e ghair muakkadah.
Farz Namazein hain: 2 rakat fazar ke waqt, 4 rakat Zohar ke waqt, 4 rakat Asar ke waqt, 3 rakat Maghrib ke waqt, aur 4 rakat Isha ki aur 3 rakat witr wajib Isha ke baad ki.
Aur Sunnat namazein hai: 2 rakat fazar ki farz namaz se pehle, 4 rakat Zohar ki farz namaz se pehle aur 2 ya 4 rakat Zohar ki farz namaz ke bad, 4 rakat Asar ki farz namaz se pehle, 2 rakat Maghrib ki farz namaz se pehle aur 2 rakat Maghrib ki farz namaz ke bad, aur 4 rakat Isha ki farz namaz se pehle aur 2 ya 4 rakat Isha ki farz namaz ke bad.
Asar se pehle ki 4 rakat sunnat, Maghrib se pehle 2 rakat sunnat aur Isha se pehle ki 4 rakat sunnat, sunnat e ghair muakkadah hai. Agar aap se ye chooth jaye (kyunki aapko Imam ke peeche namaz mein shamil hona hai, misaal ki taur par), aap iski qaza nahi padhege.
Hum namaz ka aaghaz niyyat keh kar karege phir hum hath uthaenge aur “Allahu Akbar”/Takbir al- Ihram kahenge aur pehli rakat mein hum padhenge: “Subhanaka Allahumma, wa bihamdika wa
tabaraka asmuka wa ta’ala jadduka wa la ilaha ghairuka”, سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالَى جَدُّكَ وَلاَ إِلَهَ غَيْرُكَ
Ye dua Thana دعا الثناء hai, dua jisse hum namaz shuru karte hai. Ye dua hum har namaz ki
pehli rakat mein padhte hai, shuru mein jab hum “Allahu Akbar” kehte hai, phir hum ye 0adhte hai, iftatahi dua. Phir hum kehte hai: “Audhu billahi min ash-shaytaan ir-rajeem. Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim، أعوذ بالله من الشيطان الرجيم aur hum Fatiha padhte hai aur ek surah padhte hai. Pehli rakat mein hum sirf Audhu billahi min ash-shaytaan ir-rajeem. Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim” padhte hai, baaki rakaton mein hum sirf “Bismillahi Ar-Rahman Ar-Rahim” se shuru karte hai. Toh, hum pehli rakat dua Thana الثنا دعاءse shuru karege(Subhanaka Allahumma…), phir Fatiha aur ek surah (misaal ki taur par, surah Ikhlas, ya surah Falaq, ya surah Nas…wagera), phir hum “Allahu Akbar” kahenge aur ruku mein jaenge jaha hum “Subhana Rabbi Al-Azeem سبحان ربي العظيم teen bar kahenge. Phir aap seedhe khade ho jaye phir se aur kahenge “Sami’a Allahu li-man hamida, Rabbana laka-l-hamd
” سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ”
Phir hum sajda mein jaenge- pichli bar humne sajdah bataya tha. Sajdeh mein hum “Subhana Rabbi Al-A’la سبحان ربيلئلا teen bar kahenge, hum uthege “Allahu Akbar-الله هو أكبر” kehte hue aur apne ghutno pe baithege aur phir ek aur bar hum sajdeh mein jaenge “Subhana Rabbi Al-A’la سبحان ربيلئلا teen bar padhenge phir se, phir uthege “Allahu Akbar الله هو أكبر “kehte. Aise hum ek rakat ko padhenge.
Jab hum Namaz padhte hai, hamari harkatein narm aur sahi honi chahiye, bahot zyada tez ya kacchi nahi. RasoolAllah صلاله عليه وسلم ne farmaya: “Ek murgi ki tarah mat karo, khaati hui!” Ruku karo aur phir jab aap utho, aapko apni peet seedhi karni chahiye 1-2 seconds ke liye. Aap dekh sakte hai kuch log ruku me jaane ke bad wo theek se khade nahi hote aur neeche sajdeh mein jhaldi se chale jate hai. Ye sahi nahi hai! Aapko apni namaz ko khubsurati se karna hai aur qubul hone ke qabil karna hai,
isiliye aapko dheere aur narmi se harkaton ki adaegi karni hai. Jab aap ka ruku karna khatm ho, apni peet seedhi karesajdehuske baad sajdeh mein jaaye. Jab aap pehle sajdeh se uthe, aap baithe. 1-2 seconds hi sahi, aapko baithna hai, aur apni peet seedhi karni hai. Aapko pehle sajdeh se sar utha kar fauran dusre sajdeh ke liye sar nahi jhukana hai, ye sahi nahi hai. Jab aap pehle sajdeh se uthe, aap ‘Allahu Akbar’ kehte hai aur phir aap dusre sajdeh mein wapas ‘Allahu Akbar’ kehte jaege. Aapki saari harkatein narm honi xhahiye aur aur zyada tez nahi aur koshish karey Sahi karnasi aur position banane.
Jab hum dusri rakat mein baith te hai, hum tashahhud padhte hai: “Attahiyyatu Lillahi wa-salawatu wa’t-tayyibatu, as-salamu ‘alayka ayyuha’n-Nabiyyu wa rahmat Allahi wa barakatuhu. As-salamu ‘alayna wa ‘alaa ‘ibad-Illahi is-saliheen. Ashhadu alla ilaha illAllah wa ashhadu anna Muhammadan ‘abduhu wa rasuluhu
التَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ، السَّلاَمُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ، السَّلاَمُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ، أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ
Hum ye har baithne ki halat me padhte hai, do sajdoh ke baad.
Farz namaz mein, jab wo 3 ya 4 rakat ki namaz hoti hai, jab hum dusri rakat mein baith te hai, hum “Ashhadu alla ilaha illallah wa ashhadu anna Muhammadan ‘abduhu wa rasuluhu” tak padhte hai. Phir hum khade hokar Fatiha padhte hai phir se teesri rakat mein, aur chouthi rakat mein bhi. Aur aakhri baithak mein(teesri ya chouthi rakat mein), “Ashhadu alla ilaha illallah wa ashhadu anna Muhammadan ‘abduhu wa rasuluhu” ke bad, hum ye padhege: “ Allahumma ṣalli ʿala Muḥammadin wa ʿala ‘aali Muḥammad wa sallim, kama ṣallayta ʿala Ibrahima wa ʿala ‘aali Ibrahima, wa barik ʿala Muḥammadin wa ʿala ‘aali Muḥammadin, kama barakta ʿala Ibrahima wa ʿala ‘aali Ibrahim fil ʿalamin innaka Hamidun Majeed,
اللهمّ صلّي على محمدين وعلى آل محمد وسليم، كما صليت على إبراهيم وعلى آل إبراهيم، وبريك على محمدين وعلى آل محمد، كما بركت على إبراهيم وعلى آل إبراهيم في العالمين إِنَّكَ حميد مجيد,
Kuch log ye padhte hai: “Allahumma ṣalli ʿala sayyidina Muhammadin wa ʿala ‘aali sayyidina Muhammad”, ye bhi theek hai. Jab aap “innaka Ḥamidun Majeed” khatm karey, aap ye bhi padh sakte hai (ye zaruri nahi hai) “Rabbi ighfir li wa li waalidayya wa lil mu’mineena yawma yaqoom al hisaab.
رَبَّنَا اغْفِرْ لِي وَلِوَالِدَيَّ وَلِلْمُؤْمِنِينَ يَوْمَ يَقُومُ الْحِسَابُ
Rabbana ‘aina fid dunya hasanatan wa fil aakhirai hasanatan waqina ‘adhab an-nar-
رَبَّنَا آتِنَا فِىْ الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِىْ الآخِرَةِ حَسَنَةً وَّقِنَا عَذَابَ النَّارِ
Phir aap “Assaalamu alaykum wa rahmat Allah- أس سالم عليكم و رحمة الله Sar ko pehle seedhi janib ghumate hue] kahenge, aur “Assaalamu alaykum wa rahmat Allah- أس سالم عليكم و رحمة الله [sar ko baayi taraf ghumate hue] padhenge. Aise padhte hai, aap mein se zyada tar ye jaantey hain In Shaa Allah.
Farz namaz mein, jaise subah ki namaz mein, pehli rakat mein aap 1 Fatiha aur ek surah padhte hai, aur dusri rakat mein bhi aap 1 Fatiha aur ek surah padhte hai. Zohar ki farz ke liye, pehli rakat mein aap 1 Fatiha aur ek surah padhte hai, dusri rakat mein 1 Fatiha aur ek surah padhte hai, reesri aur chouthi rakat mein aap sirf Fatiha padhenge. Asar aur Isha ki farz Zohar ki farz ki tarah hi hai. Aur Maghrib ke liye bhi aap 1 Fatiha aur ek surah padhenge pehli do rakat mein, aur teesri rakat mein aap sirf Fatiha padhenge. Ye farz ke liye hai, ye hamesha aisi hogi. Agarche aap isey waqt pe ada karey ya qaza padhey, ye hamesha aisi hi hongi.
Sunnat e muakkadah aur ghair muakkadah ke liye, aur har rakat mein sab nafeel ke liye, aap 1 Fatiha aur ek surah padhenge. Saarey nafeel aur sunnat jo aap padhte hain, aap ko 1 Fatiha aur ek surah padhna hai- chaahe aap 2 rakat padhey ya 4 rakat. Iske alawa witr wajib/ وتر -واجب Isha ke baad ki aakhri namaz- har rakat mein aap 1 Fatiha aur ek surah padhenge: 3 rakat ki har rakat mein. Kyunki kuch lig sochte hai ki wo isey farz ki tarah padh sakte hai. Nahi, sunnat aur nafeel ke liye, aap har ralat mein Fatiha aur surah padhey. Ye sunnat ke liye hai.
Aur Zohar ki farz se pehle ki sunnat ke liye, jab aap tashahhud ke liye baithey, aap “Ashhadu alla
ilaha illallah wa ashhadu anna Muhammadan ‘abduhu wa rasuluhu” tak padhey, bina “Allahumma
salli… Allahumma barik” padhey. Phir aap uthey aur 1 Fatiha aur ek surah se jaari rakhey. Ye sirf zohar ki pehli sunnat ke liye hai, aap isey aise karenge. Iske alawa, agar aap Jummah namaz ke liye jaa rahey ho, Jummah namaz ki sunnat ke liye- ye 4 rakat farz se pehle hoti hai aur 4 rakat jummah ki farz ke baad- aap isey aise padhenge (jaise aap zohar ke farz se pehle ki sunnat ko padhte hai).
Baaki sab sunnat ke liye jaha aap 4 rakat padhte hain: aap pehli aur dusri rakat mein 1 Fatiha aur 1 surah padhenge, aur jab aap tashahhud ke liye baithe aap At-Tahiyyatu padhey aur “Allahumma salli…Allahumma barik” “innaka Hamidun Majeed” tak padhey. Phir aap uthkar dua Thana دعاء الثنا (Subhanaka Allahumma…) padhey, phir Fatiha aur ek Surah , reesri rakat ke liye; aur Fatiha aur surah chouthi rakat ke liye. Aise aap 4 rakat Sunnat aur Nafeel namaz padhenge.
Namaz mein Adab ye hai ki jab aap khade ho, aap apne sajdah e ki jagah dekho. Aur ruku ke dauraan, apni paero pe dekho aur jab aap ruku se utho, dobaara apne sajdah e ki jagah dekho. Aur jab aap sajdah mein ho, aapki aankhein khuli rakhni chahiye. Aapko sajdeh ki jagah dekhna chahiye. Aur jab aap baithey, aapko apne hathon ko dekhna chahiye. Isliye umuman, namaz padhte waqt, koshish karey apni nazrein sajdah ki jagah neeche ho aur ird gird na dekhein. Ye namaz ke adab mein se hai.
Iske alawa, adab mein se hai ki aap apni jamai’i ko dabaye, apna munh band karey aur jamai’i naa laein. Aur agar aap khaas rahe hai- cheenkh nahi, kyunki aap cheenkh ko nahi rok saktey- agar aapke liye aasaan ho khudko khaasi ya jama’i se rokna, toh khamosh rakhein, zyada oonchi awaz se na karey. Iske alawa, jab aap khadey ho, apni paero ko ek dusre se 1 metre ki doori par rakh kar khade naa ho, dono paero ke darmiyan ka faasla sirf 4 ungliyo jitna ho. Apne paeron ko zyada door rakhna sunnat nahi hai, ye makruh/na-pasand hai- aapke paer acchi surat e haal mein hone chahiye jo durust nazar aayein.
Jab aap namaz ke liye khade hote hai, jab aap apne hath seene par rakhte hai, daaya haath upar rakhey baaya hath pe isey dhaanp ne.
Hanafi madhhab mein, hum apne hath sirf tekbir ke sath uthate hai (jab Allahu Akbar kehte hai) in sab darj zeel mauqo par: har namaz ki shuruwat mein, Tekbir al Ihram تكبي اإلحرام ke liye. Dusra, jab hum witr wajib padhte hai, Dua e Qunoot دعاء القنوت se pehle, hum apne hath uthate hai aur “Allahu Akbar” kehte hai ek martaba aur phir Dua e Qunoot دعاء القنوت padhte haiaur phir ruku mein jaate hai. Teesra, Eid ki namaz ke liye humapne hath uthate hai Tekbir ke sath. Choutha, Jab hum kabah ko salaami dete hai, hum apne hath uthate hai; wahi cheez, jab hum Hajar Al-Aswad ko salaami detey ha; Iske alawa, jab hum Safa aur Marwa pe hotey hai kabah ko salaami dene; aakhir mein, Arafah mein waqfah ke liye aur Muzdalifah mein bhi. Ye mauqey hai jab hum salaami detey hai ya apne hath utha kar Tekbir kartey hai. Alag madhhab mein, unhe har “Allahu Akbar” ke sath karna hota hai jab wo khade rehte hai. Hanafi madhhab mein, hum apne hath sirf pehli rakat mein uthate hai jab hum “Allahu Akbar” kehte hai- isey takbir al-ihram kehte hai.
Jamat ki namazon ke liye, Imam banne ke liye, darj zeel sharayat ka poora karna zaruri hai: pehla, musalmaan hona; dusra, baaligh hona(bulughat ko pahonchna); teesra samajhdaar hona; choutha, aadmi hona; panchva hai padhna jaanna; aur chatta hai ki koi azar naa ho, jaise bimaar hona ya theek tarah se padhne se qasir hona ya alfaz ka sahi talaffuz karna. Pas, Imamhone ki ye sharayat hai.
Hanafi madhhab mein, khawateen ka Imam hona makruh hai. Aur agar zaruri ho, jaise ek khatoon baaki khawateen ko namaz padhna sikha rahi hai, ye theek hai lekin wo khatoon line ke beech mein hi khadey honi chahiye, naa ki saamne. Khawateen mard aur ladko ke liye Imam nahi ban sakti.
Khawateen ka Imam banna Hanafi madhhab mein umuman Makruh hota hai, isliye hum iski sifarish
nahi kartey. Lekin kuch aur madhhab mein, iski ijazat hai lekin agarche khatoon sirf khawateen ke liye imam banti hai, naa mard, naa ladke. Ladkey jo bulughat mein nahi pahochey, chotey bacche, mard ya aurton ke liye Imam nahi ban sakte.
Jab aap Imam ke peeche padhte hai, aap niyyat karte hai, ki “Mai namaz e farz [namaz ka naam, masalan Subah ki namaz, Zohar, Asar, Maghrib] padhne ki niyyat karta/karti hu aur mai Imam ki paervi karti/karta hu”. Niyyat ke sath aapko kehna hoga “Mai imam ki paervi karti/karta hu”. Imam, ko bhi, Jamat ka Imam banne ki niyyat karni chahiye. Phir, jab Imam “Allahu Akbar” kehte hai, aap “Allahu Akbar” kehte hai. Jab aap ek imam ke sath padhte hai, toh aap par farz hai ki aap imam se tez (zyada raftar mein)naa padhey; aapko imam ke peeche ya baad mein hona chahiye. Jab Imam “Allahu Akbar” kehte hai, phir aap “Allahu Akbar” kehte hai aur unke sath padhte hai. Hanafi madhhab mein hum dua e Thana (Subhanaka Allahumma…) padhte hai aur phir hum koi Quran nahi padhte, hum khamosh rehte hai aur imam padhte hai. Hanafi madhhab ke liye- Imam padhtey hai, hum kuch nahi padhtey. Imam hamare liye padhte hai. Lekin baaki jo humein padhna hai, ruku mein aur sajdah mein aur tashahhud, hum ye khud padhte hai. Chunache, Jab Imam “Allahu Akbar” kehte hai, hum ruku mein jatey hai, sujood mein jatey hai aur tashahhud mein, hum unki paervi kartey hai.
Hum Imam se tez raftar mein nahi padhtey. Ye Jamat ki namaz ki ahem shart hai: Imam se zyada tezi se jaana qaabil e Qubool nahi. Aap kuch bhi imam se pehle nahi kar saktey, aapko Imam ke mukammal karke “Allahu Akbar” kehne ka intezar karna chahiye aur phir aap unki paervi karenge.
Agar aap ki Jamat ki namaz mein ek rakat chooth jaye- misaal ki taur par, aap aaye aur imam ne pehle hi ek rakat padh chuke ho- aap imam ki iqtada ki niyyat karey aur unke sath wo padhey jo wo padh rahe hai(masalan, agar imam sujood mein ho, aap niyyat karey aur Allahu Akbar kehkar seedha sujood mein chale jaye taaki aap imam ke sath shamil ho jaye). Agar ye 4 rakat ho aur aap se ek choothi, aap 3 rakat imam ke sath padhey aur jab imam aakhri bar baithe aur khatm kar rahey ho
“Assalamu alaykum wa rahmat Allah” apna sar daayi taraf modte hue, phur aap uthey aur aap se jo bhi choothi wo namaz padhley agar aap se ek rakat choothi, aap ek rakat padhey aur isi tarah. Ya agar aap se ye sab chooth gayi aur aap namaz aakhri tashahhud mein pahochte hai, aap poori namaz padhenge, jaise aap poori 4 rakat padhte hai masalan. Jitni bhi rakat aap se chooth jaati hai, aap unko padhlein aam taur par jaise padhte hai: misaal ki taur par, pehli rakat ke liye aapko 1 Fatiha aur ek surah padhna chahiye. Toh jab imam “Assaalamu alaykum wa rahmat Allah” kahenge, aap
“Allahu Akbar” kehein aur khadey ho jaye aur 1 Fatiha aur 1 surah padhey- aur jobhi aapse chootha hai, aap isi tarteeb se padhenge. Aapki rakat kaise chooth jaati hai?
Jab aap jamat ke liye aa rahe ho, aur imam pehli rakat ya koi bhi rakat padh rahey hai, agar imam ruku ki halat mein aajiz hai aur aap ruku ke waqt namaz mein shamil hotey hai unke “Sami’a Allahu li-man hamida” kehne se pehle, ye rakat mein gini(maani) jaegi. Lekin agar imam ruku se uth jatey hai aur “Sami’a Allahu li-man hamida” keh dete hai, phir uska matpab hai ki aap se ye rakat chooth gayi aur jab Imam khatm karte hai aapko uthkar apni namaz mukammal karna hoga.
Agar aap bhool jatey hai, aur Imam ke sath salam pher letey hai, lekin baad mein baithe waqt , aapko yaad aata hai ki aap se ye rakat chooth gayi, agar aap ne kisise baat cheet nahi ki, phir aap uthey aur jo choothi wo mukammal karey. Lekin agar aap ne baat ki, toh aap sirf farz ko dohra lein, shuruwat se. Chunache, ye hai jab aap imam ki paervi karenge.
Aur Imam ke peeche padhne wali namaz ke liye, aapko wo hi padhne ki niyyat karni hai jo imam padh rahe hai: agar imam Asr padhte hai, aap unke sath Asr padhne ki niyyat karege, zohar nahi- misaal ki taur par. Aapki niyyat imam ki niyyat ki tarah hi honi chahiye. Iske alawa, agar imam nafeel padhte hai aur aap farz ki niyyat karte hai, ye mumkin nahi hai, aise milaana. Tarawih ke liye, ya dusri namaz ke liye jo imam jakat ke sath padhte hai, aap aakar dusri namaz ki niyyat nahi kar sakte, ye
mumkin nahi hai. Ye ek jaisi honi chahiye, alag nahi. Lekin agar imam farz padh rahe hai aur aap imam ke peeche aate hai aur nafeel ki namaz padhne ki niyyat karte hai- ye mumkin hai. Shayad, imam farz padh rahe hobaur aapne farz padhli ho pehle hi, lekin aapko imam ke sath padhna ho, phir aap nafeel ya sunnat ki niyyat karey aur padhey. Lekin agar imam nafeel padhte hai, toh aap koi aut niyyat nahi kar sakte.
Iske alawa, agar aapka wuzu ho aur imam ka tayammum ho, aap imam ki paervi kar sakte hai. Aur agar imam khuff pehne ho aur massah kiye ho aur aap ne nahi pehne aur apne paer dhoye hai, aap bhi imam ki paervi kar sakte hai. Aap unki bhi paervi kar sakte hai jo neeche baithkar namaz ada kar rahe ho, baith te hue padh rahe ho- agar ye shaqs aapse zyada ilm rakhta hai, aap iski paervi kar sakte hai agarche ye neeche baitha ho namaz padhne. Mawlana Shaykh Nazim namaz ki shuruwat mein qirat (Quran ki tilawat) ke liye khade hua kartey the, lekin wo sajdah me nahi jaa sakte the, wo baithkar hamare liye imamat karte. Toh aap apne shohar ki jamat mein paervi kar sakte hai agarche wo ruku aur sajdah me baithe bhi hai. Ye Imam ke peeche, jamat ki namaz ke liye.
Jummah namaz farz hai, laazim, mardon ke liye hi. Ye khawateen par farz tab hoti hai jab khawateen masjid mein jumma namaz ke waqt pehle se maujud hoti hai. Warna agar aap ghar par ho, ye farz nahi hai, khawateen ke liye jummah ki namaz ke liye jaana. Lekin agar jummah ki namaz ke chalte hue wo masjid mein hoti hai, toh phir unhey Jummah namaz jamat mein imam ke sath padhni chahiye wahi masjid mein. Warna, khawateen ko Jummah namaz ke liye jana farz nahi hai.
Iske alawa, agar unhe Jamat ke sath padhna pasand ho, ye mardon ke liye sunnat e muakkadah hai. Khawateen ke liye har waqt masjid mein jaana zaruri nahi hai. Agar masjid mein jagah ho aur unke pas jaane ka mauka ho toh theek hai, lekin Apne Ghar me padhne ka mashwara hai, khususan subah, Maghrib aur Isha ki namazein. Aadmiyon ke liye, agar unke nazdeek koi masjid ho, unhe jamat ke sath padhne jaana chahiye, lekin khawateen ke liye nahi.
Iske alawa, Namaz padhne ke dauran harkat karna ird gird ya namaz me naa hone wali harkat karna makruh/naa-pasandida bhi hai. Misaal ki taur par, namaz ke dauraan, aap apni ungliyon ko todna ya peet ko seedha nahi kar sakte.
Witr wajib teen rakat hai Isha namaz ke bad: pehli rakat mein hum dua e Thana (Subhanaka Allahumma…) padhte hai phir Fatiha aur ek surah; dusri rakat mein hum Fatiha aur ek surah padhte hai, aur jab hum tashahhud ke liye baithte hai hum sirf “Ashhadu alla ilaha illallah wa ashhadu anna Muhammadan ‘abduhu wa rasuluhu” tak hi padhte hai; Phir hum teesri rakat ke liye uthte hai aur hum Fatiha aur ek surah padhte hai, aur phir hum “Allahu Akbar” kehkar apne hath uthate hai aur Dua e Qunoot القنوت دعاpadhte hai- “Allahumma inna nasta-eenuka wa nastaghfiruka wa nu’minu bika wa natawakkalu alayka wa nuthni alaykal khayra, wa nashkuruka wala nakfuruka wa nakhla-oo wa natruku man ya·uruka, Allahumma iyyaka na’budu wa laka nusalli wa nasjud wa ilayka nas’aa wa nahfizu wa narju rahmataka wa nakhshaa azaabaka inna azaabaka bil kuffari mulhiq.”
اَللَّهُمَّ إنا نَسْتَعِينُكَ وَنَسْتَغْفِرُكَ وَنُؤْمِنُ بِكَ وَنَتَوَكَّلُ عَلَيْكَ وَنُثْنِئْ عَلَيْكَ الخَيْرَ وَنَشْكُرُكَ وَلَا نَكْفُرُكَ وَنَخْلَعُ وَنَتْرُكُ مَنْ ئَّفْجُرُكَ اَللَّهُمَّ إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَلَكَ نُصَلِّئ وَنَسْجُدُ وَإِلَيْكَ نَسْعأئ وَنَحْفِدُ وَنَرْجُو رَحْمَتَكَ وَنَخْشآئ عَذَابَكَ إِنَّ عَذَابَكَ بِالكُفَّارِ مُلْحَقٌ
Agar kisiko Dua e Qunoot nahi aati , wo ye dua teen bar padh sakte hai: “Subhanallah walhamdulillah
wa la ilaha illa Allah wa Allahu akbar wala hawla wala quwwata illa billahil aliyyil azeem-
سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِٱللَّٰهِ ٱلْعَلِيِّ ٱلْعَظِيمِ
Wa min Allahi at-tawfeeq
Fatiha
🕋